Question: mujy ye pochna he k ourat bacha hone k bad sawa maheena pora hone k bad ghussal kese karti he tareeqa bata dijiye
Answer: 1) Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlatay hain is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah # 498,501,504). 2) Tamam guslon ke karnay k 3 tareeqay hain. 1) Tertibi (sequence) 2) Irtimasi tadrijee (gradual immersion bath). 3)Irtimasi dafaee (Immediat immersion bath). Ghusl e tertibi ka tariqah ye hai:- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar (Head) or gardan (Neck) ko mukammal dhoya jaay, or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay. or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main badan ka ulta hissa dhoya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70). [Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qibla 7 had to k bad miscarriage hojae raza e Elahi se tu sawa mahina hoga hay tu q wazahat ka talab gar
Answer: Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlatay hain is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah # 498,501,504). (Note: Nifas wali aurat 10 ya is kam dino tak nifas me rehti hai. is se ziyada dino tak {yani 1 mahina ya sawa mahina nifas ki halat me nahin rehti} aur khoon ke ruk jane ke baad gusl karna hoga.) [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qibla 7 week k bad agar miscarriage hojae tu sawa mahina lazim hay? Or yeh kiun hota hay wazahat ka talabgaar
Answer: Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlatay hain is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah # 498,501,504). (Note: Nifas wali aurat 10 ya is kam dino tak nifas me rehti hai. is se ziyada dino tak {yani 1 mahina ya sawa mahina nifas ki halat me nahin rehti} aur khoon ke ruk jane ke baad gusl karna hoga.) [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia gusal nifas sawa maheena py hota ?
Answer: Bache ki pedaaish ke baad aurat 1 mahine ya sawa mahine ke liye napak nahin rehti, balke Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlatay hain is shart k sath keh osay zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte, Nifas ka khoon ruk janay k baad gusl karna hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah # 498,501,504). (Note: Nifas wali aurat km se km aik lehze ya ziyada se ziyada 10 dino tak nifas me rehti hai. is se ziyada dino tak {yani 1 mahina ya sawa mahina nifas ki halat me nahin rehti} aur khoon ke ruk jane ke baad namaz ke liye gusl karna zaroori hai.) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nifas ka gusl jumerat k din kr skte h
Answer: Khoon e nifaas kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din aa sakta hay or is duran jab bhi khoon band ho jaey tu aurat paak ho jati hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e maslah #501). (Note: Je han, kar sakte hain. Is men dino ki koi qaid nahin jab bhi khoon band ho jaye to namaz aur is jesi Ibadaton ke liye ghusl wajib ho jata hai). [Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya baby delivery k 40 days k andar hmbistri Kar sakte
Answer: Halat e nifaas main shohar or biwi dono k liay biwi ki aaghe ki shramgha me jima kerna or biwi ke lie karwana haram hay.Bache ki waladat se 10 din tak jo khoon(blood) aurat ko Aye wo khoon nifas he. ye ho sakta hay k khon e nifaas aik lehza say ziyada nah aay laikin 10 din k baad aanay walay khoon ko nifaas nahi kehtay(Ref :Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448,498,501,503-4,) [Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can i colour my hair after 40 days of completion of my delivery after performing all my ghusls related to my delivery even if i notice little spotting?? Is it permissible
Answer: Yes, It is lawful for you to dye your hair.(Ref: Urwatul wusqa, jild#1, Maslah#819) [Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa.. mera 4 months ka hamal zaya ho gaya, aur mujy bleeding bus 2 din hoi aur us k bad bus spotting hoi ab wo b ni hoti tu kya mai gusal kar k nmaz ada kar sakti ho, ya 40 din wait karo jab k islam me iska koi concept ni. Aur hmbistri b kar sakty
Answer: Hamal agar zaya bhi ho jaye tab bhi us waqt se lekar 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai is shart k sath keh osay zichgi ka khoon kehna sadiq aata ho, or Khoon e nifaas kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din aa sakta hay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahin kehte, or is duran jab bhi khoon band ho jaey tu aurat paak ho jati hai or namaz aur is jesi Ibadaton ke liye ghusl wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e maslah #500,501). Note: Nifas ke khoon ka dauraniya 40 din nahin hota balke is ka dauraniya kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din hota hai is se ziyada nahin hota. [Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri delivery k 2 month ho gay lekin bleeding nai ruk rahi waqfy se hoti ha to kya is me humbistri kar sakty hein
Answer: Khoon e nifasa kam se kam aik lehza or ziayada se ziyada 10 din aata hay. 10 din k baad ane wale khoon ko istihaza ka khoon shumaar kia jaey gaor istihaza ki halat me hambitri kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,509,510). [Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nifas wali orat k pas apne 2 mahene k bache ko le k ja sakte han
Answer: Jee han, lay jaa sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,503). [Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]