Question: birds ko quaid krna gunnha hai ya sawab
Answer: Agar parinde(birds) k khane or peene ka bandobast achi tarah kiya jaye to phir inko apne pas qaid kerne men koi harj nahi hia. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #460 , Eidition 1417 hij). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalamu alaikum janab kya hum kutta dog pal sakte h. agar nhi to kyu or kutta hi kyu napak h.
Answer: 1) Paalto dogs ko rakhna jaiz hai (agar in k khane pine ka intezaam kiya ja raha ho to ) jaiz hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 169, pg # 75) 2) tamaam ahkaam sharhe ki illato ( waja) ka hamare liye jaznna zaruri nahi hai, jo khuch alllah aur us k rasool ne hokum diya hai us ka baja lana zarori hai.(ref: sistani .org,urdu, topic hajj, que: 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 1) Kutto ki khareed o farokht k aytbar se 2 qismen hen , Shikari or ghair shikari, in dono ko paalne men koi harj nahi hai Albatta ghair-shikari kutto ki khareed o farokht jaiz nahi hai, lekin agr inse koi bara faida hasil ho to is surat men inko kiraye per lena , tohfe k taur per lena take unse halaal faide hasil kiye jaen, tu ye jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij). 2) Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 1) Paalto dogs ko rakhna jaiz hai (agar in k khane pine ka intezaam kiya ja raha ho to ) jaiz hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 169, pg # 75) 2) tamaam ahkaam sharhe ki illato ( waja) ka hamare liye jaznna zaruri nahi hai, jo khuch alllah aur us k rasool ne hokum diya hai us ka baja lana zarori hai.(ref: sistani .org,urdu, topic hajj, que: 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 1) Kutto ki khareed o farokht k aytbar se 2 qismen hen , Shikari or ghair shikari, in dono ko paalne men koi harj nahi hai Albatta ghair-shikari kutto ki khareed o farokht jaiz nahi hai, lekin agr inse koi bara faida hasil ho to is surat men inko kiraye per lena , tohfe k taur per lena take unse halaal faide hasil kiye jaen, tu ye jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij). 2) Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: paltu kute se kya mtlb hy jo admi ghr rakh skta hy
Answer: Kutto ki khareed o farokht k aytbar se 2 qismen hen , Shikari or ghair shikari, in dono ko paalne men koi harj nahi hai Albatta ghair-shikari kutto ki khareed o farokht jaiz nahi hai, lekin agr inse koi bara faida hasil ho to is surat men inko kiraye per lena , tohfe k taur per lena take unse halaal faide hasil kiye jaen, tu ye jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia Islam main tote palna mana hai.
Answer: Prande (brids) palna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 169,pg # 75). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya billi palna munasib h
Answer: Billi ko paalna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, Mafhoom e ques # 169, pg # 75). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AOA. Sir Kia KharGosh Ko Ghar Mai Paala Ja Sakta Hy..........!
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #459 , Eidition 1417 hij+ Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 13 , Eidition 1417 hij). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Dogs k hairs kyu napaak hai Kya dogs ko bath kra kr paak kiya ja skta hai Me dogs ko traine krta hu to ye shi h ya glt
Answer: Kutta napaak hay, ye dhone se paak nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #102). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya awara bili k buchon ko hm apne pas rkh skte hain yani paal skte h paltu janwar ki tarah?
Answer: Jaiz hay lekin ehtiyaat e wajib ki bina par us ki zarorat ka khayaal rakhna zarori hay. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3, Maslah#458). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya ghar ma shoqia tor pa dog rkhna islami tor pa jaiz ha k ni
Answer: Kutto ki khareed o farokht k aytbar se 2 qismen hen , Shikari or ghair shikari, in dono ko paalne men koi harj nahi hai Albatta ghair-shikari kutto ki khareed o farokht jaiz nahi hai, lekin agar inse koi bara faida hasil ho to is surat men inko kiraye per lena , tohfe k taur per lena takeh unse halaal faide hasil kiye jaen, tu ye jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij). [Updated on 15-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam sir kya fakhta pal sakte hai
Answer: Prande (brids) palna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 169,pg # 75). [Updated on 13-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]