Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 867
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam. me phle bhi do baar ye sawal kar chuki hn lekn apne reply nahi kia k ahtiat e wajib aur ahtiat e lazim same hn ya nahi? agar same nahi tu ahtiat lazim ki definition kia he ?aur mirror k samne namaz parhna makroh he k mubah?plz reply.

Answer: 1) Agar mujtahid kisi kaam k wajib or lazim honay ka istefaada ayat aur riwayaat se is tarah karay k is ka khuda ki taraf munsoob karna mumkin ho to os ki tabeer lafz “wajib” se ki jati hay aur agar wajib or lazim honay ko kisi aur zariay se maslan aqli daleel se samjha ho is terha k is ka khuda ki taraf mansoob karna mumkin na ho to is ki tabeer lafz lazim se ki jati he. Ethiat e wajib aur eyhiat e lazim me isi farq ko peshay nazar rakhna chahae, laikin muqallid k lie maqam e amal me “wajib” aur “lazim” k darmian koi farq nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istehilat pg # 477 , 478) 2)aaynay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref :e-mail Rcvd Ayatullah Sistani(d.b),dated: 19/03/10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 898
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ahtalaam kia ha.? or ek mahinay ma ketne dafa hona chai . or ye kun hota ha.?

Answer: sotay main(yani neend ki halat main) mani k kharij honay ko ethilam kehtay hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),tauzeehul masa’il, maslah#1571). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 905
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Whats the tashreeh of word "Salle" in Durood? Is there any resemblance in "salle" and "Salaat"?

Answer: “salle” means “tu rehmat baijh” “Sallat” means “namaz or dua”

Id: 1799
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam:farz aur wajib mai kia faraq hia explain kara aap

Answer: Wajib or farz dono ka aik hi matlab hay. Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2779
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mustahab kise kehte hain?

Answer: wo kaam jis ko karne main sawaab ho lekin na karne main guhnaah na ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # fiqha istilahaat , pg # 493 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 4103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia sunnat chorrna jaiz hay.suna hay k arab amarat main sunnat nahain parrhi jati.hadees ,sunnat aur quran k hawalay say is ka jawab dain.

Answer: Mustahabb ya sunnat yani pasandidah. Jo kaam Allah ko pasand ho lekin os kaam ko wajib qarar na dau. Har wo hokum jis ko krnay mai sawab lekin trk krnay mai ghunnah na ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Jaded maslah pg # 479) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5776
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Makrooh kay kia matlab hai aur agar koi shaks makrooh kam karta hai tu kia us ko gunah milata hai ya nai

Answer: Makrooh yani na-pasandidah, yani wo kaam jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtr ho. Albetta is k anjam denay mai koi ghunah nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, fiqhi istehalat pg # 493)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 11660
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: MAKROOH KI SIMPLE DEFINATION ? AGAR MAKROOH KO KHUDA KA NAPASANDIDA AMAL SAMJHA JAE TO SAHE HAI?

Answer: Makrooh yani na-pasandidah, yani wo kaam jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtr ho. Albetta is k anjam denay mai koi ghunah nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, fiqhi istehalat pg # 493) [Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ijazat ehtiyaat e lazim ka kya myob hota hai

Answer: Ehtiyat lazim ka matlab ye hota hay ke jo mujtahid aalam hai ( yani wo mujtahid jo apne zamaane dosere mujtahideen se hukme khuda ko samgene ki ziyada salaheyat rakhta ho ) ne kise masle me fatwa na dia ho or maslan ye kaha ho ke ehteyat ye hay ke namaz ki phele rakhat me alhamd ke baad aik pure sureh perhe jaay tu is mujtahid ki taqleed karne wala ya tu is ehtiyat per amal kare ya phir apne muntahid ke baad jo zinda dosera mujtahid hay or dosere mujtahideen se aalam hay us ke fatwe per bhe amal karsakta hay or dosere surah ko choor sakta hay.( Ref: tuiziul masail aqa sistani , masala no :2,6) [Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12951
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: "AYATOLLAH" ya matlab kya hai?

Answer: Aytullah ka (lafze) maana Allah ki nishani hai. mazeed maloomat ke liye is link ko visit karen.(Ref:https://ur.wikishia.net/view/%D8%A2%DB%8C%D8%AA_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81 [Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!