Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plz mje istahara kr k btae k mra nam anam iqbal meri shadi jamshaid sheikh k sth ho gi k ni kya hm aik dosre k nasseb me ha k ni plz help me by istahara

Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7759
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main istakhara kareana chahti hn kia ho jaye ga plzz reply kre

Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8432
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Istekhara kitne baar dekha ja Sakta hai.ek baar dekhne k baad doosri baar kitne din m dekh sakte hai

Answer: Baar baar istekhara karna sahi nahi hai magar ye k istikhkare ka mouzu(Topic) hi badal diya jaey jis ki aik surat ye hai k khuch maal sadqa diya jaey. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 595, Pg # 291, Eidition# 5). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8524
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, I wanna do istakhara..my name Serish .dad name Sulaiman..larke ka naam Ahmed Madha

Answer: Istekhare k lie raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy contact number: 021-32226948, 021-32237207. Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8777
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamalaikum. Sir ma apse ye jana chahti the k Kia ma istekhara apna result Jane k liye or ye dekhne k liye k Kia muje medical college me dakhla mile ga k nahi? Or agar haan. To is ka tareeqa Kia ha? Shukriya khuda hafiz

Answer: Is tarah k kaam k liay istekhara nahi hota. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/persian/qa/0829/). Update on dated 30-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9472
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: S.w janab,mera sawal ye hai ki kya istekhare ki mukhalfat ki ja sakti h janab pls pls pls javab zaroor dijiyega aur jaldi bahot meharbani hogi wassalam...goitrat.org

Answer: Jee ker sakty hain lekin nuqsan ka khoof rahega. (Ref: Mujtahid say poochy gaey sawalat, Part#4, pg #93 ). Update on dated 16-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10137
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr istakhara ka jwb negative aye to kch saal Intezar K baad dubara usi Rishty K lye istakhara kren to Kia Ye mumkin hai K jawab positive a jae??

Answer: Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583). [Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10269
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ek martaba istakhara krny pr jawab theek naa aye tw dusri martaba krny me jawab theek aye gaa yaa nahi

Answer: Doosri marataba istekhara us soorat mai kara saktay hai jub sadqa dai dia jaey ya unwaan badal jaey.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/) [Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. May ny apny liay ek mamlay se related 3 baar istekhara kia hai khud. Or us may jawab NAA aaya hai. Kia may jawab NAA k baad bhi istekhara k jawab k khilaaf jaa sakti hn?

Answer: Istekharay ki mukhalifat karna jaiz to he lakin is baat ka khoof zaroor he k mukhalifat se naqsan pounch sakhta he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, Mafhoom e ques # 204, pg # 93) Update on dated 27-07-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10658
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: how to perform islamic istikhara for marriage +91 9928525459 In Canada

Answer: Kaha gia hay keh salawaat ko 3 baar parha ajey(Allah humma salli alaa Muhammad wa aale muhammad) phir tasbeeh ko pakarh kar 2, 2 ginte jain agar 2 daanay baqi bachain tu natija durust nahi hay or agar aik dana bache tu natija acha hay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0310/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 08-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!