Question: larke ko apni tarf karne ka tariqa bataain aour larki ko bhi jin se hum piyar karte hain
Answer: Is terhan ki dosti o muhabbat Shariat e Muqaddasa main jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: pasnd ki shadi jaiz ha?
Answer: G han jaiz hai, lekin is ka ye matlab nahi ke pasand ki shadi ke liye larki se dosti wagera karain kun ke ajnabiyah (jins e mukhalif) se dosti karna jaiz nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335) , (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: I had a non muslim school friend can I keep friendship with her? is it a sin ?
Answer: it is not allowed (Q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai). (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: ma chta hu k meray har jaga dost ho koi asa amal btay k ma jis ko ak dafa milo wo khud mera dost ban jay plz
Answer: Ap (s.a.a.w) se marvi hai ke tum main behtreen shakhs wo hai jis ke akhlaak sab se behter ho, ese afraad doosroo se or dosre in se mohabbat karte hai. (Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic # behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62). Pas her kisi ke sath ache aklaak muzahira karain.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya islam me friend ship day manana jaez hai?
Answer: Ager friend ese hon jin se ap ke deen o mazhab ko nuqsaan ponhche ga to jaiz nahi masalan larke or larkiyoon ki mix gethring ya esi party jis main haraam cheezain khaae pee ja rahi hon.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 3 , question # 168 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: kya khuda ne mohabbat ki...? Agar nhi ki to jinko banaya unko kyo mohabbat krna sikhai... Ab ap khud batao jo kaam khuda nhi kr skta wo inshan ko kyo de gya matlab khuda agr hai to wo galat hai
Answer: Quran ki surah no : 3 aale imran ayat no: 134 me hai k ( allah ahsaan karne walon se mohabbat karta hai) Kise bhi ghair ikhtiyari amal per shariat kohe hokum nahe laghate laikin yaad rahe, shariat kise bhi aise iltebaat ( talloq) ki ijazat kabhi nahe dete jo inhe haram ki taraf lejaane wala ho.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 137pg # 65)Jins e mukhalif se is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia dost bnana jaz hy ya na jmaz agar woh agy sy bt bhe na sunta ho to phr kia karna chahiye plz ans me soom
Answer: Ager dost jins e mukalif ho to jaiz nahi. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 106 , pg # 69). Or ager ap ka ham jins hai to ager in se dosti ap ke Deen o Emaan ko nuqsaan ponhchati ho to jaiz nahi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 168 , pg # 75 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: ASALAM O ALAIKUM. pasand ki shadi krna muhabbat ghuna hai ya jaiz hai islam iss bare kia kahta hai?
Answer: jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe. (Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mujhay ek larki bht psand hai or wo meri dost bhe hai may us se shadi krna cahta hn magar us ko keh ni paa raha,, 2 saal se dost hai wo meri ab baat bhe kam ho gae hai bht
Answer: jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe. (Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Main aik larki se ishq kerta hun aur wo mujh se nai kerti q k wo aik naik larki hai wo meri nas nas main bs chuki hai to plz mujhay wazifa btain k meri shadi ho jai us se.
Answer: Jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai k islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete hen. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe. (Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)