Question: Aslaao o Alaikum, Beti ki umer 14 sy 15 saal k drmiyan hai or abi usy 2 bar ehtlam huwa hai kea ye baloghat ki nishani hai?? or kb kb ho jata hai aesa??
Answer: Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain, Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana, Mani ka kharij hona, 15 chand wale saal ka poora hona, chahray aur huthoo per sakht baalon ka aana, Aur Larki 9 qamari (chand waly) saal puray karnay k baad balig hoti hai (jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216,) [Updated on 13-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: larkai pr namaz kb farz hoti hai? kis umar mai bachai pr namaz farz hoti hai?
Answer: 1: Larki 9 qamari (chand wale) saal puray karnay ke baad balig hoti hai. 2: Larkay k baligh hone ki 3 alamatain hain: 1) Naaf ke neeche aur sharamghah ke uper sakht baalo ka aana. 2) Mani ka kharij hona. 3) 15 chand wale saal ka poora hona. 4) Chahray aur hoonton par sakht baalon ka aana. (Note: Jab insaan (larka, larki) baliqh aur aaqil ho jain to is par namaz aur dosray sharaei ahkaam wajib ho jatay hain). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216). [Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, mera sawal qaza namaz aur rozay ke baray mein hai. baligh hone se phle mjhe bulughat ki 3 nishaniyan pta nhi theen. srf ye pta tha k 15 saal ki umar mein larka baligh ho jata hai. ab baligh honay k bad mjhe 3 nishaniyon ka ilm hua to pta chala k mein 12 saal ki umar mein h baligh ho gya tha. in 3 saalon mein jo namaz aur rozay maine nhi rakhay, unki qaza deni paray gi ya masla na maloom hone ki waja se koi riayat hai? esa nhi hai k maine in 3 saalon mein koi namaz nhi prhi aur na h koi roza rakha. balke maine ye saray amaal 10 saal ki umar se h start kr dye thay lakin ek to wajib ki niyyat se nhi kye aur dosra agr koi namaz ya roza miss ho jata to uski qaza bhi nhi ki. dosri bat ye k mjhe in 3 saalon mein na h janabat ke baray mein ilm tha aur na ghusl krne ka kch pta tha. islye maine khud ko pak samajhtay huay anjane mein janabat ki halat mein h namazain aur rozay rakhay hain. kya ye namzain aur rozay batil hain jabke mjhe iska masla maloom nhi tha, aur in sab ki qaza deni hogi ya srf unki jo mjhse in 3 saalon mein miss huay hain? Shukriya.
Answer:
Question: Salam Mera sawal hai k ek larki pr namaz, roxa kb sy wajib hota hai? Agar wo baligh 15 saal ki umar mai hui hai tou kia tb bhei 9 saal ki umer s wajib hongy? Aur jo rozy us s qaza huay hain unka kufara deny ki haisiat na ho tou kia krein?aur kia tauba k baad bhei wo rozy aur namaz prhna farz hain?
Answer:
Question: AOA. Mera yeh sawaal hai k jab larka baligh ho jata hai tou usko waldain us ko ahkamaat detay hain. wo ahkamaat kya hain tafseelan bata den. meray walden nay mujhay deen k wo khaas ahkamaat nhi bataye jo baligh honay pr larkon ko bataye jatay hain jazakallah
Answer:
Question: mera sawal ye h k aaj kal biloghat par kafi sawal uth rahy hain k akhir biloghat ki kiya nishaniyan hain mera sawal ye h k kiya larky k azu ki harkat o saknat bhi biloghat m shamil hail lekin azu ki harkat o saknat tou pedaish k sath hi shuru ho jati hain jawab jald dain shukriya
Answer:
Question: Salam larke ki age agr 13 Saal ho to kitni alamatoun ka poora Hona yeh saabit karega k larka baligh hochuka hai ya nhi?? Agr balaghat ki koi ek alamat poori hui ho to kia larka baligh hojaega?? Q k hijaab wajib hone k hawale se pareshani ka saamna Karna parraha hai k aese larke se hijab wajib hai k nh
Answer: