Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1871
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maine ek 7 saal k ladka ko gandi niyyat se bosse lye thhe lekin meri umr oos waqqt 15 saalthhi aur mai oos waqt poori tarah se baaligh nahi hua tha kya aaqirat me meri magfirat ho paayingi ?

Answer: 1)lerkay k baligh honay ki alamaat 3 cheezo main se aik hoti hay: i) naaf k neechay or sharamgaah se oper sakht balo ka ugna. ii) mani ka kharij hona. iii) bina bar mas’hoor umar k 15 qamri(yani chand k hisab se) saal poray kerna. Cheray per or hoonto k oper sakht balo ka ugna ba’eed nahi(yani fatwa ki bina per) keh blughat ki alamat ho.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2215-16) 2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2946
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Slam. Mera que ye hai k ek baligh lrke ko kia kia info hone chae? Plz jawab lazmi dejeyga. Tafseel s.

Answer: 1) Her mukallaf (baligh o aaqil) musalmaan k liay usool e deen ko baseerat k saath (daleel k saath) jaanna zarori hay.laikin agar wo Islam k sahi aqaid per yaqeen rakta ho or is ka izhaar kerta ho agarchah ye izhaar daleel k bagair ho tab bhi wo musalman or momin hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa،il, Maslah# 1). 2) Deeni ehkamaat main musallamah or qat,e umoor ko chorh ker baqi ehkamaat main zarori hay k ya tu mujtahid hoon(yani ehkaam ko daleel k zerye hasil karain) ya kisi mujtahid ki taqleed karain ya phir ehtiyaat per amal karain(maslan agar chand mujtahid kisi amal ko haram qaraar dain or chand haram nah kahain tu os amal se perhaiz karain or agar baaz mujtahid kisi amal ko wajib or baaz mustahab qaraar dain tu os ko zaroor bja laa,ain). 3) Mukallaf(baligh o aaqil) k liay wo tamaam masail seekhna lazim hain jin k baray main ehtemaal hay k nah seekhne ki wajah se khuda ki masiyat(nafermani) main mubtila ho sakta he, yani kisi wajib ko terk kerne ya kisi haraam ko anjaam saine ka murtakib ho sakta hay. Note:deeni ehkamaat per amal kerne k laiy sab se asaan tariqa taqleed hi hay.mujtahiod banna(mufti) or or ehtiyaat per amal kerne k liay kaseer ilm ko waqt ki zarorat hoti hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3801
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz kitne saal mai wajib hy

Answer: Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad balig hoti hai. Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain. 1) Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana 2) Mani ka kharij hona 3) Mashoor ki bina per 15 chand wale saal ka poora hona . chahray aur hathoo per sakht baalo ka aana (jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6381
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: LARKI PER ROZA WAJIB 9YEARS PER HOTA HAI YA AFTER BALOGAT PLEASE CLEAR ME.

Answer: Larki main baligh honay ki alamat ye hay k wo 9 saal chand k hisaab se mukammal poray ker lay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note: jab insaan baligh aur aaqil ho jaay to is per namaz, roza aur dosray sherie ahkaam lago ho jatay hain.

Id: 6530
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namazain kitni umar say wajib hen? aur kaya hum apni zindagi main kisi ko hadiya dy kr apni qaza umri namazen parhwa saktay hen? kaya aisa krna jaez hai?

Answer: Larkay k balig hone ki 3 alamatain hain. 1)Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana 2)Mani ka kharij hona 3)15 chand wale saal ka poora hona . chahray aur hathoo per sakht baalo ka aana(jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216,) Jab tak insaan zinda hai chay wo apni qaza namazo perhne se qasir he kyu na ho kohi dosera shaks is ki qaza namaze nahe perh sakta . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1368) Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356) kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8204
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslammoalaikum mera sawal ye hy keh insan pe namaz kb farz hoti hai aur pancho namazon ki sari sunnat farz aur nafl ke bare mein btaen

Answer: Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain, Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana,Mani ka kharij hona, 15 chand wale saal ka poora hona, chahray aur huthoo per sakht baalon ka aana, Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad balig hoti hai(jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216,) 1) Rozana ki 5 namaze wajib hai.zohar,aur asar har aik ki 4 rakhat hai,maqrib ki 3 rakhat , esha ki 4 rakhat aur fajar ki 2 rakhat hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #717 ), Rozana ki mustahab (nafla ,sunat )namaze jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakhat zohar ki,8 rakhate asar ki , 4 rakate maqrib ki ,2 rakhate esha ki, 11rakhate namaz shab ki , aur 2 rakhate namaz subha ki . laikin Juma k din zohar aur asr ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai behtr ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 752) Namaz Zohar , asar ki nafla (mustahab namaze) agar namaz zohar , asar k bad perhe jaay to qaza ki niyate se perhe jaay ghi. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part #2 ques # 57 pg # 36) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8799
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my daughter is 11 year old and she didn't hit puberty is it roza wajib for her kindly answer me

Answer: A girl becomes puberty (baligha) upon completion of her nine lunar years. So fating is obligatory for her. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2215). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8989
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larkiyon per parda(hijaab) kab wajib hota hay?or namaz or roza kab farz hota hay

Answer: Larkiyon per parda(hijaab) , namaz or roza chand k mahine k 9 saal mukammal hone k baad wajib hotay hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1). Update on dated 02-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9056
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Balig ki nishany

Answer: Larki main baaligh hony ki alamat yeh hai kay wo (9 qamari saal) pory kerlay aur larkay kay baaligh hony ki alamat teen (3) chezon main say aik hoti hai : 1)Naaf kay neechy aur sharam gaah se oopar sakhat baalon ka ugna. 2)Mani ka kharij hona. 3)15 qamari saal pory kerna. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2215). Update on dated 28-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 11682
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A meri umar 18 saal hai, mere naaf k niche baal 3 saal phle agay lekin mje ehtalam ka pata nahi chal raha k hova k nahi. mje kese pata chale ga?? or meri darhi bhe nahi ai abhe. is bare ma, ma kia karoo?? please ans. it

Answer: Larkay k baligh honay ki alamaat 3 cheezo main se aik hoti hay: i) Naaf k neechay or sharamgaah se oper sakht balo ka ugna. ii) Mani ka kharij hona. iii) Bina bar mashhoor umar k 15 qamri(yani chand k hisab se) saal poray kerna. Cheray per or hoonto k oper sakht balo ka ugna ba’eed nahi(yani fatwa ki bina per) keh blughat ki alamat ho.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2215-16) [Updated on 12-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!