Question: Hi.mera sawal ha k agr aike Muslim beer drink pee le tu ,Kya wo namaz phar skta ha
Answer: Sharab peena haram or gunah e kabeera hay or is k prrne se 40 din tak namaz qubool nahi hoti, agarche wajib hay keh apni namaz ko perhe or os ki namaz sahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2596 ). [Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam ..Janab shraab agar harh se touch ho jay ya kapre par gir jay to kya touch hone par hath najis ho jayga or kapre par gir jane par kpra najis ho jayga
Answer: Sharaab najis he (Ref: Tauzeeh jami : Agha sistani : Masla # 108 Note: Agar hathon ya kapre per lag jae to najis karde gi. [Updated on 19-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sharab beshak haram hai aur peene se 40 din tak namaz qubool nahi per kya sharab peene se insan islam se kharij hai ya nahi?
Answer: Sharab peena haram or gunah e kabeera hay or is k prrne se 40 din tak namaz qubool nahi hoti, agarche wajib hay keh apni namaz ko perhe or os ki namaz sahi hay lekin islam se kharij nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah # 2596 ) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sharab pee kr zikr azkar krna kesa hai
Answer: Sharab peena haram hay or baaz ahadees main isay gunah e kabira btaya gaya hay.Hazrat Imam jaffer Sadiq(a.s) se riwayat hay k aap(a.s) ne fermaya: “sharab bura,eyoo ki jerh or gunaho ka mamba hay. Jo shaks sharab piay wo apni aqal kho baithta hay.wo os waqt khuda ko nahi pehchaanta, koe gunah kerne se nahi chokta, kisi ka ehteraam nahi kerta, apne qareebi rishtedaaro k huqooq ka paas nahi kerta, khullam khulla bura,e kerne se nahi shermata. Agar sharab ka sirif aik ghoont peeta hay tu khuda, farishtay, ambiyaa or momineen os per laa,nat bhaijtay hain.or mukammal mad,hoshi tak piay tu emaan or khuda shanasi ki rooh os k badan se nikal jati hay or naaqis khabees rooh jo khuda ki rehmat se door hoti hay os k badan main reh jati hay or 40 din tak oski namaz qobool nahi hoti”.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2596) [Updated on 06-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere shohar Bht Sharab pite h to Kya Mujhe unke sath rehna chahiye
Answer: 1: Sharab pina haram hai aur baz hadees mai sharab ko gunah e kabeera bataya gaya hai. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. nai farmaya sai riwayat hai k aap a.s. nai farmaya “Sharab buraio ki jar aur gunahoo ka mumba hai. jo shakhs sharab piay wo apni aql kho bethta hai, wo us waqt khuda ko nahi pechanta, koi bhi gunah karnay sai nahi chokta, . . . .aur 40 din tk is ki namaz qabool nahi hoti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596) 2: Tafseer e burhaan men janab rasool e khuda (s.a.w.w) se riwayat hay: sorah e mubaraka “hajj” likh ker agar sharabi per taweez bandh diya jay tu wo sharab se khud hi nafrat kerne lagay ga hatta keh sharab peena chorh day ga.(Ref: tajalliyaat e quran, pg#84, edition#2013). 3: Biwi ko apne shohar ke sath hi rehna hai, lekin Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur beghair kise shari jawaz k is per tashadud kare to biwi apna muaamla le kar hakim shara (yani mujtahid) ki taraf ruju kar sakte hai taake hakim shara ( mujtahid) is k shohar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida na ho to apne sawabdeed (yani hesiat ot asro rasookh k mutabiq) ise sarzanish kare aur agar is se bhi koi faida na ho to biwi talaq ka mutalba karsakte hai. agar shoar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor na kiya jaske to hakime shara (mujtahid) ( apne ikhteyaraat istemal karke is ka sigha talaq jari karsakta hai.(Ref : Ayatullah sistani, Jadeed faqhi masail, masla # 413, pg # 237, eidition 5th,) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi sharab pee ly aur apni wife ky sath hambistri kyr ly aur wife pragnent ho jay to es bary main kiya hukam hy?
Answer: Sharaab gunahan e kabeera mai sai aik hai aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahi hoti, Albatta namaz parhna wajib hai. aur khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain. (Ref: Tauzeeh ul masasil Ayatullah sistani, edition 41 maslah #2596) (Note: Sharab peena haram hai, lekin biwi se hambistri karna jaiz hai. to is se nikah par koi farq nahin pare ga, aur isi tarh bache par bhi koi farq nahin pare ga. (Ref: Tauzeeh ul masasil Ayatullah sistani, edition 41 pg #357) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya sharab peene se zuban napak hota hai
Answer: Sharaab gunahan e kabeera mai sai aik hai aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahi hoti, Albatta namaz parhna wajib hai. aur khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain. (Ref: Tauzeeh ul masasil Ayatullah sistani, edition 41 maslah #2596) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Q2. Agar koi ladki sharab peene lag jaye to uski wazahat kijiye
Answer: Sharab peena haram hai or Baaz ahadees men ise gunah e kabeera bataya gaya hai. aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahin hoti, Albatta namaz parhna wajib hai. aur jo sharab ka aik ghont peeta hai khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2596). [Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Q1. Rasule khuda aur ahele bait ki nazar m sharabi ki kya ahmiyat h
Answer: ahmiyat nahi muzammat ki gayi hai. sharab najis hai or is ka peena haraam hai. imam jaffer e sadiq a.s ne farmaya: sharab burayion ki jar (root) or gunahon ka mumbaa hai, jo shaks sharab piye wo apni aql kho bethta hai, wo us wakt khuda ko nahi pehchanta, koi bhi gunah karne sai nahi darta, kisi shaks ka ehtraam nahi karta, apne qareebi rishte daaron ka khayal nahi rakhta, khulam khula buraai karne sai nahi sharmaata, agar sharab ka sirf aik ghoont peeta hai tou khuda farishte ambiya or momineen us par laanat bhejte hain aur mukammal madhoshi tak piye tou eemaan or khuda shanasi ki rooh us k badan sai nikal jaati hai aur naqis khabees rooh jo khuda ki rehmat sai door hoti hai us k badan mai reh jaati hai aur 40 din tak us ki namaz qubool nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 44 maslah no 2595). [Updated on 27-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sharab kab haram hui?
Answer: Sharab ke qataei (yaqeeni) haram hone ke hukum ke bare me ikhtelaf hai, 4, 6, or 8 hijri teenon saalon ke bare me riwayat milti hain. Muhamad Hussain haikal ke bayan ke mutabiq ziyada tar seerat nigaron ne sulh e hudaibiya ke baad 6 hijri ko tarjeeh di hai, ibn e hajr asqilani ne 8 hijri ko durust maana hai, alama qastlani ne mawahib e ladaina me likha hai ke sharab ki hurmat 4 hijri me gazwa e ohd ke bad gazwa e bani nazeer ke ayaam me naazil huei is kitab me 4 hijri me hurmat e sharab ka hukum zikr kiya gaya hai. (Ref: http://islamichistory02.blogspot.com/2015/08/blog-post_36.html ). [Updated on 01-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]