Question: Salam, ham log family planning kay mukhtalif tareeqa yanee (Injection, Tablets, Condom) waghara astaimal kar sakta hain ya naheen?
Answer: w.s., waqti tor par manae hamal tariqo ya mawad k zariye nutfa na thaherne dena shohar ki ijazat ke sath jaiz he. (ref: istiftaat k jawabat part: maamelat Aytullah Khamnaie (d.b.) page # 100)
Question: mene 1997 me abortion karwaya tha... masail na maloom honay ki waja se fetus ko humne dafnaya nahin... to ab meri kya zimedari banti hai??
Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AGAR KOI AURAT ABORTION KARATI HAI. OR APNE GUNAH SE TUABA KARTI. AURAT YA MARAD KAISE APNE GUNAH KO ALLAH SE BAKASBAYE. PLEASE REPLY ZAROOR
Answer: 1)qarar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k keh hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsandah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachchay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Aur agar maa khud bachay ko zaya karay to o ski diyat sohar ya doosray warsa ko de. Aur agar bap hamal zaya karay to zurari he k maa ko diyat de(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mjy athra hy me roohani illaj sy pehly pregnant ho gai me isy waist kr skti hu?
Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k keh hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsandah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachchay ka zaya kerna jaiz nahi hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: is test tube baby with husbands semen sperm allwed in islam
Answer: Also if it is kept by husband so it is allowed. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , jaded masail , edition # 31 , maslah # 68 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Kia family planning k maqsad sai pehlay hi bachay ka abarish karwana jaiz hai?
Answer: Jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 190, pg # 91) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: dnc k bad hamla kitne time me rukta h
Answer: Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ager hamal ther jaye to is ko kesay roka jaye
Answer: Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Abortion Karanai kai bad Kitni diat biwi ko daina chahiay kai kuffara ho jaye aur 13 din upar ho gaye hain ek mahinai kai bad barahe meherbani jaldi jawab dain thanks
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Hamal ruknay k baad os ko zaya karna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai. aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. Rooh phoknay k baad agar larka ho to 5250 miskal chandi hai aur agar larki ho to is ki adhi ho gi. rooh pookhnay sai pehlay ki diyat agar nutfa ho to 105 misqal chandi hai agar khoon jama hua ho to diyat 210 misqal chandi hai agar ghost ka tukra ho to diyat 315 misqal chandi hai agr haddi ban gae ho to diyat 420 misqal chandi hai aur agar azah e badn mukammal hon to diyat 525 misqal chandi kafi hai aur ehtiyat e wajib ki bina par janeen mai jaan na parnay ki surat mai larkay ya larki honay mai koi faraq nahi hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 10.12 din ka hama zaya kia ja sakta h?
Answer: Hamal k ho janay k bad zaya karna jaiz nahi hai. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl, masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)