Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15809
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr hum kise game mai thode se paise lga kr khel lai or uske baad us game mai jeetne k baad paise double ho jaye to aisa khelna sahi hai ya galt kya hum aisa kr sakte hai ya nhi plzzz reply

Answer: Agar game jeetne par haarne wale ke alawa koe doosra aap ko batuar e inaam ki amount deta hay, to aap ke liye lena jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4475/+ https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4476/ ). [Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16338
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hum cricket khelte jis me 2 teams hoti ha match me teame 200 200 rupee late aur jetne walo 200 use apne aur harne wale ka bhi 200 milte ha tu please batao jo harne wali team sa 200 rupee lia ha wo haram tu nai ?

Answer: Jin maqamat mein jeetna aur haarna paaya jata hai is mein do fard ya chand afraad ke darmiyan shart bandi Haraam hai, aur shart bandi se muraad yeh hai ke aapas mein tay karen ke jeetnay wala harnay walay se koi cheez lay chahe paisa ho ya koi aur cheez jo maali qeemat rakhti hai ya harnay wala koi aisa amal jo maali qeemat rakhta hai muft mein jeetnay walay ke liye injaam day. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #433). [Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16339
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hum cricket khelte jis me 2 teams hoti ha match me teame 200 200 rupee late aur jetne walo 200 use apne aur harne wale ka bhi 200 milte ha tu please batao jo harne wali team sa 200 rupee lia ha wo haram tu nai ?

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17509
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aj kal sequence naam ka aik game boht khela ja raha hai. Kia uska khelna jaiz hai?

Answer: Choon k iss game bhi Taash jese cards hi hai isi lie yh game bhi khelna jaiz nhi hai chahe Shart lgai jae ya baghair Shart k khela jae.. (Reff: Sistani.org) [Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 23481
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mera swal ye hai k mai cricket match pr jua khelta tha bohat nuqsan hone k bad mane masjid mai ja kr Quran pr hath rakha Kalma parha aor qasam khai k dobara ye haram kaam nae krn ga aor agr mane ye haram kaam kia to Allah mjhe bohat bari saza dy. laiken sheetan ne mjhe wargla dia aor mane dobara ye kaam shoro kr dia esi trah mai 3 bar kalma parh chuka aor Quran pr hath rakh k qasam kha k tor chuka hn. aor abi b es haram kaam mai para hoa hn. mai bohat pareshan hn. es ka kafara kia hoga???

Answer:

Id: 23513
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: A.S.W Sir mene ye suna hain ke sharth lagana haram hai aur jumme ke raat ko hamare eik dost ne sharth lagaya tha cricket p jis ke badle hum ne eik chicken ka liya hamain pata to tha lekin patha nahi andhe ho kr ka liya to kiya ab hum aghr astaghfar parhe ( sache dil se) to muafi mil sakti hai? Ya aghr koi wazifa ho muafi ke liye to please batai.

Answer:

Id: 24091
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Aoa sir kya kisi game pe koi khany peny ki koi cheez lga k khelna masln mein snnoker ki game khel rha hn aur mein kehta hn k agr mein hara to sab ko bottle pilaun ga to yeh jaiz ha ya ni , aur agr aisi koi cheez game pe lgi hhi cheez khana kisi dosry ne lgai ho to wo khana jaiz ha ya ni ?? tell plzz

Answer:

Id: 25228
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Pubg khlna hram h ya hlal? Or is se pesay kmana hram h ya hlal? Ma pubg ka professional player hoo ma time s nimaz b ada kr rha hoo or family ko b time de rha hoo .or iska impact meri real-life ma b ni pr rha or ma.is s pesay b kma rha hoo to kya yr mere lye hram h?

Answer:

Id: 25938
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Ek individual hai who is planning for hajj this year. He is working as a software developer (Recently changed his career and moved to another country). He got this job mushkil se. Ab is job mein he works of developing games which is used in in gambling and betting sometimes too. When he started he wasn’t aware however now he understands that it’s haram. He is trying to find other job but cannot quit without finding another job. Should he and can he go for hajj? Is his income haram? What should he do?

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!