Question: Talaq ki sorat maen shoher Aur susral walon ko turaf se dye gae zaewarat ke bare maen Kia qanon Aur aehkam haen
Answer: Shohar or susral wale tohfe main di gae cheez ko wapas laine ka mutaalba kar sakte hain, ye os sorat main hay jab wo tohfa maujood ho. or agar ye loog mutalba nah karain tu aap per wapis karna wajib nahi hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat,part# 2,Mafhoom e Maslah #150). [Updated on 25-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia bati ko warasat main hisa bap k marny say pahly mil sakta hai jub k uski shadi ho gai ho
Answer: Agar Baap jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de de to wo tohfa (gift) kehlaye ga, or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meeras k ahkaam nahi ate. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #2, Edition #1417 hij, Mafhoom e Maslah #1320). (Note: Meeras ke ahkam marne ke bad aate hain marne se pehly nahin or marne ke bad beti ko bhi meeras se hissa milta hai lekin beton se adha hissa mile ga). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar maap baap apni zindagi mai apni aulaad mai meeras taqseem karna chahty hon to us ka shariyat mai kia hukum hai ? Aulad mai b sirf 2 betiyaan hain wo b shadi shuda..
Answer: 1)Agar maap baap zindagi may apna mal taqseem kar kay apni olad ko day to wo meeras nahi balkay hiba(tohfa) kehlata hay or maap baap jisay jitna dayna chahan day saktay han (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij). [Updated on 28-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqeeqah ki dawat me koi hadiya laaye to lesakte hai ya nahi
Answer: Jaiz hai, le sakte hain. (Ref: Minhaaj us Saliheen Part #2, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #1310,1312,1314 Edition #1417 hij. https://www.sistani.org/arabic/book/15/4183/ ). [Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: باپ نے بیٹے کی بیوی کو زمین دی ہو اور باپ فوت ہو جائے تو کیا بیٹا باپ کی زمین میں وارث ہوگا یا نہی۔ جبکہ بیٹے کو باپ نے اپنی زندگی میں عاق کر دیا ہو
Answer: Jis maal ka insaan apni zindagi me kisi dosere ko tufa de kar maalik bana daita hay or jis ko wo maal diya gaya hai us ne qabza bhi kar liya ho tu wo maal pehle wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shakhs ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo zameen aap ke walid ne apne baite ki biwi ko zindagi men di hai wo baite ki biwi ki milkiyat hogi us zameen me se bete ko kuch nahin mile ga. Lekin Baap k inteqaal k baad jo maal Baap ki milkiyat main tha wo sab meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga or us men se bete ko bhi mile ga. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Part #2, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #1320, Edition 1439 hij). (Note: Yeh waazih rahe ke Aaq karne ke mana na farman qarar dena hai, jis ki meeras se mehroomi ke hawale se sharan koi hesiyat nahin hai, yani Baap ka apni aulad men kisi ko apni jaidad se Aaq karna jaiz nahin hai aur na hi sharan is ki koi hesiyat nahin hai, Pas walid ka apni aulad men se kisi ko Aaq karne se wo meeras se mehroom nahin hoga, Balke wo ba dastoor us ki aulad men shaamil rahe ga aur walid ki maut me bad us ke meraas men apne sharaei hisse ka haq dar hoga, Albatta agar waqean wo walid ka na farman ho to ye gunah e kabeera ka murtakib hai, jis par Allah ke nazdeek is ka mukhiza hoga). [Updated on 14-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hm kisi ko koi tohfa dain or baad mai ye keh dain k wo cheez hm ny tmy sadqa ki to kia tohfa sadqa bn jata hai?
Answer: Us tuhfe ki faqat sadqe ki niyat karne se wo tuhfa sadqa ban jata hai, aur jis ko diya hai use batana bhi zaroori nahin.or sadaqe dene me qurbatan illah (yani allah ki khush nude ki khatir kise ko sadaqa derahe hai) ki niyat hona zarori hay (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sisitani(d.b), Part #2, masalah #1603). [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi ko haq mehr k ilawa jo zewar diya jata hai shadi k waqt, kiya wo talaq k waqt wapis liya ja skta hai?
