Question: Assalamu alaikum hazarat saheb aur aapki saari team ko mera naam Moinuddeen aur meri maa ka naam Roshanbi aur meri biwi ka naam shaakira beguam aur un ke maa ka naam Farida beguam hai. meri shadi hokar unqareeb do saal pure hone waale hai aur aulad ke leye har ilaaj zaari hai magar koi result nahi.ek saal ke andar ek baar hamal kayam paya tha magar ho sakith hogaya aur uske baad ab tak hamal karar nahi paaya.meri biwi ne saath roze bhi rakhe magar ab tak kuch nahi.aur shuru main meri biwi ko haij mahina aur do mahine tak nahi huwa aur is ki shikayat thi ab ho thik hai magar ab kya horaha hai aur kyun hamal karar nahi paa raha isliye bahut pareshan ho mai Hazrat sahab se ye janana chahata hu ke ilm o adab me kya koi bandish hai ya nahi aur agar nahi hai to hamare leye hazarat sahab duwa kare aur munasib koi vazifa aur tavijaat aur amal bathaye aur aap se darkhawast hai ke mojko mail zaroor kare kyun ke munasib wakt par tv dekha pana mushkil hai.HAMARE LIYE ALLAHA THALA SE DUA ZAROOR KARE aur meri madad kare.aur mere walid saheb ka operation hai aur vo caricanoma prostate bemari main mubtila hain aur mere valid saheb ke liye zaroor dua kare please reply........... ALLAHA HAFIZ
Answer:
Question: ASSLAM O ALAIKUM MERA SAWAL YE HAI KI MERI SHADI KO 3 SAAL HO GAI HAIN MERI AUR MERE SHOHAR KI SHADEED KHWAISH HAI PAR MERE SHOHAR KE SPERMS NAHI HAIN AUR AULAD KI SHADEED KHWAISH HONE KE BAWAJOOD WO APNA ILAJ NAI KARWATE MAIN BHT PARESHAN HUN UNHEN AZOOSPERMIA HAI PLEASE APP HAMARE LIYE DUA KAREIN ALLAH KYA PATA APKI DUA HI SUN LE MAIN APKI BHT MEHERBAAN HONGI AP MJHE MERE MASAIL KA KUCH HAL BTAYE ALLAH APKO KHUSH RAKHEY
Answer:
Question: ASSALAM O ALIKUM.mujhay shadi k 3 saal k baad ALLAH ki taraf se ulaad ki khushkhabri mili thi..but six month mein mera miscarriage ho gaya..ab log kehtay hai hain.mujhay athra hai.yeh athra kya hota hai..aur iss ka ilaj kya hai.plz meri madad karin.aur koi wazeefa batain.k jab mujhay ulaad ki khush khabri mile..to woh zindagi wali aur naik ho..shukriya
Answer:
Question: salam.... meri shadi ko 2 saal honay walay hain ...mujhay or mery husband ko bht cha ha ulad kii.....manay apnay test karway hain doctors nay kahan ha k meray andar eggs ki kami ha lakin ya koi bara masla nahi ha thek ho jay ga ...ilaj b karwaya ha........plzz koi wazifa btatay mujhay..... shukria
Answer:
Question: salaam.mera 2 question 1 question yeh hai ke meri shadi ko 3 saal hoge hai or main pregnat nahi ho rahi. problem /kami mere husband hai humne bohot treatment kari hai raohni alaaj bhi kare magar koi faraq nahi parha.doctor ne jawab bhi de diya ke main khabi bhi pregant nahi ho hogi. to es muskeel main mujhe kiya karna chaiye.mujh me or mere husband me bhi bohot tensione or problem rehti hai.har waqt suchte rehna kissi or ke dekhna ke pregnat hai to udas ho jana. 2 question yeh hai ke pehle husband hote kiya larki 2 nikha kar sakti hai. 2 nikha ek saath ho sakte hai?bas ulaad ke liye or kissi waja ke liye nahi.or kiya larki apne husband ke bhai se pregnat ho sakti hai. sirf apne husband ki udasi or problem dor karne ke liye ek kami door karne ke liye. ke apne husband ko khush rakhne ke liye.please meri help kare main bohot tension me ho ke apne husband kase khush rako or kase khud khush raho.
Answer:
Question: Asalam-O-Alaikum,mera shadi k 4 month me hamal tahra tha,phr us k 4th month ka bay ka misscarriage ho gaya,ab 2 saal ho gaye shadi ko laikin ab tak khuwahish poory nahi ho paye bohat try ki,merai hasband k test theek aaye hain,merai 1 test me prolactone badhai howai batain hain Dr nai,laikin ab wo bhi nahi hai,please help me hamai aulad ki khuwahish hai,aur kuch loag nahi chatai k ham sahb-e-aulad hoon,plz replyyy
Answer:
Question: aoa.main ne sheikh sahab k btaye hue amal k mutabiq surat raeed ki ayat num 31 ko alag haroof mein likha aur pehlu mein bandha.isko bandhe one month ho gya but still good news ni.i have to ask k ye ayat mujhe khud hi likhni thi aur kia wajah ho sakti hai k result positive nhi
Answer:
Question: assalam o alikum meri shadi ko 9 sal hu gaee hain meri ek beti hai ju shadi ke foran bad hi peda hu gai thi aur mashaAllah se wo 8 saal ki hai us ke bad mere han koi aulad nahi hui buhat ilaj karwaee lakin koi faida nahi hua meri aur meri biwi ki report bhi sahi hain koi Dua/Wazifa Aulad Ke Liye batain.
Answer:
Question: main aap say pouchnah chata hoon meri shaadi ko 5 saal ko gay hain lakee aulad nahi hain.mainy aik doctor ko check karwaya tu us nah semens test ka bola,test karwany par result aya kay jarasim nazar nahi aah rahy.main bohot parishn hoon phir mainy aik kabeel hakeem saab say baat ki tu unhoo nah mujay honsla diya aur aik hakeemi madisan bana kar di.jo mainy istamal ki,aur aik molana saab say janab shokat qudari saab dawai kay saat un ki dua bi li aur unho anh tawiz bi diya,lakeen result kuch nahi aya.dubara test karwany par same result aya,lihaza main parishn hoon.aap bataay kay mari parashani ksay haal ho gi..shukriya,jawab zaroor day..
Answer:
Question: salam,me pahlai bhi kye baar apna masla bhaij chuki hoon laikin koi jawab nahi aaya,mera shadi k 4th month hamal tahra laikn 4 month ka baby ka mera misscarraige ho gaya,us k baad se dadh saal k arsa mazeed guzar gaya hai laikin koshishain kamyab nahi hoo rahi please koi hal bataye k ham sahb-e- aulad hoo jain,me ne wo hoorof-muqat bhi pahnai hain jo aap ne hamala honai k liye maslai k hal me bataya tha.jaldi jawab dijye ga
Answer: