Question: I want imam ali(as) saying in urdu and nahjul balaga in urdu please advise if you no any web site
Answer: http://www.balaghah.net
Question: Salam o Alaikum. Please let me know the bibi fatima SA kunyat & names. Thanks
Answer: 1) Asma e Girami): i) Imam jafer sadiq(a.s) say riwayat hay k Allah nay Janaab e syedah k 9 naam rakay hain. Fatimah(s.a), Siddeeqah(s.a), Mabarakah(s.a), Tahirah(s.a), Zakeeyah(s.a), Raaziyah(s.a), Merzeeyah(s.a), Muhaddisah(s.a), Zahra(s.a). ii) Abu jafer Qummi k mutabiq Janaab e syedah k naam ye hain: Batool(s.a), has’saan(s.a), hurrah(s.a), syedah(s.a), Uzraa(s.a), hawraa(s.a), Mubarakah(s.a), Tahirah(s.a), Zakeeyah(s.a), Razeeyah(s.a), Merzeeyah(s.a), Muhaddisah(s.a), Meryamul; Kubraa(s.a), Siddeeqatul kubraa(s.a). Janaab e syedah ko aasman per Nooriyah(s.a), Samawiyah(s.a),Haawiyah(s.a) k naam say yaad kiya jata hay. 2) Kunyat: Ummul Hasan, Ummul Hussain, Ummul Muhsin, Ummul aa’immaa Umm e abeehaa, (Ref : bihaarul Anwaar, jild # 3, pg # 20). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam O Alaikum Please confirm that INSIYA name is Bibi Fatima (S.A)Kunyat. ?
Answer: Janaab e syedah ka naam al-hawra ul unsiyah bhi hay. (Ref : bihaarul Anwaar, jild # 3, pg #10-13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ilm hasil karo chahe tmhain chaina jana pare? kya yah sahi hadees hai ager hai to is ka kesi hadees ki book se reference dain plz
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Jee haan ye hadees sahi hay or hadees k alfaaz ye hain k “اطلبوا العلم ولو بالصین ” yani ilm hasil karo agarchah cheen(chaina) tak jana perhay. Ye hadees Ah,yaa,ay uloo,mud deen ki jild #1 k pg#8 per, wasaa,e lush shia ki jild #27,pg#27 per, Rauzatul waezeen,mu,al,lif fatal neesha pori, pg#10 per, Al-jaami,us sagheer, mu,al,lif jalaalud deen suyoti, jild#1, pg#169 per, kanzul amaal, mu,al,lif muttaqi hindi, jild#10 k pg#138 per maujood hay.(Ref:munyatul mureed, pg#46+ http://www.daikondi.com/tahlim.htm )
Question: Assalam o Alaikum. Sir I just want to know. Tell me ahadith and verses of Quran about "telling a lie" and "abusing (using bad language)" as well as about liars and abusers? Please sir, answer briefly. Thanks. Babar Bhayo
Answer: 1)Jhoot k baray mai quran ki ayat: Jhoot to wohi log boltay hain jo khuda ki ayaton par iman nahi rakhtay hain. (Surah nahal surah # 16 , ayat # 105) 2)Jhoot k baray mai Hadith: Imam a.s. ka qoul hai k Allah nai tamam burai aur gunahoo k lie talay muqarrar kiay hain in tamam taloo ki chabi sharab hai aur jhoot sharab sai bhi badtar hai. (kafi, jild # 2, pg # 340) 3)Islam mai gali denay ki koi gunjaish nahi hai, Islam to kafiron ko bhi gali denay ka rawadar nahi hai surah anam surah # 6, ayat # 109 mai khuda nai irshad farmaya hai k “Mushrikeen k khud sakhta khudaoo ko gali na do k wo thumaray khuda ko gali dain gai.” 4)Hadees mai hai k “khabardar, logo ko gali na do is sai dushmani janam leti hai”(Wasail us Shia jild # 12, pg # 298) (Ref : Kitab Moharammat e Islam Pg 159, 216)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: please tell us about Naad-e-Ali dua? is this dua is authentic? References required.
Answer: Dua o Ziaraat ke authentic o mutabar hone ka meyaar in mazameen (subject) ki bulandi hai or is etibaar se Naad e Ali authentic o mutabar hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 215, pg # 96 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: kay hamaray dua karny sey IMAM ZAMANA (AJTF) k zahoor mai jaldi ho sakti hai ?Hadees sey sabit karin . plzzzz mare id per sand kar da plzzZ
Answer: Riwayat aur hadees me hai k zahoor ki dua ki jaay jis tarah hamain ye hadees milti hai k tajeel-e-zahoor ki dua bakasrat kiya karo Q k yehi dua tumharay liay faraj (zahoor me aasani) hai. (Ref: Aqwaal-e-14th Masoomeen,pg#247,hadees#18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr alim hazrat aik bat par agree ho jy quran aur sunnat ki roshni mein to kia us ko hadees ka darja dy dia jata ha?
Answer: Ulama k ittefaq se kisi baat ko hadees k dajay nahi dia jasakta, Q keh deeni istilah main hadees wo hoti hay k jis ka itlaaq rasool s.a.w.w or masoomeen a.s sai manqoola farameen ya un ki rawish,seerat,sulook ya amal or un k taeed karda amaal par hota hai.(Ref: http://ur.mobile.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%AF%DB%8C%D8%AB). Update on dated 11-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 14 sadi ke baad allah ke rasool ne aalimon ke bare mekya farmaya .hadees me?
Answer: Riwayaat main aakhri zamaanay k ulama ki tareef or muzammat dono aai hain. Jese k rasool ki hadees hai k meri ummat k ulama bani israeel k ambiya k jaisay hain. or aik or riwayat hai jis mai hai k aakhri zamanay k ulama apnay libaas sai pehchanay jain gay or aakhri zamanay k ulama fitna parwar hongay waghera waghjera.(Ref:Bihaar ul anwaar, topic ulamaa k haalaat, kitab 14 sitaray, topic zahoor ki nishaniyan). Note:Ya nahi kia jaa sakta k aap aik riwayaat ka itlaaq us k tamaam afraad par kar dain yani ye nahi kia jaa sakta k aap aik riwayat jo ulama ki tareef mai aayi hai us ka itlaaq tamam ulama par kar day k tamam ulama achay hain ya wo riwayaat jo mazammat mai aayi hain on ka itlaaq tamam ulama par kar dain k jitne bhi ulama hain wo tamam buray hai. (khuda aap ko uloom e aale muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaye). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ek imam ka namaze janaza dusre imam ke alawa ghare ke koy bi insan padha sakta hai
Answer: Jee mazhab jafferiya k musallama aqaed main se aik ye bhi hay k imam a.s ka janaza imam a.s hi perhata hay. (Ref: rijaal kasha, arabi, pg#9, nafasul mahmoom,arabi, pg#206). Update on dated 10-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).