Question: A.o.a sir muje bhht jaldi gussa ata hai jar aik se badtameezi krne lag jati Hu aur zuban Mai narmi ni h aur MAA se badtameezi hojati h...kindly zuban p kabu rakhne k liye Kuch batain
Answer: W.Salam "Ghussay ko door karnay k liye surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini sugar per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga ref naeem ul aamaal pg 36 was salam ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah 94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn gham door ho jain gay ref dunya wa akhirat ki 100 pareshanion ka hal pg#94". Khuda aap ko uloom e aal e muhammad s a w w sekhne ka ajar ata farmaey. [Updated on 10-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere husband ko bht gussa ata h wo bht batameezi se bt karna shuru hojatay hain wo btein jis per m or ap smjhein k koi bt nh us ko pakr k beth jatayhain m bht preshan hn
Answer: 1)Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat#134 ko cheeni(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pila dain insh Allah faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal, Mafhoom e pg# 369). 2)Agar gussa aane wale shaks ke uper sura e Anaam ayat no 13 ko phar kar dam kiya jaae to us ka gussa door ho gaae ga, or is ayat ko kasrat se pharye. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 135 , [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam ziddi aur badzaban bache ko sahi karne kay liye koi wazifa batayiye
Answer: 1.Rozana raat ko sone se pehle us per Sura e Yaseen pharain or is ka pani pilain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 102). 2) Jo shaks zuban daraz or tund mizaj ho to surae nisa(sura#4) ayt#148 ayatain likh kr uska tawez bna dain tou wo ba-akhlaaq hojaeyga aur agr aisa mumkin na ho tou 7 martaba pani par parh kr pila dain.(Naway-e-saliheen, Edition#5,pg#346). [Updated on 24-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Prhai me dil naee lgta khwab me jinnat tng krtr ha shor krti hoon prhne lgoon neend ati ha sar me drd namaz bilkul chuuti howi ha hr waqt ghussa yadadht kmzor
Answer: 1) Agar apka dil ilm kay hasil karnay me nahi lagta ho to (surah-e-Alaq ki aya# 1-5) likh kar galay me daalay aur pani par parh kar pilaye to zehan-o-aqal ki taizi ke liye mujarrab hai (Ref: Naway-e-Saaleheen,pg#346) 2) Ghusa khatam kerne k liay: Agar koe baat baat par chirh chirhay pan ka shikaar ho tu sorah e aalay Imran(sorah#3) ki ayat#134 ko 7 baar pani per perh ker pila dain tu osay bad akhlaqi or ghussay se nijaat milay gi.(Ref: nawaay Saliheen, pg#346) 3) Rasool akram (s.w.a) ne farmaya: jo baqaidgi se surah shams ki tilawat kare ga tu Allah usay ziyada haafza ata kare ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 89) 4) Jo koe kisi hajaat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat pure hoghi. ( ref: payaam shifa, pg: 249) [Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam meri 3 saal ki beti wo buhat zada ghussa karti hai har kisi se badtameezi or hath uthati hai soke uthtay hy dar jati hai or roti rehti ha please kuch batayein
Answer: w/salam, Ghusa khatam kerne k liay: Yani Agar koe baat baat par chirh chirhay pan ka shikaar ho tu sorah e aalay Imran(sorah#3) ki ayat#134 ko 7 baar pani per perh ker pila dain tu osay bad akhlaqi or ghussay se nijaat milay gi.(Ref: nawaay Saliheen, pg#346) Aulaad ki terbiayt 2 saal tak maan or baap dono ki zimme hay or 2 saal k baad terbiyat ki zimme daari baap k zimme hay.is terbiyat main islami masael or har wo cheez jis se bacahe ki zindagi ka ta’al’luq hay shamil hay. Islam ne aulad ki terbiyat ki zimme daari waaldain per lagae hay or isi terah tamam momineen o mominaat per ye zimme dari lagae hay k wo chand sharto k sath aik doosre ko ache kaamo ka hokum dain or buray kaamo se rokain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), http://www.sistani.org/arabic/qa/0380/ ) and ( Tauzeeh ul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah #2008-9). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi or ka gusa khtm krny k lye, koi wazifa
Answer: Gussay ko door karnay k liye surah e aal e imran ki ayat #134 ko chini(sugar) par 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur phir unhen pilaain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg#36). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sawal ye ha k pleez muje koi surth bta dein jo main paron r meri mother ka gusa kahtm ho jay wo choti choti bat par boht gusa krti han r muj se naraz ho jati han un k dil main mery liy pyar pada ho jay r wo hr waqat khush rhyn bas ye dua ha meri main un se boht pyar krti hm bas unka gussa teek nhi hota plz bta dein
Answer:
Question: aoa mujhay bohat zyada gussa ata hai who bhi apnay childrens per pata nahi kyu main bohat upset rahnay lage ho.jab who baat nahi mantay to ek dum shdeed ghussay main a jate ho bad main afsoos hota hai mera bara beta mujh say dour honay laga hai.he is only4 years old.plz help me im begging u plz?
Answer:
Question: ASSALAM O ALAIKUM....MERA SAWAL HAI MERA BACCHI MATLAB MERA LADKI K AGE 5YEARS WO JAB AFTERNOON TIME PE SLEEPING KARTI HAI TO BED ME 2 SE 3 DAFA TOILET KARDETI HAI R RAAT ME BHI PLEASEEEEEEE KOI HAAL BATA DIJIYE KYA KARNA CHAHIYE PLEASE R WO LADKI KISIKO B IZZAT NAHI KARTI R MU K UPER BAHUT BAHUT BAAT BOL DETI HAI R BAHUT ZIDDI HAI KISIKA BAAT NAHI SUNTI KOI KUCH KEHNE SE USE KEHKE BADLA LE LETI HAI PLEASE PLEASE PLEASE PLEASE PLEASE KOI HAAAL BATA DIJIYE PLZ ME BAHUT BAHUT PARESHANI ME HU PLEASE BATAYYE KUCH BHI DUA WAGERA......
Answer:
Question: Aslamoalekum! sir mjhee bht gussa ata hai qabu nhi hota,itna gussa k samne khara har shaks dushman lgta hai..gussay mein maa baap ka b lehaz nhi rehta,mjhe pta hota hai ke mein kya kr rhi hun phr b khud ko rok nh patii aur is wjh se mjhe ghr mein sb bht bura smjhte hain unhein lgta hai mein kisi se pyar nhi krti.papa bht bd duayein dete hain..mein bht pareshan hun.
Answer: