Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13833
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Koi shoher apni biwi ko pasand nhi krta shadi k 3 sAl Ho gye h unke bech shoher biwi jaisa rishta nhi h to kya nikh qayam hai

Answer: nikah tou qaim rahay ga. albatta shohar k liye laazim hai k jawaan biwi sai 4 mahine sai ziada humbistri tark na karay han agar dono raazi ho tou koi maslah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullh seestani edition 41 maslah no 2382). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14090
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alakium mere nam Kiran h mere husband 2 months se mere sth nhe unke ghr waly hmre separation karwana chahty h plzz koi dua btye Allah behatri kardy ghr basa rahe,. Husband apni ami behno ke bt manty h bs

Answer: 1-Agar kisi kahandan mai kisi waja say na-ittefaqi paida hogai ho tu apas mai ittefaq paida kernay k leye surah e anfaal (surah#8) ki ayt#63 ko rozana har namaz k bad 11 bar parhain. (Ref: book payame shifa,pg#366) Agar shohar or biwi apas mai naraz hoon tu surah e muzammil ko 3 baar sharbat say parh ker pila dain tou aik dusray k dost aur mehrbaan ho jaeinge.(Ref: book piyame shifa,pg#287). 2-Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (Ref : kitab naway salaheen pg # 404) Or aap apne shohar ke sath ache akhlaaq se pesh aain. (Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62 ). [Updated on 11-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14123
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri shadi apni behan k dewar sy hui hy lekin susral waly baji ko ahmiyat dty mjhy un k muqably mai rakhty. Mai job krti hun 5 bjy ghr jati hun . Mai ks trhan sy sb set kron k un k dil mai meri jaga bn jaye

Answer: Khandan mai ittefaq k liye: Agar kisi khandan me kisi wajh se na ittefaqi paida ho gayi ho to Apas me ittefaq paida karnay k lie har namaz k bad rozana 11 martaba surah e infal ayat #63 (wa al’la’fa baina. . . . . . . .. . hakeem) ko parhay. (Ref: Naeem ul aamaal pg #366) [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri bevi kai kai din mujh se naeaz rehti ha choti bat per issue nikal leti ha phir naraz

Answer: Agar shohar or biwi apas mai naraz hon tu surah e muzammil ko 3 baar sharbat par parh ker pila dain tou aik dusray k dost aur mehrbaan ho jaeinge.(Ref: Book Payam e Shifa, pg #287). [Updated on 04-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14741
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere shohar mujh se naraz hain Meri ghalti haie manti hon magar me chahti hon ka who bhol jaye or Meri taraf mayal ho jaye

Answer: Aap ko chahye k aap un sai maafi maangein. 1: Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karen. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jaey gi. (Ref : kitab Naway-e- salaheen, pg # 404). 2: kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314). [Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14766
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum. Me bht pareshan hun meri shadi ko 1.5 year hgaye hain or mjy apny shohr sy chir hny lgi hai hr waqt ghussa ata hai un pr. Jb wo qareeb ayn tw me larny lg jati hun plz koi wazefa btayn k mry dil me un k lye muhabbat peda hjaye

Answer: 1: Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karen. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jaey gi. (Ref: kitab Naway-e- salaheen, pg #404). 2: Kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeem ul aamaal, pg #314). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15270
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ki ek ayat padhkar khajoor par phonkne se husband apni wife ki har baat sunne lagta hai aur usse pyaar Karne lagta hai. Mujhe is ayat ke baare mein ek aurat ne bataya tha. So please mujhe wo ayat kis pare mein hai aur wo Kya hai batahiye. Please

Answer: 1: Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karen. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jaey gi. (Ref: kitab Naway-e- salaheen, pg #404). 2: Kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeem ul aamaal, pg #314). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16920
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein apni biwi se interest khatm gyi hai baat karne ka dil nahi karta or Pyar bhi nhi hota Kiya karo jisse mein apni biwi se Pyar karne lagu

Answer: Is ke liye aap in do wazaaif ko anjaam dain. 1: Mian biwi ki aik dusray se mohabbat o ulfat ke liye har namaz ke bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karain. Is se dono me be-misal mohabbat qaim ho jaye gi. 2: Kisi bhi jaiz muhabbat ke liye 213 martaba “yaa lateefo yaa wadoodo” (یَا لَطِیْفُ یَا وَدُوْدُ) parhen. (Ref: kitab Naway Saleheen, pg #404. + Naeem ul amaal, pg #311). [Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16927
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Molana Sahab m bht pareshan hun mere shohar or m hamri shadi ko do sal ho gye h abhi tak ham hambistri ni kr paye so or m ham dono bilkul thk hain PR pata ni q hambistri ni ho pari plz mujhy kchw btyae wazeefa ya dua

Answer: Wazifa; Miyan biwi ki aik dusray se mohabbat o ulfat ke liye har namaz ke bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karain. Is se dono me bai-misal mohabbat qaim ho jaye gi. Albatta wazifay ke sath sath aap do sharaei maslon ki mutawajeh kiya jata hai. 1: Biwi ke liye zaroori or wajib hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain haasil karna chahay to us ki khuwahish poori kare aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair biwi, shohar ko hambistari se nahin rok sakti. balke biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna Haram hai. Haan shohar ki razamandi se taakheer (late) karna jaiz hai. 2: Shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar nahin kare ga to wo gunahgar hoga) magar ye ke hambistari karna biwi ke liye nuqsandeh ya buhut ziyada takleef ka sabab ho ya us ki biwi khud chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne par raazi ho ya shadi karte waqt nikah ke zimin mein chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne ki shart rakhi gayei ho. Aur is hukum mein ehtayat-e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koi farq nahin hai is liye ehtayat-e-waajib ki bina par ye jaiz nahin ke ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar maah se ziyada tool diya jaaye. (Ref: Kitab Naway e saliheen, pg #404. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2382). [Updated on 19-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera husband ka mera saath relation ni ha 3 saal se koi wazifa btyain

Answer: Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat 7 ko 7 martaba parha karain is se donoo me bai misal mohabbat qaim ho jay gi (Ref: kitab naway salaheen, pg#404). [Updated on 29-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!