Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16816
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Istahaza k doran Kya har wazu k bad nmaz k lya pad ya cotton change krna hoga?

Answer: 1: Istehaza 3 qisim ka hota hai 1. Qaleela 2. Mutawassita 3. Kaseera. Istehaza qaleela ye hai ke khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko aaluda kare jo aurat apni sharamghah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare. Istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye, agarche is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten umooman khoon rokne ke liye bandhti hain. Istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye. 2: Upar zikr ki 3 aqsaam me se har aik ka hukum alag alag hai. Istehaza qaleela mein royi ko dhona ya usay tabdeel karna zaroori to nahin hai lekin behtar hai. Albatta Istehaza mutawassita aur Istehaza kaseera mein royi ko dhona ya usay tabdeel karna zaroori hai. Is ki tafseelaat jaanne ke liye darj zel Reference me diye masaail numbers mulahiza faramayen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #391,392,393,394). [Updated on 27-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17145
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz shuroo hony se 3, 4 din pehly light brown aur yellow color ka discharge shoroo ho jata hy. Kya wo din haiz mai shumar hoty hy. Kya un days mai namaz roza rakhna chahiye.

Answer: 1: Wo khoon istehaza shumaar hoga Q ke wo ziyada tar yellow hota aur is soorat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain. 2: Istehaza 3 qisim ka hota hai , aur . 1. Qaleela: Istehaza qaleela ye hai ke khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko aaluda kare jo aurat apni sharamghah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare. 2. Mutawassita: Istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye, agarche is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten umooman khoon rokne ke liye bandhti hain. 3. Kaseera: Istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye. 3: Upar zikr ki 3 aqsaam me se har aik ka hukum alag alag hai. 1. Istehaaza qaleela mein har namaaz ke liye alehda wuzu karna zaroori hai aur ehteyaat-e-mustahab ki bina par royi ko dho lay ya use tabdeel kar day aur zaroori hai keh sharmghah ke zaaheri hisse par khoon lagaa hone ki surat main use bhi dho lay. 2. Istehaaza mutawastah mein ehteyaat-e-laazim ki bina par zaroori hai ke aurat apni namaazon ke liye rozana aik ghusl kare. Yeh bhi zaroori hai ke Istehaaza qaleela ke woh afaal anjaam day jo saabeqa masleh mein bayan ho chuke hain. 3. Istehaaza kaseera mein ehteyaat-e-waajib ki bina par zaroori hai ke aurat har namaaz ke liye royi aur kapre ka tukra tabdeel kare ya use dhoye aur aik ghusl fajr ki namaaz ke liye, aik ghusl zuhur-o-asar ki aur aik ghusl maghrib-o-ishaa ki namaaz ke liye karna zaroori hai aur zuhur-o-asar aur maghrib-o-isha ki namazon ke darmiyan faasla nah rakhe aur agar faasla rakhe to asar aur isha ki namaaz ke liye ghusl karna zaroori hai. Is ki tafseelaat jaanne ke liye darj zel Reference me diye masaail numbers mulahiza faramayen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #390,391,392,393,394). [Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17202
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: periods se pehlay 2-3days light spotting hoti hai, kya us halat mei hum rozaa rakh sakty hai?? kya hukum hai....proper bleeding 3days bd ho aek aurat ko....

