Question: lUDO khailna jaiz hay Kay nahin..?
Answer: Ludo khelna Jaiz hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla#469-472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya vollyball khelna jaiz hain ????
Answer: Jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Mafhoom e Maslah #2257). Update on dated 13-04-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu alakium kya clash of clans khelna jaiz he
Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per nahi khel sakhty hain.(http://www.sistani.org/persian/qa/search/715759/ ). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia bagair kisi gabling ya juay ki neyat sy clash of clan khyl sakty hain ???
Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per nahi khel sakhty hain. (http://www.sistani.org/persian/qa/search/715759/). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Satta khelna haram hai ya halal Plz guide
Answer: haraam hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01828/) [Updated on 12-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ludo khelna galat hai sahi nahi hai.. hadees ki maloomat karo aap
Answer: Ludo khelna Jaiz hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla#469-472) [Updated on 03-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me game khelraha hun us se muje paise arahe hain...me paise laga kar nahi khelra laikin o game khelne se muje paise milenge.ak target hota hai o target pora karne per 1 rupee kiya 2 rupee milte hai kiya a haram me aata hai ya halal me
Answer: Agar game jeetne per haarne wale k alawa koe doosra aap ko batuar e inaam ki amount deta hay, tu aap k liay lena ajaz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4475/+https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4476/) [Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum, cricket khalne sa jo paisy milte hain kya jaiz hain
Answer: Cricket ya kisi bhi khail main haarne wali team ki janib se jeetne wali team ko shart poori karne k liay jo khuch dia jaey wo haram hay. (Ref: Tuzihul masael jaame, paart#1, Maslah#2255). team ko [Updated on 10-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya pubg khlna hram h??
Answer: agar pubge kheelna aap ke shear (city) me joa shumaar hota ho tu ehtiyaate wajib ki bina per haraam hai or agar aap ke shear (city) me joa shumaar na hota ho tu beghair shart ke kheelna jaiz hai.(ref: sistani.org,urdu, topic : aalaateqemaar,sawaal no: 2) [Updated on 23-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Chess ka game dekhna jaiz hai ?
Answer: Chess(shatranj) khailna joay ki shart ke sath bhi haram hay or baghair shart ke khailna bhi haram hay. (Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #22). Note: shitraaj ko daikhna haram nahi. [Updated on 08-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]