Question: salam kia 0.0 beer pena gunah hai plz ans dena
Answer: Sharab (beer) aur har wo cheez jo mukammal ya juzvi tor par nasha awar ho, thoos(solid) ho ya liquid, ye sab haram hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 164 pg # 123) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sharab kis ayat mean haram ha or kio haram ha
Answer: 1)Quran mai bohat sai maqamat par sharab k haram honnay k zikr moujood hai. 1)Surah e maida surah # 6, ayat # 90 aur 91 mai hai k “iman walo sharab, juwa, but, pansa ye sab ganday shaitani aamal hain lehaza in sai perhaiz karo ta k kamiabi hasil kar sako. Shaitan to bas ye chahta hai k sharab aur juway k baray mai tumharay darmian bugz aur adawat paida kar dai aur tumhain yad e khuda aur namaz sai rok dai, kia tum waqaen ruk jao gay.” Is k alawa surah baqra surah # 2 ayat # 219, surah Muhammad surah # 47 ki ayat # 15 aur is k alawa surah yousuf mai bhi sharab ka zikr aya hai. 2)Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sharab k haram ho jana pa sahaba na kya kaha or kya kia????? Ans me in surah maidha
Answer: Sharab ki hurmat ka hokum aanay k bad sahaba nai ye sawal uthaya k jo logh is sai pehlay pi kar mar gae hain un ka kia hashr ho ga? to jawab mila k agar inhonay taqwa sai kaam lia hai to koi haraj nahi hai aur ye taqwa teen marhaloo par zaroori tha 1: sharab ka hokum aanay sai pehlay baqi haram kamoo sai parhaiz kia ho. 2: sharab ka hokum aanay k bad sharab sai parhaiz kia ho. 3: sharab chornay k bad baqi gunahoo sai bhi parhaiz kia ho ta k naik amal karnay waloo mai shumar ho sakay. (Ref : Anwar ul Quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 278)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mera question ye ha ke sharab haram ha lekin main ne ek bar sharab sirf taste ki thi to kia mujhe is ki tooba karne par maafi mile gi ya nahi? or plzz is ka reference bhi dena.
Answer: 1)Sharab pina haram hai, hadees mai hai k jo shakhs sharab ka sirf aik ghont pita hai to khuda, farishtay, ambia, aur momineen os par lanat bejhtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596) 2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mainy beer pi ha is ma 7 percent alkohal hoti kea maab namaz parh skta hn k40 din bd
Answer: Sharab pina haram hai aur baaz hadees mai osay gunah e kabeera bataya gya hai. Laikin namaz parhni wajib hai namaz ko nahi chor sakay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamualykum Can u plz tell me the ayet and surah no where mention sharab is haram? Want to knw the ayet.
Answer: Quran mai sharab k lie haram k lafz to nahi aya hai magar ghunah likha hai surah # 2 surah e baqra ayat # 219 ki ayat mai hai is k alawa surah e maida surah # 5 ki ayat # 90 aur 91 mai bhi sharab ko shaitani amal qarar dia gya hai(Ref : Anwar e quran pg # 279, 101)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya sharab piye huwe aadmi ke chune se gusl karna chahiye ya bagair gusl ke bhi namaz parha ja sakta hai. please jaldi jawab den.
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Sharab khud to najis hai laikin jis nai sharab pi ho wo najis nahi hota hai aur na hi os ko hath laganay sai koi najis ho ga aur bagair ghusl wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 108, 344-389)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya BEER Peena haram hai.................
Answer: Sharab pina haram hai aur baaz hadees mai osay gunah e kabeera bataya gya hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam.qibla mera yeh sawal hy ky non-alcholic beer peena halal hy ya haram.
Answer: Sharab pina haram hai aur baaz hadees mai osay gunah e kabeera bataya gya hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir HASH (charas) pena haram hai ya makro ur ramzan kay mahinay may peena kesa hai??
Answer: Sharab aur har wo cheeze jo mukammal ya juzwi tour per nasha aawar ho, solid ho ya liquid ye sab haram hai. (Ref : A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masail, maslah # 164, pg #123)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).