Answer: 1: Wo khoon istehaza shumaar hoga Q ke wo ziyada tar yellow hota aur is soorat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain. 2: Istehaza 3 qisim ka hota hai. 1. Qaleela: Istehaza qaleela ye hai ke khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko aaluda kare jo aurat apni sharamghah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare. 2. Mutawassita: Istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye, agarche is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten umooman khoon rokne ke liye bandhti hain. 3. Kaseera: Istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye. 3: Upar zikr ki 3 aqsaam me se har aik ka hukum alag alag hai. 1. Istehaaza qaleela mein har namaaz ke liye alehda wuzu karna zaroori hai aur ehteyaat-e-mustahab ki bina par royi ko dho lay ya use tabdeel kar day aur zaroori hai keh sharmghah ke zaaheri hisse par khoon lagaa hone ki surat main use bhi dho lay. 2. Istehaaza mutawastah mein ehteyaat-e-laazim ki bina par zaroori hai ke aurat apni namaazon ke liye rozana aik ghusl kare. Yeh bhi zaroori hai ke Istehaaza qaleela ke woh afaal anjaam day jo saabeqa masleh mein bayan ho chuke hain. 3. Istehaaza kaseera mein ehteyaat-e-waajib ki bina par zaroori hai ke aurat har namaaz ke liye royi aur kapre ka tukra tabdeel kare ya use dhoye aur aik ghusl fajr ki namaaz ke liye, aik ghusl zuhur-o-asar ki aur aik ghusl maghrib-o-ishaa ki namaaz ke liye karna zaroori hai aur zuhur-o-asar aur maghrib-o-isha ki namazon ke darmiyan faasla nah rakhe aur agar faasla rakhe to asar aur isha ki namaaz ke liye ghusl karna zaroori hai. Is ki tafseelaat jaanne ke liye darj zel Reference me diye masaail numbers mulahiza faramayen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #390,391,392,393,394). [Updated on 16-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17299
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya istehaza mai spotting hokar ruk jaye ghusal jaiz hai.?

Answer: 1: Istehaza 3 qisim ka hota hai 1. Qaleela 2. Mutawassita 3. Kaseera. Istehaza qaleela ye hai ke khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko aaluda kare jo aurat apni sharamghah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare. Istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye, agarche is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten umooman khoon rokne ke liye bandhti hain. Istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye. 2: Upar zikr ki 3 aqsaam me se har aik ka hukum alag alag hai. Istehaza qaleela mein royi ko dhona ya usay tabdeel karna zaroori to nahin hai lekin behtar hai. Albatta Istehaza mutawassita aur Istehaza kaseera mein royi ko dhona ya usay tabdeel karna zaroori hai. Is ki tafseelaat ke liye darj zel masaail mulahiza faramayen. 3: Istehaza qaleela men har namaz ke liay alehda wazu karna zaroori hai aur ehtiyat e mustahab ki bina par (yani zaroori nahin lekin behtar hai ke) royi ko dhole ya usay tabdeel kar day aur zaroori hai keh sharamghah ke zaaheri hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho lay. 4: Istehaza mutawassita mein ehtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh aurat apni namazon ke liye rozana aik ghusal kare. yeh bhi zaroori hai ke royi ko dhole ya usay tabdeel kar day aur zaroori hai keh sharamghah ke zaaheri hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho lay. 5: Istehaza kaseera mein ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke aurat har namaz ke liye royi aur kapray ka tukra tabdeel kare ya usay dhoye aur aik ghusl fajar ki namaz ke liye aur aik ghusal zuhr o asr ki aur aik ghusl maghrib o isha ki namaz ke liye karna zaroori hai. aur zohr o asr aur maghrib o isha ki namazon ke darmiyan faasla nah rakhe aur agar faasla rakhe to asr aur isha ki namaz ke liye dobara ghusl karna zaroori hai. Yeh mazkurah ahkam us surat mein hain ke agar khoon bar bar royi se patti par puhunch jaye. Agar royi se patti tak khoon puhunchne mein itna faasla ho jaye ke aurat is faaslay ke andar aik namaz ya aik se ziyada namazein parh sakti ho to ehtiyat e lazim ye hai ke jab khoon royi se patti tak puhunch jaye to royi aur patti ko tabadil kar lay ya dho lay aur ghusl kar lay. Isi bina par agar aurat ghusl kare aur maslan zuhr ki namaz parhe lekin asr ki namaz se pehlay ya namaz ke dauran dubara khoon royi se patti tak puhunch jaye to ehtiyat e lazim ki bina par asr ki namaz ke liye bhi ghusl kiya jaye. Lekin agar faasla itna ho ke aurat is dauran do ya do se ziyada namazein parh sakti ho, maslan maghrib aur isha ki namaz khoon ke dubara patti par puhunchne se pehlay parh sakti ho to zaahir ye hai ke in namazon ke liye dubara ghusl karna zaroori nahin hai aur beher haal Istihaza e kasira mein ghusl karna wuzu ke liye bhi kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #391,392,393,394). [Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!