Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11858
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghabrahat hone lagta hai acchank

Answer: wssalam o alykum, her roz sone se pehle sura e yaseen ki tilawat karain.(Ref : mafaati ul jinaan , fehrist e baqiyaat e salihaat , topic # dushman per fatha pane ki dua , pg # 467 ) [Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12174
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghabrahat hoti hai

Answer: Her roz sone se pehle sura e yaseen ki tilawat karain.(Ref : mafaati ul jinaan , fehrist e baqiyaat e salihaat , topic # dushman per fatha pane ki dua , pg # 467 ) [Updated on 19-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12558
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mere sath ajeeb masla.h mhjy ajeeb wehm khyal aty h k mhjy ye na ho jai ye Hong wala rat ko neend b no ati plz help

Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah #94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn o ghum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94). [Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13337
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Intehayi Mayoosi Aur intehayi Na ummeedi se bahar nahi aa paane ki surat mein Kya Karna chahiye ?

Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah #94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn o ghum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94). [Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13504
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamaikum What treatment is available for depression and anxiety, waham mental illness. Shukriya

Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah #94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn o ghum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94). [Updated on 24-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14315
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere bhai ko bht depresion rehta hai jis ki waja se usy khana b acha nhi lagta khana dhk k he ulti ki tarah ati hai plz is k lye koi wazefa bta den

Answer: Depression k izalay ke liay 2000 baar is zikr ka parhna gham ko door kar deta hai “Sahlan bi fazlika yaa aziz”( سَهْلاً بِفَضْلِکَ یا عَزیزْ). (Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, pg #92,93). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me 11sal s preshan hu na sehat h na sukoon ma achi taleem upr s family ghr s niklny b nhi dyti. Muj kuch Krny n dyti m depression ki mareez hurhi hu ghr m bhety bhety ....mery dil m khudkuushi ki jazbat ubarty h ky Mr jaoo bs me

Answer: Agar koi khud kushi karta hai to use azab diya jai ga Q ke Khud khushi kerna gunahan e kabira main se hay aur jo gunah e kabira anjam dega us se hisab o kitab sakhti se liya jai ga.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30). 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah #94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn o ghum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94). [Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15290
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAAM MERI ZINDAGHI MA SAKOON NAHE MA KUSHI CHAHTA HU KOI AISA WAZEEFA BATAY JIS SA MUJA SAKOON KUSHI OR HAR MASLAY KA HAL MIL JAYE BUHT SHUKRYA

Answer: Hazrat Imam Jafar Sadiq(a.s) irshad farmaty hain k:”Jo Surah Ankboot (sorah #29) ko likhe or os ka pani piye tu ye us k Dil ko sukoon Aata kare ga or us ky seene ko kushada kare ga”. 7 roz tak agar surah e alam nashrah (surah #94) ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn o ghum door ho jain gay. (Ref: Duniyaan wa Ahkirat ke 100 Parishaneon k Hal Pg #20,92,94). (Note: Aap apne mazi ko bhool kar apne haal par tawajo den or khuda ki madad or rehmat se mayusi ikhtiyar na kren, Or khuda se Mohammad w Aal-e-Mohammad ka waseela de kar tawasul ikhtiyar karen, khuda un Buzrg Hastiyon k sadqe aap ke tamam Masaail ko zaroor hal farmaye ga. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharosa karay or ju haraam kaam hoe hai un ko dobara anjaam na dea jaae or jo wajibaat qaza hoghe haain jese namaz roza waghera un ko ada kia jaay..). [Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15797
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam! Mera confidence khatam ho gaya hai.kisi se baat kartay huay hichkichahat hoti hai.speaker pe koi tilawat ya taqreer karnay se bhi hichkichahat hoti hai.please is kay liyay koi wazifa tajweez farmayen

Answer: 1: Tabarsi farmate hain keh ghabrahat k liay 17 martabah sorah alam nashrah ki tilawat ki jaey or do baar ye amal dohraya jaey, aik suubah or doosri baar asr k waqt.(Ref: Khasaesul Quran, pg#86). 2: Rozana 1000 martaba ya allaho pharye. (Ref: nawaa e saleheen, pg #276). [Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19807
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Ajeeb sa khof hota hai dar se dehal jata hun kisi kam m dil nhi lagta bus razai m soya rakhun

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!