Question: i have my home with my wife in one place my brothers & parent are living separate from me so How can i pray in safar
Answer: 1) Jis jagah ko insane nay apni mustaqil sakonat or bood o baash k liay muntakhab kia ho, wo oska watan hay chahay wo wahaan paida hoa ho or woo s ka abaa,e watan ho ya os nay khud os jagah ko zindagi basar kerne k liay ikhtiyaar kia ho.(Ref: .( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1315 ). 2) Agar aik shaks kisi aisay maqam per pohnchay jo kisi zamanay main oska watan raha ho or baad main os nay osay terk ker dia ho tu chahay os nay koe naya watan apnay liay muntakhab nah bhi kia ho tu zarori hay k wahan pori namaz nah perhay.(.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1320 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: qaser namaz kb lago ho g? kitny K.M safar krna zarori hai iss k liye
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Safar agar kam az kam taqreeban 44 k.m (anay janay ka rasta mila ker) ho tu namaz qasar ho jati hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #after1258). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Q.safar shru karte waqt zuhr ka time hogia Magar namaz parhi 40 meel k baad .kia quasar hogi. Q.wapsi pe taste me is a ka time hogia Magar namaz that pohanch. K ada parhi tu quasar hog I?
Answer: Agar koe musafir apne rehash gha se 44 kilometer ya is se ziyada safar kare to is ki namaz zahor , asar aur aisha qasar (2 rakat ) perhe jaay ghi . musaferat ka aghaz aksar aokaat shear(city) k aakhiri gharo se kiya jaay gha. ( albata bare (big) shero ka hokum is se muktalif hai jaha aik mahalle se dosere mahalle ki taraf muntakil hona safar shumaar hota hai. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 71 , pg # 70, eidition 5) Jis musafir ne abhi namaz na perhe ho agar wo namaz ka waqt khatam hone phele apne watan pouch jaay ya aise jagha pouche jaha 10 din rehna chata ho to zarori hai k puri namaz perhe aur jo shaks musafir na ho agar is ne namaz k awal waqt me namaz na perhe ho aur safar ikhtiyar kare to zarori hai k safar me namaz qasar kar k perhe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1353 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aoa..plz mujhe bata dijiye k Doran e safar namaz e shab path sakte hen??
Answer: Wssalam o alykum, jee han ikul tmam mustahab namazen parh sakte hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 ,maslah # 755 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: I am travelling to Europe for 14 days, 7 days in Italy and 7 days in France?.. will my namaz be qasar?
Answer: If Europe and France are not your homeland and traveling will be 44 km then your prayer will ben qasar. (Ref: Al-masaelul muntakhaba, pg#140). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: My name is imran Raza mera sawal hai namaz ka kia hukum hai hajj Kay doran mtlb qasr ada krni hai ya pori ada krni hai??? Or jamat k sath ada krni hai?? Or namaz e juma ahl e tashi hajjk dino mai kia hukum hai.??
Answer: Makkay k poory sheher main musafir ko ikhtiyaar h keh poori namaz parhy ya qasar ksr k parhsy. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1342 ) Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A.o.A Agr Koi Insan Namzae Qasr mian 2 ki bijaye 4 farz pory ada kr lay to phr??
Answer: Agar galti say qasr ki jaga mukamal namaz per lay our waqt b mojud ho to zarori hay k dubara namaz per hay or waqt nikal chuka ho to ahtiyat ki bina per qaza karna zarori hay..(ref: Tuzio ul masail Aga Sistani edi #2019 masla # 1344) [Updated on 16-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میرا سوال ہے کے میرا ہر مہینے میں نوکری کے سلسلے میں تقریبن14 دن باھر آنا جانا ہوتا ہے جس میں کچھ دن ٤ یا ٥ دن کہیں پے قیام بھی ہوتا ہے یہ میرا پروگرام تے شدہ ہوتا ہے تو کیا میں پوری نماز پڑھوں گا یا قصر
Answer: Aap ko poori namaz parhni hogi Q ke Jis shakhs ko safar men qasar namaz parhna zaroori hai us ke liye shart ye hai ke wo “kasheer-ul-safar” na ho. lehaza wo shakhs jis ka peshaa safar se hi waabasta hai jaise driver, malaah, galah baan aur daakia wagera ya wo shakhs jo ziyada safar karta ho chaahe us ka peshaa safar se waabasta na ho jaise wo shakhs jo hafte mein teen din safar mein guzaarta ho, chaahe us ka safar tafreeh ya syaahat ke liye ho, aise afraad ke liye zaruri hai ke apni namaazein poori parhein. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #1294). [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I am currently studying in Islamabad. So whenever I come back to my home on weekends in Okara, do I have to pray safari nmaz for 2 days of weekend?
Answer: Aap ko poori namaz parhni hogi. Q ke Jis jagah ko insan nay apni mustaqil sakonat or bood o baash k liay muntakhab kia ho, wo oska watan hay chahay wo wahaan paida hoa ho or wo os ka aabae watan ho ya os nay khud os jagah ko zindagi basar kerne k liay ikhtiyaar kia ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #1315). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Karbala ka zair Karbala main namaz puri parhega ya qasr?
Answer: Hazrat Imam Hussain(a.s) ke haram(حرم) men qabar-e-mutahar ke atraaf men taqriban saarhe giyara (11.5) metter ke andar namaz poori ya qasr parh jaa sakti hai. yani is me namazi ko ikhtiyar hai ke chahe to namaz poori parhe chahe to qasr parhe, aur is ko ye bhi ikhtiyar ke maslan zuhr ki namaz poori aur asar ki namaz qasr parhe. Lekin Imam Hussain(a.s) ke haram(حرم) ke dosre hisson men aur shehar e karbala men Ahtiyat e wajib hai ke namaz qasr parhay. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1813,1814). [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]