Question: salam istihaza men husband se sex karna kya hukum rakhta hen
Answer: Jis aurat ko khon e istehaza aa raha ho or os ne apna wajib ghusl ker lia ho tu oska apne shohar k saath hambistari kerna jaiz hay or agar oska apnay wajib ghusl kerne se pehlay hambistari kerna ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 426). Jo aurat istehaza e kasira ya mutawasita main ho agar wo chahay k namaz k waqt se pehlay apne shohar se hambistari karay tu ehtiyaat e mustahab(sawaab) ye hay k ghusl k baad hambistari karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 427).
Question: what is istihaza please indetail me briefly bataiyeh
Answer: One type of blood which is seen by women is called istihaza and a woman in that state is called mustahaza. 398. Istihaza is usually yellowish and cold and is emitted without gush or irritation and is also not thick. It is, however, possible that at times the colour of the blood may be red or dark, and it may also be warm and thick and may be issued with gush and irritation. 399. There are three kinds of istihaza viz. slight (Qalila), medium (Mutawaassita) and excessive (Kathira). Explanation is given below: Little blood (Qalila): If the blood remains on the surface of the wool or pad etc., (placed by a woman on her private part) but does not penetrate into it, the istihaza is called qalila. Medium blood (Mutawassita): If the blood penetrates into the cotton (or pad etc.), even partially, but does not soak the cloth tied on the outer side, the istihaza is called mutawassita. Excessive blood (Kathira): If the blood penetrates through the cotton, soaking it and the cloth (etc.) around it, the istihaza is called kathira.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2169)
Question: salam. plz mughy reply kar dayn main. i am waiting . yellow katry kyun aur kahan c aty hain aur es c kesy nijat mumkin hay
Answer: Auratoo ko jo khoon aatay hain un mai sai aik istehaza hai ye khoon ziada tar zard rung ka aur thanda hota hai. aap ko jo yellow color ka pani aata hai agar wo ye hi istehaza hai to os k shariat mai alag ahkamaat hain aur agar ye nahi hai to aap kisi lady doctor sai contact karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 390)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: istehaza main namaz qubool hoti hai
Answer: istehaza e qalila main har namaz k liay alag wuzu kerna zarori hay or ehtiyaat e mustahab ki bina (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 392 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salam. Istehaza ki age aur muddat kia hai? Kis age se start ho sakta hai aur kis age pe aa kar band hota hai? Kia monthly aata hai jaisay k haiz? Aur kitne din ka ho sakta hai?
Answer: Istehaza baligh hone k baad se aa sakta hay, 60 saal tak tu istehaza aa sakta os k baad agar istehaza aaey tu ehtiyaat e wajib hay k istehaza k tariqay per amal karay. Ye har mahine nahi aata, laikin kabhi bhi aasakta hay, istehaza k aanay ki kam ya ziyada koe muddat nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part#1, before maslah #237). Update on dated 27-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya istahaza ke huun mein huun ke lothre paye jatte hain Jesse heeze ke huun mein? Heeze aur istahaza ke huun mein faraq kesse Kiya jaye plz rehnamayi farmaye
Answer: Agar aurat haiz main waqt or adad ki adat rakhti ho or adat k ayaam mukammal hone k baad or das din se pehlay khoon ka qatra spooting ya zard rang ka khoonh aay tu is ki 2 soratain hain 1 ye khoon musalsal aa raha ho or khatam nah ho tu agar ye khoon 10 din se pehlay khatam ho jaey tu haiz shumaar hoga or agar 10 rooz k baad khatam ho tu jo khoon 10 rooz k baad aay wo istehaza hoga 2 khoon ka qatra spooting ya zard rang ka khoon mustaqil nah ho maslan aik autat apni adat k mutabiq mahine ki 1 se 7 tareekh tak khoon e haiz daikhay or paak ho jaay or os ne ghusl e haiz anjam bhi day liya phir do din k baad zard khoon aya or os k baad khatam ho gaya tu ye bhi haiz shumaar ho ga or aurat ko dobara ghusl e haiz karna hoga or do paaki k darmiyaan ehtiyaat e wajib ki bina per on tamaam kaamo se parhaiz kerna hoga jo haaiz per haram hain or or wo tamaam kaam anjaam daine hoongay jo ghair e haaiz per wajib hain or agar is aurat ko phir 11 tareekh ko khoon ka qatra spooting ya zard khoon aay tu ye istehaza shumaar ho ga. (Ref: tauzihul masael jaame part 1 maslah 569). [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Istehaza qalila mi husband s context kr salty by
Answer: Jis aurat ko khon e istehaza aa raha ho or os ne apna wajib ghusl ker lia ho tu oska apne shohar k saath hambistari kerna jaiz hay or agar oska apnay wajib ghusl kerne se pehlay hambistari kerna ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah# 426). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Does istahaza effect fertility?
