Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9565
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alekum Kiya ghair mazhab se uthnabetna khana peena unke ghar aana jaana jaiz hai

Answer: Ager log ese hon jin se ap ke deen o mazhab ko nuqsaan ponhche ga to jaiz nahi masalan larke or larkiyoon ki mix gethring ya esi party jis main haraam cheezain khaae pee ja rahi hon.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 3 , question # 168). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9646
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualaikum meku ye puchna tha agar hum apne dil k sukoon k liye thide waqt tak kisi ku ignore karte hai ya phr hume thida waqt akele guzarna hai jisse hum pyaar karte unke saat aisa karna jaiz hai

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref: kitab nigah aur libas ques # 106 , Mafhoom e pg # 69). Update on dated 31-07-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10089
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein jisse pyar krti hun phone mein baat kr rhi thi toh meri ammi ne muje dekh li toh usne apna kasam de di muje ki tm ladka se baat nhi krogi .Toh kya ye kasam mani jayegi or kasam tutne par kya kaffara hai..?

Answer: Jins e mukhalif se dosti karna jaiz nahi koun keh gunah me mubtila hone ka khoof majood hay. Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakti hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khoof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q nah ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah ghair akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). Agar wada kia ho k aap os se baat nahi karain gi tu wada khilafi jaiz nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2633). [Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13746
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Christmas wish krsakte Hain

Answer: jee ahle kitaab ( jews, eesai) wagaira ko un k tehwaar jese new year, christmas wagaira ki mubaarak baad dena jaaiz hai.(Ref:email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011) [Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13747
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Plz hame btaen Christmas PE Mubarak baad Dena jaiz hai jabki Christian kahte Hain isaa. A. S Allah k bete hain

Answer: jee ahle kitaab ( jews, eesai) wagaira ko un k tehwaar jese new year, christmas wagaira ki mubaarak baad dena jaaiz hai.(Ref:email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011) [Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13754
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Manny Christmas Kahna jaiz hai jbki Christian's kahte Hain isaa a.s Allah ke beten Hain

Answer: Jee ahle kitaab ( jews, eesai) wagaira ko un k tehwaar jese new year, christmas wagaira ki mubaarak baad dena jaaiz hai. or hazrat eisa(a.s) Allah ke bete nahin hain, balke Allah ke bande hain. (Ref: email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011) [Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14220
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya dost bnana zayz hai

Answer: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti aur rafaqat rakhna jaiz nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 13-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16270
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ak larkay or larki ki friend ship kasay start hoti hay ???

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Kisi na mehram se dosti aur refaqat rakhna jaiz nahin hai. isi tarah gher akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona bhi jaiz nahin hai. aur agar koi tanhaei ki sakhti aur shadi ke muqadmaat faraham nah honay ki soorat me kisi na mehram se dosti kare to ye bhi jaiz nahin hai, aur aisay shakhs ko shadi ke muqadmaat faraham karne ki koshish karni chahiye, aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2407). [Updated on 11-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 20111
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: internet par dosti larka aur larki ka bara ma ka agar ak larka pakistan ma ha aur es ki dosti ek aisi larki se internet par hoti ha jo ka south america ya kisa eisa mulk ma ha jahan larka ka puhcna mumkin nahi aur ou larki kafir ha aur islam ka bara ma jana chathi ha is surat ma dosti ka lia kia hukam ha?

Answer:

Id: 20447
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam-u-Alaikum main ek larke se buhut pyar karti hon wo bhi karte the par kisi majburi ki waja se un ka nikah kahin or ho gaya or kuch arse bad un ki rukhsati he plz ap meri madad kijiye mujhe kuch asa parhne ko dijiye k unki rukhsati se pehle hum dono ek ho jaen meri un se shadi ho jae.or us larki ko koi dukh na ho jis se unka nikah hua he . please help me.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!