Question: Salm sir mai face ko khobsart karney liye wazifa bta dey face par noor ajay. Sabi batain kartay haiii plzzz bata dey
Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam sir ap ne jo rang gora krne ka tarika btaya he wo muje meri id mai tafseel se bta de plz
Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Face pe masomiyat paida krne ka wazifa bta den nd plz lose weight ka b wazifa bta den
Answer: 1. Agar chahra be-ronaq ho jay ya chahray ka rang siahi mayal ho jay to har namaz k bad 111 martaba (Allaha’hul mu’sou’wi’rul maalik) parh kar hathoon per dam kar k chahray per pharaien to inshallaha bad surati zail ho gi. Awal o aakhir 14 bar darood sharif parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 328) ya 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) Pakay hoay lemoo(Lemons) k ras main shehed(honey) mila ker chaatnay se motapay se nijaat milti hay. 2- pakay hoay lemoo(Lemons) ka ras 2 1/2 tolay or shehed(honey) 20 tola lay ker thorhay se garam pani main milain. Khana khanay k fauran baad ye pani peenay se 1, 2 maah(month) main motapay(fatness) se nijaat mil jati hay. 3- Tulsi k patay aisay hi chaba lain ya inhain chaach main mila ker khanay se wazan(weight) kam hota hay, jism main charbi(fats) kam hoti hay or jism mutanasib hota hay. 4- Neem garam pani(half boiled) main shehed(honey) mila ker subah nihaar moonh peenay se charbi(fats) main kami hoti hay. Haathi jaisa aadmi bhi is ilaaj se dubla ho jaata hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslamu alahkum sir mera chahare ka rang bahut kala ho gaya hai please aap koi wazifa bata de
Answer: Wssalam o alykum, Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s se marvi riwayat ke mutabiq, namaaz e shab ki pabandi karain. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147)
Question: Salam. I want to know a wirdh from Quran or dua to increase physical beauty of my significant one. We are to be married after a specific time. It is an arrange marriage. Any dua/wirdh would be appreciated. Thank you.
Answer: Wssalam o alykum, Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, Namaaz e shab ki pabandi karain. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: A.o.a sir meri age19 saal hai or mri eyes k neechay halky par gye hn inka koi solution btaen or meray face ki bones b nzr ati hn jiski wja se face ajeeb lgta ha..or cheeks b undr ko hn kuch btaen plz
Answer: Agar chahra be-ronaq ho jay ya chahray ka rang siyahi mael ho jaay to har namaz k bad 111 martaba (Allaahul musavwirul maalik اللہ المصور المالک) parh kar hathoon per dam kar k chahray per pharaien to inshallaha bad surati zail ho gi. Awal o aakhir 14 bar darood sharif parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 328). 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he k “Namaz e shab chehrey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai gham ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e pg # 147). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASSALAM O ALIKUM MAIN BOHAT KALA HUN AUR MERE MUN PAR BOHAT KALE SE NISHAN HAIN MAIN CHAHTA HUN KE MERE MUN PE SE KALE NISHAN HAT JAIN AUR MAIN GORA HO JAUN TO MAIN KIA KARUN
Answer: chere (face) ki khubsurati k lie : chere ko rozana dhone k baad din me kam as kam 2 martaba safaid phitkeri k tokre ko ghela kar k chere per male. Ya khere ,timater,podina ,tursi ka ras chere per male. . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o Alikum sir Me 24 Saal Ka hon pr jab me 18 Saal se nekla 19 se aj tak Mera chehra 35 Saal k dekhne laga chehry pe bary bary jhuryan aane lagy koi achha SAA ilaaaj btain mehrbani hogi
Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankhoo ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asm.alkm. . . Mufti sahab . Meri pareshani ye hai .ki. Mera chehra bahut kharab hai . Koi bhi mujhey dhekna bhi pasand nae kartey ...logun ke baatein sun sun ke bus hua. Har koi mujhey dhekta aur kehta "dhekhu kitna kharab hai " . 3ya4 Pehle me bahut acha tha lekin ab me bahut kharab dhikru. Samajh me nae aara aisah kyun hua . Sabke batein sun sunke sirf mere dimag me ek hi baat aati hai "sucide". Zindgi se me haar gaya mufti sahab. Aisii zillat bhari zindgi se toh maRna acha hai. Lekin me sucide ki maut nae marna chahta ."ab me ky karu mufti sahab kuch haal bataye" ab sab aapke upar hai. Dua me yaad rakhiye.
Answer:
Question: aoa,mra swal ya ha k mary face py scars k nishan bn rhy ha khudi yani gahary nishan.yha tk k pimple b ni thy.ya mjy shad 2nd pregncy ma pary ar wo mischage hugya.mjy btay ma kia kro.dr vitamin e ki tblet daty ha.new gel b use ki.jo k bht mege the costly.phr b ni result aya.black til b bht ha.mjy btay kia kro.bht paryshan hu.23 age ha
Answer: