Question: ksi aesy insan ka jis me roza rakhny ke himat nai hai us ka roza koi or rakh sakta hai??
Answer: 1)Jab tak insan zinda hai chahay majboor hi kyu na ho oski zindigi mai us k roze koi aur nahi rakh sakta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen Part # 1, before Maslah # 752). 2)Jo shak bhurepay ki wajah sai roza na rakh sakta ho ya roza rakhna os k lye shadeed takleef ka bais ho us per roza rakhna wajib nahi hai lakin jis shakhs k lie roza rakhna shaded takleef ka bais ho os k lie zaroori hai k har rozay k badlay 750 gram toam yani gandum kisi faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mera sawal ya hai k roze k doran periods ho jay to roza rehy ga k nehi q k aksar log kehty hai k aik bajy k bad ho to roza rehta hai
Answer: Roze main din k doran jab bhi haiz aa jaey chahay maghrib se chand mint pehlay bhi tu roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1923). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).