Answer: Allah ne aurtoon ki takhleeq khuch is terah se ki hay k mukhtalif auqaat main on k badan se nuqsaandah khoon kharij ho jata hay. Jab haiz(حیض), nifaas(نفاس) or istehaza(استحاضہ) k khoon aanay band ho jain to ghusl e haiz, nifaas or istehaza wajib ho jatay hain. Is ke tafseeli ehkaam kitaab ‘tauzeehul masail” main derj hain. (Ref : E hkaam e Islam, part #2, Ayatullah Sistani(d.b), pg #47) Istehaza(استحاضہ) ka khoon: Autoon ko jo khoon aatay rehtay hain on main se aik khoon istehaza hay or aurat ko khoon istehaza aanay k waqt mutehaza kehtay hain. Khoon e istehaza ziyada tar zard rung ka or thanda hota hay or fishar or jalan k baghair kharij hota hay or garha bhi nahi hota laikin mumkin hay ke kabhi kala ya laal or garm or garha ho or jalan k saath kharij ho. Haiz(حیض) ka khoon: Haiz wo khoon hay jo aam taur per her mahinay chand dino k liay aurtoon k rehem se kharij hota hay or aurat ko jab haiz ka khoon aay tu osay haaiz(حائض) kehtay hain. Haiz ka khoon aam taur per garha or garam hota ha or oska rung kala ya laal hota hay. or wo taizi se or thorhi si jalan k saath kharij hota hay. Nifaas(نفاس) ka khoon: Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, or nifaas ki halat men aurat ko nufasa(نفساء) kehtay hain. or ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aaye laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahin kehte. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #390,432,498,501). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Istehaza m zra si spotting py bi hr namaz m kpra ya pad Change krna chahiye??
Answer: 1: Istehaza 3 qisim ka hota hai 1. Qaleela 2. Mutawassita 3. Kaseera. Istehaza qaleela ye hai ke khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko aaluda kare jo aurat apni sharamghah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare. Istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye, agarche is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten umooman khoon rokne ke liye bandhti hain. Istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye. 2: Upar zikr ki 3 aqsaam me se har aik ka hukum alag alag hai. Istehaza qaleela mein royi ko dhona ya usay tabdeel karna zaroori to nahin hai lekin behtar hai. Albatta Istehaza mutawassita aur Istehaza kaseera mein royi ko dhona ya usay tabdeel karna zaroori hai. Is ki tafseelaat ke liye darj zel masaail mulahiza faramayen. 2: Istehaza qaleela men har namaz ke liay alehda wazu karna zaroori hai aur ehtiyat e mustahab ki bina par (yani zaroori nahin lekin behtar hai ke) royi ko dhole ya usay tabdeel kar day aur zaroori hai keh sharamghah ke zaaheri hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho lay. 3: Istehaza mutawassita mein ehtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh aurat apni namazon ke liye rozana aik ghusal kare. yeh bhi zaroori hai ke royi ko dhole ya usay tabdeel kar day aur zaroori hai keh sharamghah ke zaaheri hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho lay. 4: Istehaza kaseera mein ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke aurat har namaz ke liye royi aur kapray ka tukra tabdeel kare ya usay dhoye aur aik ghusl fajar ki namaz ke liye aur aik ghusal zuhr o asr ki aur aik ghusl maghrib o isha ki namaz ke liye karna zaroori hai. aur zohr o asr aur maghrib o isha ki namazon ke darmiyan faasla nah rakhe aur agar faasla rakhe to asr aur isha ki namaz ke liye dobara ghusl karna zaroori hai. Yeh mazkurah ahkam us surat mein hain ke agar khoon bar bar royi se patti par puhunch jaye. Agar royi se patti tak khoon puhunchne mein itna faasla ho jaye ke aurat is faaslay ke andar aik namaz ya aik se ziyada namazein parh sakti ho to ehtiyat e lazim ye hai ke jab khoon royi se patti tak puhunch jaye to royi aur patti ko tabadil kar lay ya dho lay aur ghusl kar lay. Isi bina par agar aurat ghusl kare aur maslan zuhr ki namaz parhe lekin asr ki namaz se pehlay ya namaz ke dauran dubara khoon royi se patti tak puhunch jaye to ehtiyat e lazim ki bina par asr ki namaz ke liye bhi ghusl kiya jaye. Lekin agar faasla itna ho ke aurat is dauran do ya do se ziyada namazein parh sakti ho, maslan maghrib aur isha ki namaz khoon ke dubara patti par puhunchne se pehlay parh sakti ho to zaahir ye hai ke in namazon ke liye dubara ghusl karna zaroori nahin hai aur beher haal Istihaza e kasira mein ghusl karna wuzu ke liye bhi kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #391,392,393,394). [Updated on 08-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Muje istehaza qaleela hai aur me rajab ki pehli Thursday ki namaz lailatul regaib perhu.. toh kia har 2 rakat k baad wuzu karun ya puri 12 rakat aik wuzu se perh lun
Answer: Namaz chahe wajib ho ya mustahab ho, Istehaza qaleela me har namaz pehlay wuzu karna zaroori hai aur 2 ya chand namazen aik wuzu ke sath parhna jaiz nahin hain chahe 2 ya chand namazen bager faasle ke lagatar namaz parhi jayen. {yani mustahab namaz me bhi har 2 rakat se pehlay wuzu karna zaroori hai}. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #648). [Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]