Question: Namehram ki taraf say gift kia hua quran parhna jaiz hay ya.. kindly bata dain
Answer: Tuhfa (gift) dene walon ya lene walon me mehram hona shart nahin hai, lihaza agar aik Na-mehram bhi Tuhfa (gift) de raha hai to is me koi haraj nahin hai aur us Tuhfay (gift) ke istimaal karna jaiz hai, (yani Na-mehram ki taraf se gift kiya hua Quran parhna jaiz hai). (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1443, Maslah #1310,1323,1335). [Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Agr humein maloom hai k koi shakhs haraam kamata hai aur wo humein Khana pesh kare to wo Khana Khana jaiz hoga?? Aur agr Haram kamane wala shakhs inaam k Tor p kch raqam Dede to kia uska itemal jaiz hai??
Answer: Agar ihtemaal ho ke Haram kamai me Halal kamai bhi shaamil hai to un ka pesh kiya hua khana, khana jaiz hai aur inaam ke taur par milnay wali raqam ka istemaal karna bhi jaiz hai. (Ref: email rcvd from sistani.org Dated:12-07-2018). + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30). [Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Galat waja bta k office sey donation lena kesa hai? Khuha woh shakhs zarurtmand ho aur apni zarurt btana na chahy. Tou donation sey mila paisa usk liye haram hai ya jaiz?
Answer: Jaiz nahin hai, aur donation se mila paisa us ke liye haram hai. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, mafhoom e maslah #1611). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya namehram ko Quran gift krna jaez h
Answer: NULL
Question: Kia na mehram se gift lena jaiz hai
Answer: NULL
Question: I resigned from a foreign non muslim company and got Provident Fund. from time to time I received interest on Provident Fund Account which I received in total when I resigned however there was also loss on this account last time. I have taken out khums on my PF contribution. Please advise regarding interest on PF received over a period of years. is this money ok and halal.
Answer:
Question: mene shadi k 2 saal k baad court k zuriye khula le li thi. is liye apna huq mehur bhi maaf kr dia tha. shadi k waqt susral walo ne kuch zever gift k tor pe diye thy. jo me ne bech diye thy kion k shor mujy khurcha nhi deta. ab susral waly wo zever wapis mang rhy hein. or chaty heink mein QURAN pe HLUF uthao k mery pass wo zever hein. jubk unho ne mera koi bhi saman muhy waois nhi dia. mera sawal ye hai k un zever pe mera huq hai k nahi???? aur agr me ye hulf uthati hoon k "AP K KOI ZEVER MERY PASS NHI HAI" tu kia k galut hoga?????
Answer:
Question: Sir mear question yah hai k main apnyswalid sb ka iklota beita hn aur meri char bahnay hain. meray walid sb ny meri sister ki raza mandi sy apni jaidad mery naam kr di hai, aur meri sisters muj sy bohat bohat pyaar kart hain. wo kbi b mj sy hisa nahi mangay ki. kia main gunghar tu nahi hn ga
Answer:
Question: Salam arzz hai Mje yeh pochna hai k.agr hum.apne old.kapre jo bilkul sahi condition me ho to kia shleter home me donate krna chie or kia.waqai shelter home.wale.unhe use.krte hen ya phek dete hen kch smjh nhi ata k.ks ko.den or ks ko nahi den batein is bare.me.kch
Answer:
Question: Assalamualaikum . hum 4 bhai or hmari 4 behnein hain. Mry bhai 17 saal ki age say he walid k sath karobar mai lag gaye. Or unhein abbu ny monthly koi salary per nae rkha ik sath jama kiye paisay.. ab ager abbu 20 saal bad bhai k naam per koi property lga detay hain.. kya us mai say b behan ya dosray kisi bhai ka hissa bnta hai?? Aisay ager koi b property walid apni zindagi mai he kisi betay k naam per buy krein.. matlb k first owner he bhai hon.. kyn us mai say b kisi behan ka hissa bnta hai.. ? Please rehnumai kijiye.. Allah ajar day.
Answer: