Question: how to perform islamic istikhara for marriage +91 9928525459 In Canada
Answer: Kaha gia hay keh salawaat ko 3 baar parha ajey(Allah humma salli alaa Muhammad wa aale muhammad) phir tasbeeh ko pakarh kar 2, 2 ginte jain agar 2 daanay baqi bachain tu natija durust nahi hay or agar aik dana bache tu natija acha hay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0310/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 08-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Plz answer me ,agr hum istakhara krty hain aur wazu na rahy nend ma pata na lagy aur subha koi dusra bataye k ap ka wazu ni raha tha rat ko ,aur istakhara ma b behtari ajaye to kia istakhara ho jaye ga ya ni ????
Answer: Istakhara kay lea wazu mustahab nahi hay albata agar wuzu karna chatay han to niyat may bas bawazu honay k lea wazu karain, albatta bagair wuzu k baghair istakhara kia ja sakta hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b) Urwa tul vuska part(1) masla # 486) [Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh h k Istekhara agr marzi k khilaaf aye tou Dua kr k phr krna chaiye ? Ya usi pe amal krna chaiye ? Kya Dua se istekhara ka answer change hoskta hai ??
Answer: 1: Doosri marataba istekhara us soorat mai kara saktay hai jub sadqa dai dia jaey ya unwaan badal jaey. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/). 2: Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar istkhara sahi ane k bawajood rishta na karien tuo is ka kya gunah r kafara hota ha ?
Answer: Istekharay par amal karna wajib nahin hai. Haan agar istekhara main mana aay or phir is ki mukhalifat karna jaiz to hai lakin is baat ka khoof zaroor he k mukhalifat se nuqsan puhnch sakta hai. Mujtahid se pouchey gaey sawalat part #4, sawal #204, pg #93). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia surae al ahzab ki 51 aya khair hey
Answer:
Question: aoa.maulvi sahab maine istekhara kia tha padhai k lye,jis field k liye maine istekhara kia tha wo uskay haqq mai nai aya,lekin maine phr b wo field rakh li.ab muje kafi mushkilat ka samna krna par rha hai.lekin ab mai peche b nai ja sakhti q k 2 yrs hogai hai.is ka koi kaffara ya koi dua hai jis se mri mushkil hal hojai
Answer:
Question: Meri ami ka nam shabana hai mera nam mehwish zainab mai jisko pasand krti thi wahan rishte ki bat hui hai larke ka nam saqib hussain uski ami ka nam shahida hai rishta kaise rahe ga shadi k bad bhi aur abhi bhi hamari bht larai hoti bat bat py aur maibht bimar rehne lagi hun meri tbyt q rehne lagi kharb istakhara kar k batye ga plz jaldi jawab dijye ga
Answer:
Question: hum ne aik sahab se istakhara nikalwaya aur unka jawab aya k istakhara positive hai malum karne par pata chala k istakhara me un ko kuch nazar nahe aya laikin jab subah wo bedar hue tou unke tabiyat fresh the aur unho ne eska mutlab positive liya . phir eske baad hum ne aik khatoon se istakhara nikalwaya aur unka jawabh negative aya malum kia to kaha ke kuch nazar nahe aya tou nazar nahe ane ka matlab hamesha negative lia jata hai. hum buhat pareshan hai bataean kia karain?ap hamare rahnumae karain.
Answer:
Question: Salam mujhe estekhare ka PETA Karna Thai mera naam sana Thai mmy ka naam rukhsana begum hai or ladke ka naam ASIF or unki mmy ka naam rafiqa bank Thai aap plz meri preshani ka half btaaye main baht preshaan hu.or kya periods me time roza rakhna jayaz hai plz zaroor btaaye Allah hafiz
Answer:
Question: As salam walikum mujhe yeh istekhara karvana hai mein 2 month se mammi k ghar pe hoon merey husband k kisi k saath affair hai woh bhi mere rishte mein hai wo meri aunty hai sab ko maloom hi gaya ki merey husband or aunty k beech realionship hai magar ab woh aunty india mein hai aur mere husband london chaley gaye mere 3 bacchey hai woh bhi mere husband k paas haimujhe yeh maloom karna hai ki mein divorce loon ya nahi isliye mujhe istekhara kar ke bataye plz sir mein bhouth mushkil mein hoon Mere husband k naam nooh mohammed hai aur un ki ammi k naam waheeda unnisa begum or mera naam samreen fatima hai merey ammi k naam tahseen fatima plz
Answer: