Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9691
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mn apnay dost say naraz hoon or wo mujhay mananay nahi araha hai tw mn kiya karoon?

Answer: Kisi bhi jaiz muhabbat k liay 213 mertaba perhay. Yalateefo ya wadoodo.(یا لطیف یا ودود). (Ref: Naeemul amaal, pg#311). Update on dated 15-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 9788
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Husband kay \"dill main izat panna aur mohbat pannay kee dua batain hum dono ka bohat larai jagra hota hai qoitra\"""

Answer: Riyawat me he k agar sohar aur biwi k darmian ulfut o muhabbat barhani ho to is Mubarak ism ko (Al wa’dood) ko 1001 bar kisi mithi cheez per parh kar donoo ko khanay ko dia jay to inshallaha zaroor bahimi ulfut wo mubahat paida ho jay gi. aur ikhtilaf khatam ho jay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 83). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9805
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Merii behan ki death 7 month pahly hwe . Uski 2 betiyan hain . Ghr k baron ny meri shadi meri behan k husband k sath kardi bachon k liye. Mujhy koi aisa wazifa batain k jis sy bachon k dill mai mery liye pyar paida ho . Wo meri taraf ragib hojaain.

Answer: Kisi bhi jaiz muhabbat k liay 213 mertaba perhay. Yalateefo ya wadoodo.(یا لطیف یا ودود). (Ref: Naeemul amaal, pg#311). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9814
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa mera nam Mafia ha ma jissssy pyr krti hn uska nam yousaf ha..YYousaf kay papa nh man rhy hmry rishty kay liyae yousaf b bar bar keh kay mayus hogya ha ab wo kehta hmy alag hojna chaye. Plzz eska koi haal bta dain

Answer: 1-Jinse mukhalif se doosti ka is had tak izhaar karna k is se kehe k muje tum se muhabbat hai jaiz nahe hai. (ref: nighao libaas,aqa Behjat ,pg:69) 2-Rasool allah ne farmaya: surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahi hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9842
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohar ko kabu me rakh ne ki dua

Answer: Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404) Or apne shohar o bacho ke sath ache aklaak se pesh aain. (Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic # behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62 ). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9916
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam o alaykum mawlana sahab muze koi aise dua betay jise me kisi bhi bade se bade sakhs ke samne padh ker jau to vo muzse acche se paish aay or meri baat manly

Answer: 1)agar koe shaks har rooz naad e ali perh ker apne oper dam kare tu har shaks os ko doost rakhay ga.(Ref: wazaaif e naad e ali a.s, pg#14). 2)agar koe shak jume ki pehli sa,at main 47 mertaba naad e ali a.s perh ker apne oper dam ker le tu ye shak os ko dost rakhe ga jis k saath baat kare ga wo is se muhabbat kare ga agarche dushman hi Q nah ho.(Ref: wazaaif e naad e ali a.s, pg#14). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10050
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera nam hashir hai me ak larki se pyar krta hun aur larki b krti hai par larki ke ghar wale nhi maan rahe hai aur uske gahr wale kahi aur rishta karwa rahe hai uska mujse rishta ho kahi aur na ho aisa koi wazeefa do pls

Answer: 1)Jinse mukhalif se doosti ka is had tak izhaar karna k is se kehe k mujhe tum se muhabbat hai jaiz nahi hay. (ref: nighao libaas,aqa Behjat ,pg:69) 2) Rasool allah ne farmaya: surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). [Updated on 05-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As-saalam o alaikum Mera ek Sawal hai ..Ager Kisi se mohabat ho Jaye to kaise pata chalega ki usme Allah ki Marzi samil Hai ?

Answer: Kisi namehram say mohabbat krna jaiz nahi hay q k ghunah may parhnay ka khof mojood hay. Ref : Website ayatollah sistani d.b. ques no 10 topic internet, http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1739&page=1&perpage=10) [Updated on 26-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10234
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai kisi ke Dil me Mohabbat dalne ki koi dua bataye, agar koi dost naraz ho Gaya ho or maaf bhi nahi kar Raha hai toh kya dua pare ki wo KHud hi baat karne lage.

Answer: Ager koi jaiz mohabbat hasil karna chata hai to wo sura e maaeda ayat#54 ko kisi meethi cheez per mithaai per 100 martaba dam kar k agar kisi ko kehlain to mehboob hogaae ga.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 41 ). [Updated on 31-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mere shohar mujhe maike nhi jane dete h jb b jane ki bat krte h to ladai krne lgte h husband or sasural wale b nhi jame dete plz kch btaye

Answer: Jis aurat ka daaimi aqd hojaey os k liay ehtiyaat is main hay keh shohar ki ijazat k baghair mamoli kamo k liay bhi ghar se bahar nah nikle khah is ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. (Ref: Ayatullah Khoe(r.a),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2421). Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404) Or apne shohar o bacho ke sath ache aklaak se pesh aain. (Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic # behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62 ). Update on dated 15-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!