Question: Mene Galti Se Qiblay ki Taraf thuk Diya hai iska Kya Kaffara hai
Answer: Qible ki taraf thookna haram nahi hai (ref: ulwatulwasqa, taliqe aqa sistani,part:2,1247,masla :2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA...!chaand pe namaz kis tarah parte hain? kis taraf face kar k khare hote hain.. kia tarika hai chaand pe namaz parhne ka??
Answer: He should offer his prayers facing the earth.(Ref : Email rcvd from A.sistani, dated : 08-02-13). Translation : os ko zameen ki taraf rukh ker k namaz ada kerni chahiay. (yani jo shaks chand per ho wo zameen k sayyaray (planet) ki janib rukh ker k namaz perhay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr hum kahe bahr mulk ja rhyn hon or wahan rat k wqt pohnchyn Namaz ka wqt bhe ho, tou kesay pta chlay ga k Qibla kis taraf hai? pls tell me
Answer: 1)Jo shakhs namaz parhna chahae to zaroori he k qible ki simt ka tai’yun karnay ki koshish karay ta’keh qible ki simt k baray me yaqeen ho jaay maslan 2 aadil aadmiyo ki gawahi jo hiss(sence) ya is jeisi kisi cheez ki buniyaad per qible ki simt ki gawahi de. Ya musalmano ki masjid k mehrab ko dekh kar ya momineen ki qabroo ko dekh kar ghuman paida ho us k mutabiq amal karay ya tk k agar kisi aisay fasiq ya kafir k kehnay par jo science qawaid k zarie qiblay ka rukh pechanta ho to kafi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 770) 2)agar kisi k pas qiblay ka rukh mutain karnay ka koi zarya na ho ya koshis k ba wajood is ka ghuman kisi aik taraf na jata ho to is ka kisi bhi taraf rukh kar k namaz parhna kafi he. Aur ethiyat e mustahib ye he k agar namaz ka waqt wassie ho to charoo taraf rukh kar k namaz parhay yani char bar namaz parhay. Aur zohar asar ya magrib isha parhna chahta ho to pehlay zohar ki namaz charoo taraf parhay is k bad asr ki namaz charoo taraf parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 770-75)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kisi bhi kamre ka kaba kaise pata chale
Answer: Agar qible ki samt k bare main yaqeen hasil nah ho sake tu 2 aadil admiyo ki ghawahi jo his ya aisi kisi cheez ki bunyaad per qiblay ki samt (direction) ki ghawaahi dain rahe hoon.agar aisa nah kar sake to zarori hai k musalmaano ki masjid k mehraab se ya momineen ki qabro se ya dosere tareqo se jo gumaan paida ho us k mutabiq amal kare yahan tak k kisi kafir ya fasiq k kehne per jo sciencey qawaaid(maslan compass) k zariay qiblay k rukh pehchaanta ho qiblay k bare me ghumaan paida kare to wo bhi kafi hai. Agar kisi k paas qiblay ka rukh maloom karne ka koi zaria nah ho ya khoshis k bawajood us ka gumaan kise aik taraf nah jata ho us ka kisi bhi taraf mo kar k namaaz perhna kafi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #770,772). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: zikar ki dua ka sizda kis taraf hona chahiye.koi bhi taraf ya sirf quba sharif ke taraf.
Answer: Koi dua ya koi zikr parhte hoye zaroori nahin hai ke rukh qible ki tarf ho. Albatta behtar hai ke qibla rukh hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani, edition #41, maslah #764). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: new janamaz ki length ko check karny k leye ager janemaz kaba ki bajaye kesi or direction my becha k sajda karlein sirf check krny ki neyat sy to oska gunnah to nahi?
Answer: Jee nahin, is ka koi gunah nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #764,1077). [Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum mera ek question aur hai ki k kya hum Khana Kaba ki taraf paou Karke so sakte hain ya Sam routine ma late sakty han?? Kindly es mamle mein rahnumai farman bahut shukriya
Answer: wsalam. jee is tarah sone mai koi maslah nahi hai balke ye riwayaat e masoomeen sai sabit hai k haalat e aitizaar (jaan kuni) mai jub koi shaks ho tou use is tarah sai litayaa jaaye k us k dono qadam k talway qiblay ki taraf ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 522). [Updated on 27-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Legs towards qibla during sleeping is permissible or not?
Answer: Jee is tarah sona jaiz hai aur koi maslah nahin hai balke ye riwayaat e masoomeen(a.s) se saabit hai ke jab koi insaan haalat e aitizaar (jaan kuni) me ho to use is tarah se litayaa jaaye ke us ke dono qadam ke talway qiblay ki taraf hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #522). [Updated on 24-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میں عرصہ طویل سے وہم کے مرض میں مبتلا ہوں اور ڈاکٹر کا علاج کر رہا ہوں زیادہ شک قرات میں ہوتا ہےکہ اس کو بہتر بنانے کے لیے کس حد تک کوشش کروں کیونکہ میں ںے اس کی باقاعدہ تعلیم کسی مدرسہ سے حاصل نہں کی بلکہ 2 ،4 دن اک قاری صاحب کے پاس گیا اور بعد میں نیٹ اور کتابوں سے سیکھا مسئلہ یہ ہے کہ کافی کوشش کے بعد بھی میں 'س'اور'ص' 'ہ'اور'ح' میں واضح فرق نہں کر پاتا جبکہ اپنی طرف سے میں کو شش کرتا ہوں کہ س کو باریک اور ص کو موٹا پڑھوں میری شرعی ذمہ داری کیا ہے کیا اب بھی مزید قرات کو بہتر بنانے کی کوشش کرتا رہوں جو کہ می 5سال سے کر رہا ہوں اور جس کا نقسان یہ ہے کہ اس سے میرے وہم میں اضافہ ہوتا ہے کیونکہ میں پیچیدگی میں چلا جاتا ہوں یا جتنا سیکھ لیا اس پر گزارا کروں جس کا نقصان ہہ ہو گا کہ شا۶ید کچھ عرصہ بعد مجھے دوبارہ زیادہ مشقت اٹھانی پڑے
Answer: