Question: Salam Janab me business karna chahta ho kisi ne mujhe mashwra dya hai k australian Totty (parrots) palny ka business bataya hai plz ap btao k shariat ijazat deti hai aisa business karne ko plz plz urgent reply im waiting
Answer: Shariat e Islam mai tote(parrots) paalna or os ki khareed o farokth kerna jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 13 , Eidition 1417 hij). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mujhe maloom hai k 1 shaks ke pass chori (snatched) mobile hai, kya mai us se payment kar k purchase kar sakta hu?
Answer: Gazbi(maslan chori waghaira) maal ki khareed-o-faroqht jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2016). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia dog k sath lagny se kapry napak ho jaty hyn? or dog ko ghar rakha ja skta hyn k ni ?
Answer: 1)Kutta najis hai agar kaprhay gilahat (geele pan) k sath kuttay se lag jain tu kaprhe najis ho jain gaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #102). 2) Kutta ghar main rakhna jaiz hai, Laikin ghair shikari kutto ki kareedo o frookht haram hay.(Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part#3, Mafhoom e ques #169+Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2016). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Market se fresh currency purchase kar k customer ko daina jaiz he ya nai
Answer: Agar purchase kerne main khuch raqam ziyada daina perhti ho tu agar ye maamla naqd ho (yani udhaar nah ho) tu jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #28 se pehle, pg#450). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam.. Maera sawal yai hei k jo hm shop pr chezyn sale krty hein jaesy bedsheets etc to kya on ke price fix kr k mean fix price likh k sale krna jaiz hei??
Answer: Jaiz hay agarcheh momin se zarorat se zaaid munafa lena makhrooh hay. (Ref: Ayatollah sistani, Minhajus saliheen, maslah#49). Update on dated 27-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia sona ly k phr jab kuch arsay bad wo mehnga hojaye to usy bech dena jaiz hai?
Answer: Jee jaiz hay. (REF: Minhajus salehin ayatullah sistani, part#2, masla # 50) [Updated on 06-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai ik German product ko original bana k sale krna chata Hun warranty or guarantee or exchange or returnable sahulat k sath Kia yeah thek ha Islam k mutabik Mai is product ki her thara sy zimidari k lanay k tyar hun
Answer: Nahi, ye jaiz nahi, Q keh ye dhoka hay.(Ref: minhajus saliheen, jild#1, maslah#30) [Updated on 30-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Smoke shope Mai sharab sale b hote hay waha par kam karsakthai yeah nahi
Answer: Jaiz nahi balkeh musalman k liay un logon ko bhi sharab baichna haram hay jo us sharab ko halaal smajhte hoon. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #244 , Eidition# 5). [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Forex se earning jaiz hai ya nahi?
Answer: Ayatullah sistani ne online forex trading k silsilay main apni raey ka izhar nahi kia hay, aap is maslay main fal-alam mujtahid ki jaib ruju kar sakte hain.(Ref: email rcvd from sistani.org on 02-01-2022). [Updated on 21-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ham koi chiz sasti ly kar dosry ko mehangi kar k bech sakty hain ... kia ye jaiz hy ya dhoky bazi
Answer: Karobaar mai munafa lena jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, khareed o farokht k ahkaam, pg #305) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]