Question: Assalamualaikum...Cosmetic makeup ka karobaar krna jaayaz hai?
Answer: Jee han, Ye karobar karna jaaiz hai. (Mafhoom e Masla, Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01874/1 ). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun Alikum. Kya Zakereen Ka Barsare Membar Majlis e Imam e Husain (as) Padhne Ke Liye Ujrat Ka Taqaza Karna Ya Majlis Padhne Ki Qeemat tay Karna Jayez Hai
Answer: Jaiz hay. (Ref: Tauzeeh ul Masaail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #986) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assale-O-alikum agha sahab Kia payment kah kam haram hai misal ke torper mai 1 mobile 20k ka letha hun or mai 1 month ke time pe 28k ke detha hun to Kia ayesa karna jaiz hai
Answer: Agar munafe k sath os ki qeemat wazeh bayaan ki ja chuki ho or osi moayyan qeemat per baichi jaey tu koe haraj nahi hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01794/). [Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is dropshipping allowed if we don't own the thing?
Answer: There is no problem in that.(Ref: email rcvd from Ayatullah sistani, Date 09-09-2022) [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya Un Cheezo ka business kr skty hain Jin cheezo k bary khdsha ho k wo mal pichy sy chori ka hai mgr ye Yaqeen ho k jis sy hm ly rhy hain us ny chori ni kia blky khreeda hai..?
Answer: Agar yaqeen hai k jin cheezo ka ap business krna chahte hai vo churaya hua mal hai to uski khared o farokht jaiz nahi hai laikin agar shak ho ya faqat guman ho to phir koi masla nh hai. (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2015) [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: why the selling and purchasing of dogs is haram? if a person(muslim) purchase a dog on order basis and then deliver it to the buyer ( non muslim) directly from the shipment port..then what is a law...i mean the business men is working only as a middle men is it permissible? earlier the businessmen has no idea about it now he aware then what should he do..if he want to carry this business then what are the ways? sir this is my 3rd mail to you please guide me as soon as possible thanks alot
Answer:
Question: aoa izzat muabb mualana sb mera ye sawal ha k mein ek medical store chalata hon or store pr trhan trhan k log ate hein kuch shadi shuda or kuch single or vo sex ki medicin prchse krte hein or kai boys zina k bad iskate hamal ki medicine lene ate hein plz btayen hmara ye kam krna jaiz ha ya nahi plz reply thank you...
Answer:
Question: Salam un Alaikum Molana sahib kya lease (qiston) pe products (Electronics etc.) sale karne ka kaarobar karna or qiston pe jo raqam orignal price se zayada wasool ki jati hai wo raqam, jaiz hai ya nahi? please Sistani Sahib key Fatwey ki Roshni me jawab send kr de... Shukria. ALLAH PAK ham sab ka HAMI O NASIR ho.
Answer:
Question: agar koi mujh se koi cheez office mai purchase karne ko kahe aur mai wohi cheez market se udhar par purchase karon aur bill ziada ka bnao with including my profit to kia ye buying and selling sahi hai aur kia mera profit (not commission) jaiz hai reply urgent as i m facing this regularly...!
Answer: