Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7587
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia picture waley logo ki t.shirt pehnany se namaz ho jati hy. As logo of crocodile or horse?

Answer: Aysa libaas ka pehanna – jis per kisi chehre ki tasweer ho –namaz k makrooh shumaar kiya gaya hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 853 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7670
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hai k muje pashab k katre ate rehte hain. wazo k baad b yehi hota hai .. batain k is halat me namaz kese parhu koi wazifa hi bata de

Answer: Ager namaaz ke awal waqt se aakhir tak kuch esa waqt ho jis main ap wazo kar ke paak halat main namaaz phar sakte hain to us main namaaz pharna wajib hai.Or ager awal se aakhir tak sirf itna waqt mile jis main sirf namaaz ke wajibaat ko ada kiya ja sake to sirf namaaz ke wajibaat ka ada karna zarori hai.Or ager halat ye ho ke pishaab her waqt nikalta rehta ho or sirf namaaz ka baaz hissa (masalan 3 rakaat) paak halat main phara ja sakta ho to us hisse ko paak halat main pharna wajib hai.Or ager pishaab pure waqt is terhan nikalta ho ke puri namaaz na-paki ki halat main hoti ho to namaaz sahi hai, or ager namaaz ke dermiyaan pishaab nikal bhi jaae to namaaz batil nahi hoti.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 305 to 313).Or pishaab ki bimari se nijaat ke liye ik koraak main 6 masha haldi pani ke sath phankain. Or chini se perhaiz karain. (Ref : apna dawa khana , topic # ilaaj ba-zaryaae haldi pishaab ki ziyaatti , pg # 22 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7681
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mujhe peshab kae khatre bahot hote hae garmi ki wajaha sae isse pani nahana zaruri hae kya please answer me.....Please

Answer: Namaaz ke liye badan o lebaas ko paak karna zarori hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 787 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7687
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya puma ke tshirt mai namaz padh saktay hai jun ki usmai janwar ka logo laga hota hai?

Answer: Ager us per kisi chehre ki tasweer bani hoi hai to namaz to parh sakte hen albatta makrooh shumaar kiya gaya hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 853 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7739
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya alcohlic perfume lga kar namaz parhi ja skti h?

Answer: G han parh sakte hen. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 37 , pg # 58 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7750
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hai ke agar aapke kapde mein pisab lag jaye to use jagah ko pani se saaf karke namaj padh sakte hain ???

Answer: G han usko pani se paak kr k usi men namaz parh skate hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 122 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai).

Id: 7829
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jannabat wale kaprey galti se pehen kar bajummat nemaz parho to kya namaz dobara parna ho ga ?

Answer: Agar koe shaks ye bhol jay keh oska badan ya libas najis hay or osay namaz k doran ya os k baad yaad aay chunachah agar os ne la perwahi or ehmiyat nah daine ki wajah se bhula diya ho tu ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k wo namaz ko dobara perhe or waqt guzar gaya ho tu oski qaza kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #791) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8019
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: black kaproon me namaz parhna kesa he

Answer: jaiz hai(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #853 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8123
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe soso nekalne ke bemari hai keya is ke bawajood mai nemaz pahd saktha hoo?

Answer: 1) Agar kise ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) 4)agar kise shak ko ye areza lahaq ho k riha(gas) rokene per qadir na ho to zarore hai k un loago k fareze k mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhne per qadir na ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #314 ) Pheshaab ki jumla amraas maslan pheshaab ka ruk ruk kar aana aur baar baar aana pheshaab me khoon aana aur jalan k sath aana ya bister per pheshaab nikaljaana k lie asmahe husna (owarehmaanureheemo owalmalikulquddosussalaamo owalkaalekulbaareo ) ko awal wa aakhir salawaat perh kar darmiyaan me surah zumar ki ayat 67 ko 3 martaba perh subha suraj nikalne se phele aur sham ko goroob aftaaf k fouran baad paani per perh kar pi liya jaay. (ref: nawahe sauleheen,pg: 329) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8168
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.a.s ma jb namza prhna jata hn to sajda ma bht bar pashab ka katra mare salwar ma gir jata hain plzz iss ka koi hal batayein

Answer: Wssalam o alykum, Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo na hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70). Lehaza ager ap ko in qatro ke peshaab hone ka yaqeen na ho or ap ne peshaab karne ke baad istabra kiya ho to ye qatre paak hain or namaaz bhi sahi hai. Or ager ap ko in ke peshaab hone ka yaqeen ho to ager namaaz ke pore waqt main se thora sa esa waqt milta ho jis main ye qatre na nikalte hon to namaaz ko us waqt main pharain garche ager namaaz ke tamaam mustahabbat ko choor kar is waqt main namaaz pharna phare to mustahabbat na pharain. Or ager paak halat main pori namaaz pharne ke liye thora sa waqt bhi na mile to jitna hisa paak halat main phar sakte hain utna pharain, or ager ye qatre har waqt nikalte rehtain hon to phir ni ki parwa na karain or ap ki namaaz sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 306 to 314). Note ager in ke peshaab hone ka yaqeen ho to Doctor ko dikhaain. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!