Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15774
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe ye pochna hai delivery k bad 40 din se ziada blood a raha hai to us doran bv se taluq qaim kar skte hain?

Answer: Agar wo haiz ka khoon nahin hai to biwi se jinsi taluqaat qaim kiye jaa sakte hain. or bache ki paidaish k baad jo khoon aat hay wo nifas ka khoon hota hay jo kam az kam 1 lamha or ziyada se ziyada 10 din aata hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448). [Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16117
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Periods ke 7th day par gusul lene k baad mujhe blood dikhayi deta hai kiya mai namaz aada karsakti hu yah phir next day phir se gusal le kar namaz ke pabandi phir se shuru karne chahiye? Wo red hi hota hai blood na hi dusra rang

Answer: 1: Agar kisi aurat ka khoon 10 din se pehle ruk jaye aur use yaqeen ho ke us ke baatin mein khoon-e-Haiz nahin hai to use chahiye ( zarori hay)ke apni ibadaat ke liye ghusl kare (aur ibadaat baja laye) agarcheh gumaan rakhti ho ke 10 din poore hone se pehle dobara khoon aa jaye ga. Laikin agar use yaqeen ho ke 10 din poore hone se pehle use dobara khoon aa jaye ga to jaise bayaan ho chuka hai use chahiye ke ahtiyaatan ghusl kare aur apni ibadaat baja laaye aur jo chezein haaiz par Haram hain unhein tark kare. 2: Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us k baatin mein khoon-e-Haiz hai to zaroori hai ke ya ahtiyaat karte houe ibadaatun ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royei rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa ke baaz auraton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Pas agar wo Haiz ki muayin aadat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi us ki aadat ke din tamam nah hue hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar daswen din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya daswen din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakhti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #495,496). [Updated on 22-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya nifas mai badan ki safai kar sakte hai

Answer: Agar aap ki muraad is se nahana ya badan ke baal saaf karna hai to jee han ye dono kaam nifaas ki halat me kiye jaa sakte hain. (Yani koi mana nahin). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,503). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: بچہ کی پیدائش کے بعد نماز کب پڑھنی چائیے

Answer: 1: Bache ka pehla juz maan ke pait se baahir aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye woh khoon e nifaas hai aur nifaas ki haalat mein aurat ko nufaasa kehte hain. 2: Khoon e nifaas ki muddat kam az kam aik lehza aur ziyada se ziyada 10 din hoti hai aur is muddat ke dauran aurat ke liye namaz parhna jaiz nahin hai yani Haram hai lekin jaise hi khoon e nifaas se paak ho jaye to nifaas ka ghusl kar ke apni ibadaat ko anjaam dena wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,503). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16790
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baby delivery k bad mujy 15 din tak blood aya or ab ni a rha kya main gusal kr k namaz parh sakti hun???

Answer: Khoon e nifaas ki muddat kam az kam aik lahza(لحظہ) aur ziyada se ziyada 10 din hoti hai aur is muddat ke dauran aurat ke liye namaz parhna jaiz nahin hai yani Haram hai lekin jaise hi khoon e nifaas se paak ho jaye to nifaas ka ghusl kar ke apni ibadaat ko anjaam dena wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,501,503). [Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16814
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nifas k 10 din mukaml hony k bad 11 din py istahaza k doran agar cotton par khoon Ka lothra nazr ay to is par kya hukam ha?Kya yeh normal ha r istahaza he shumar hoga?

Answer: Agar aurat ko nifaas ka khoon 10 din se ziyadahh aaye aur wo haiz mein adad ki aadat rakhti ho to aadat ke barabar dino ki muddat nifaas aur baaqi istehazah hai. Agar aadat nah rakhti ho to 10 din tak nifaas aur baaqi istehaazah hai. Ehteyaat e mustahab ye hai ke jo aurat aadat rakhti ho wo; aadat ke baad ke din se aur jo aurat aadat nah rakhti ho wo 10th din ke baad se bache ki paidaaish ke 18th din tak istehaza ke afaal bajaa laye aur wo kaam jo nufasa par Haram hain unhein tark kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #508). [Updated on 27-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17065
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I gave birth to a child on 4 feb my 40 days are completed on 16 march but sill i have brownish cooor bleeding so am i supposed to fast tokorrow on 1st ramadan ?

Answer: Bache ka pehla juz maan ke pait se baaher aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai lekin shart ye hai ke use zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho. Khoon e nifaas ki muddat kam az kam aik lahza(لحظہ) hoti aur ziyada se ziyada 10 din hoti hai lekin 10 dino ke baad aane wale khoon ko nifaas nahin kehte. lihaza is muddat ke dauran aurat ke liye namaz aur roza anjam dena jaiz nahin hai yani Haram hai lekin jaise hi khoon e nifaas se paak ho jaye maslan 10 din guzar jayen to ghusl kar ke apni ibadaat (namaz, roza wagera) ko anjaam dena wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,498,501,503). [Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17136
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 40 din poory hony k bad b agr yellow discharge ho Halka sa tu kya ghusal kr skty hn ?

Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq 1: Bache ka pehla juz maan ke pait se baahir aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai is shart ke sath keh usay zachaghi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay ke nifaas ka khoon aik lahze se ziyada nah aaye lekin 10 dino ke baad aane wale khoon ko nifas nahin kehte, Nifas ka khoon ruk janay ke baad ghusl karna hota hai. 2: Leukorrhea (white, yellow color ki ratubat) mani, haiz ya nifaas nahin hai. Ye paak hai aur is ke aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. Aur is halat men aurat pak hogi, isi tarah namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #498,501,504,344. + Ayatullah Sistani(d.b), email rcvd). + link; sistani.org/urdu/qa/01791/#17660 ). [Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17511
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nifas mai makeup kar sakte hai ya nhi

Answer: Jee han, Nifaas ki halat me makeup kar sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,348,503). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19220
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Miscarriage k baad nifaas k 10 din k baad aaney wala khoon ya spotting istihaza kehlaai jaey gi??? Ar kia istihaza qaleela Mey shohar sy janabat jasiz hai

Answer: Haiz ya nifaas ki halat me jima karna mard aur aurat dono ke liye haram hai lekin is ke alawa koi khoon hai jaise ke istehaza ka khoon to is halat me jima karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,503). [Updated on 29-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!