Question: sir chahare p noor kay liye wazfa bata dey aur moun par dagh hai plz bta dy
Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke
Question: AOA.mera sawal ye hey k niswani husn ni he mery pas plz is k liye koe wazefa bta dyn plz..
Answer: 1. Agar chahra be-ronaq ho jay ya chahray ka rang siyahi mael ho jaay to har namaz k bad 111 martaba (Allaahul musavwirul maalik اللہ المصور المالک) parh kar hathoon per dam kar k chahray per pharaien to inshallaha bad surati zail ho gi. Awal o aakhir 14 bar darood sharif parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 328). 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he k “Namaz e shab chehrey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai gham ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam o aliokum. please mughay rang gora karnay ka koi wazeefa bta dein mera color boht dark hai aur ye bhe bta dein k kitnay time k liye wazeefa karna hai ... hope u reply soon
Answer: Wssalam o alykum, Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s se marvi riwayat ke mutabiq, pabandi se Namaz e Shab pharye. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Meri aankhein bahut andar dhas gayi hain ..pehle bahut khoobsurat thi please koi wazeefa jisse meri aankhein pehle ki tarah healthy ho jaein..shukriya
Answer: Quraan e Majeed ko rozana bagoor deekh kar pharain.(Ref : Payam E Shifa pg # 260 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Plz mjy koi rang gora krny ka wazeefa batain ? or salawaat kisay khtay hain ?
Answer: chehre ki kobsorti ke liye Namaaz e Shab pharye, or salawaat arabi zabaan ka lafz hai or is se Islaam main Muhammad o Aal e Muhammad ke liye rehmat talab karna muraad hai in kaas alfaaz main ya Allah Muhammad or in ki Aal e paak per dorood nazil farmaa or is ki arabi taranslate ke liye kitaboo main dekhain. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: asslamwalekum chehra hamesha khila khila dikhnekeliye kuch wazifa batayiyena plz
Answer: Kitab makarim ul ahklaq mai cheray(face) par chaieo ki jigha ungli phairtay huay surah shura surah no 26 ki ayat no 72 aur 73 ko 3 martaba parhay to chand dinoo mai chehra nikhar kar saaf o shaffaf ho jae ga. (Ref : Naway e Salaheen pg # 328) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asslamu alahkum mufti sahab mera sawal hai ki chahre ki khoobsurati aur chahare ka rang saaf karne ka wazifa bata de.
Answer: Imam Jaffar Sadiq (a.s) ka farman hai kay “Namaz-e-Shab Chehray ko zeba(khoob surat),Akhlaaq ko acha banati he,insaan ko khushboo daar karti hai,Rizq ki ziadti,qarz ki adaigi ka baes banti hai,gham ko door karti aur aankooh ko noor ata karti hai (Ref: Payam-e-Shifa, pg# 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aoa please mujhe bata de mera rang bahut kala aur chahra badsurat ho gaya koi wazifa bata de.
Answer: Imam Jaffar Sadiq (a.s) ka farman hai kay “Namaz-e-Shab Chehray ko zeba(khoob surat), Akhlaaq ko acha banati he,insaan ko khushboo daar karti hai,Rizq ki ziadti,qarz ki adaigi ka baes banti hai,gham ko door karti aur aankooh ko noor ata karti hai (Ref: Payam-e-Shifa, pg# 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslamu alahkum rang gora karne ka wazifa bata de
Answer: Imam Jaffar e Sadiq (a.s) ka farman he ke "Namaz-e-shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti hai. (Ref: Payam-e-shifa,pg# 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aoa.meri body bht kamzoor hy width nhe hy ap mujhy koe dua btaen jis k parhny se mera jism thora sa chora ho jaye. Shukria
Answer: 1-Nihaar moonh khajoor k saath dhoodh peenay se khoon saaf hota hay or wazan (weight) main izafa hota hay.2- Hara dhaniyah (Green Coriander) ka taza ras or lemoo (Lemon) ka ras mila ker rozana subah peenay se khoon saaf hota hay or wazan(weight) bertha hay. 3- Raat ko bhens(buffalo) k dhoodh main sabut chanay bhigo dain or subah kha lain, is se qoowat aati hay or wazan main izafa hota hay. 4- Khajoor(dates) 10 tola or khishmish( raisin) 5 tola rozana khanay se bilkul sookhay hoay aadmi k jism main naya khoon paida hota hay or bohot faida hota hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)