Answer: 1: Shadi ke waqt jo zewar diya jata hay agar wo tuhfe (gifts) ke taur par tha ya biwi ki milkiyat me qaraar diya gaya tha to biwi us ki maalik ho jaate hay or biwi ke lie zaroori nahin hai ke wo zewar waapis kare. larki ko tuhfe (gifts) dene wale agar larki ke khooni rishtedaar hain ya tuhfa (gift) khatam ho chuka ho ya us tuhfe (gifts) me koi aisa tasarruf (changing) kar diya ho ke pehle wala tuhfa (gifts) hone ki zaat usper sidq na aaye tu in tamaam suraton me tuhfe (gifts) dene walo ne jis ko tuhfe (gifts) diya hay us se wo tuhfe (gifts) waapse nahin le sakte albatta agar tuhfa (gifts) dene wale ne, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us ka khooni rishte daar na ho or asal tuhfa (gifts) moujood ho tu tuhfa (gifts) dene wale ne, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us se tuhfa (gifts) waapse le sakte hay or jise tuhfa (gift) diya gaya hay wo mana bhe nahin kar sakta. lekin agar tuhfe (gifts) ke taur par ya biwi ki milkiyat me qaraar nahin diya gaya tha ( balke aise hi waqti taur par biwi istemaal ke liye diya tha) to shohar (ya wo insaan jis ne wo cheez di hay ) wapis le sakta hai. Jabkeh biwe ko ju jehaiz diya jaata hay wo Jahaiz aik tuhfa (gift) hay jo baap ya rishtedaar apni larki ko dete hain or jis per par faqat baiti ka haq hota hai, lihaaza shohar ya us ke ghar walon ya kisi or ka larki ke jehaiz per koi haq nahin or shohar ya us ke ghar walon par laazim hoga ke larki ko jahaiz wapis karen. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, pg #361, and Part #3, pg #77. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, mafhoom e sawal #150). [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alekum Molana sab mera ap se sawal hai k husband bv ko property hiba kar skta hai??
Answer: Jee han, kar sakta hai. us ki apni property hai jise chahe day jise chahe na day. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1320,1335). [Updated on 05-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I am working with my father since 10-12 yrs and now after death this business belongs to me or have to give share to sisters also As my father says its all yours and we working together
Answer: 1: Agar koi shakhs apni zindagi me kisi ko kisi cheez ka malik bana day to wo cheez pehle wale shakhs ki milkiyat se nikal kar dosre ki milkiyat me chali jati hai, Is bina agar jo business aap ke walid sahb ne aap ko tuhfe ke taur par diya tha aur aap ki mikiyat me qaraar diya tha yani aap ko us business ka malik banaya tha to ye walid sahb ki meeras ke aitebar se taqseem nahin ho ga. lekin agar milkiyat ke taur aap ko nahin diya tha to meeras ke aitebaar se is ko bhi taqseem kiya jaye ga. jis me dono behnon ko bhi hissa milga. 2: Pehle giroh mein se agar marhoom ke bete aur betiyan waris hon to maal ko yon taqseem kiya jata hai ke har beta, beti se dugna hissa paataa hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1320,1335. + Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #2691,2694) [Updated on 17-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maray mamu kuch month pehlay wafat ho chukay hy or un ki na biwi thi or na hy bachay . Ab maray khala kehti hy ky maray mamu ny ye sab stam paper py sab maray khala o un ky bacho ky naam kar diya hy to kya is ma hamara hissa hota ya nahi
Answer: Agar koi shakhs apni zindagi me kisi ko kisi cheez ka malik bana day to wo cheez pehle wale shakhs ki milkiyat se nikal kar dosre ki milkiyat me chali jati hai, Is bina agar wo jo cheezen aap ke mamu ne aap ki khala ko tuhfe ke taur par di then aur aap ki khala ki mikiyat me qaraar di then yani aap ki khala ko un cheezon ka malik banaya tha to ye aap ke mamu ki meeras ke aitebar se taqseem nahin hon gein aur in me kisi ka koi hissa nahin hoga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1320,1335). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]