Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 71
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaamz, mera sawal yeh hai k .. na mahram se chatting karna jaiz hai .. aur agar hai tu kis hadh tak hum na mahram se chatting kar sakhte hai .. thank u .. waitin 4 ur reply ..

Answer: Choonkay Haram main parnay ka khatra hay lihaza JAIZ NAHI hay.Ref:I-19.

Id: 84
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salamz....plz tell me k kya net par sirf net par larkoon se fiendship rakhna allowed hai???koi gunnah to nahin ya haram???

Answer: Choonkay haram main mubtala honay ka khouf hay is liye jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat I-19.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 89
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salamz!!!mein yeh poochna chahti hoon k kya hum larkon se net par baat kar saktay hain..yeh haram to nahin hai na....maqsad sirf net par bata karna ho...reallife mein koi bhi iraada na ho???

Answer: Choonkay Haram main mubtala honay ka khouf hay JAIZ NAHI hay.Ref:Istiftaat I-19.

Id: 106
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salams..plz muejh yeh batayen ki kia kisi larke se baghir kisi ghalat neeyat k baat karna gunah hai...aur agar hum net pe chatting kartey hain baghir kisi ghalat neeyat ke to kia yeh jayiz hai..plz reply a soon..Thankyou..

Answer: Kionkay haram main mubatala honay ka khouf hay is liye chatting jaiz nahi hay...Aik khatoon say aisi batain ki jasakti hain jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jabkay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni ja sakti hain jab kay haram main na parnay ka bhi itmeenaan ho,albatta aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur bareek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:I-19,Book-4,Q.No.127.

Id: 129
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KYA LARKIO KE SATH CHATTING KARNA SAHI HAI DESCRIBE IN DETAIL.

Answer: Chonkay Haram main parnay kay khatra hay lihaza JAIZ NAHI hay.Ref:I-19.

Id: 228
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is it right to chat with a girl on the views of islam(remember that there is no any sexual intrest)and if a girl asking a problem of fiqh so can i give the answer on online chatting

Answer: 1:Fiqhi sawalat kay jawabat denay main koi haraj nahi hay siwaey ye kay haram main parhnay ka khouf ho...2:Aam guftugu main choonkay haram main parnay ka khatra hay lihaza jaiz nahi hay.Ref:I-24,I-19.

Id: 281
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam YA ALI (A,S) MADAD ham jo computer pay chat karthay hai male & female ka saat is ka baray may kiya huqam hai plz ki jawab day day

Answer: Choonkay rafta rafta hi sahee beherhaal Haram main mubtala honay ka khouf hay lihaza Haram hay...Mard ki mard kay saath chatting karnay main koi haraj nahi hay siwaey ye kay Haram main parnay ka khouf ho.Ref:I-19.

Id: 2146
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: now adays youngsters are stick to a sin of phone sex. please give complete description on this topic.tnx

Answer: If there is a fear that a girl or a boy may be drawn towards sin, it is not permissible. Normally chatting ends up in a sin for both sides. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=616687&id=1151 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2247
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai face book par ladkiyo se freindship or unse baat kar sakta hu kya ye jayez hai yb nahi plz tell me..

Answer: Agar is wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2308
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia FaceBook per apany dost say baat karsaktay hain?

Answer: Agar is ki wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein perhrnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. (REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!