Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16019
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Premium prize bond k hawaly sy btain k jaiz Hy ya naen.

Answer: Premium prize bond ka hukum government bank ke hukum ki tarah hai aur wo ye hai ke mukummal premium prize bond aap ke liye jaiz nahin hai balke us me se aadha hissa deendar shia faqeer ko dena hoga aur us ke baad baqi aadha aap ke liye halal aur jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #5 or 6 pg #436,437. + Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01745/ ). [Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17090
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Fix invest kr k fix bonus Lena jaiz hai Kya??

Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart par raqam jama karwana jaiz nahin hai or ye sood hai. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart ke mile wo is sorat main jaiz hai jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaaye. 3-Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart ke mile wo poora jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #3,5). [Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!