Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6936
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, ma na apni zindagi ma bhut gunha kiya hain ma bhut pachtati hn ma kiya karn ka mara dil ko qarar ajay ma bhut jhoot bolay hain apni life ma ma kiya karn ma nhi bolna chati hn

Answer: Wssalam o alykum, Imaam Jafar o Sadiq (a.s) ne farmaaya, jis ka mafhoom ye hai ke ager banda apne gunah ka is terhan iqraar kar le ke is ne apne Khaliq Allah Taala ke diye gaae hokum ki nafarmaani ki hai, or is nafarmani ki waja se is ko esei pashemani ho jis ki waja se wo dubara gunah na kar sake to ALLAH TAALA bhi is ko muaaf kar ke is ki toba qabool kar leta hai. (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7845
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa mein Jana chati Han aik baat meri aik czn hai os ne muj par ilzam lagy or jhoot bola or Quran par hath rakha qasam jhooti the os ne apni izat k leay ye kasm khai the kaya os ko saza mila gi jhoot Quran ki

Answer: Wssalam o alykum, jhooth Guhnaah e Kabeera hai, lekin Allah Gafoor o Raheem us ko muaaf kare ga ya saza de ga ye Allah Qadir o Tawana ka muaamla hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen , Part # 1 , Maslah # 30 , eidition # 2009) , (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 202 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10809
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aisa jhoot jis sevkesi ka nuksan naa ho yaani k bila vaja ka jhoot like mere full marks ay h or mere pass bhi ye dress h etc bas apna hi loss ho bari bari baten krna gup lagana gunnah h ?? Is se kaise control keya jay ya bacha jay??

Answer: Jhoot bolna gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30) Update on dated 22-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 11681
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Agha meri wife or meri mother k darmian ikhtalafat door karne k lye .in dono ko milane k lye me jhoot bolon to ye munafqat kehlaye ga please jawab dejye

Answer: Momineen k darmiyan sulah karwane k liay jhoot boolna jaiz hay, ehtiyaat e wajib ye hay k tauriyah nah kar saknay ki sorat main iqtesaar kia jaey.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#38). [Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alaikum Janab mera sawal ye hai ky agr ghr Waly mujhe koi cheez lany ky liye paisy dedy hai or mai us cheez ka rate ghr walo ko zyadh batakr wo paisy apny liye rakh leta hun to asy krna jaiz hai

Answer: Nahi, ye jaiz nahi, Q keh ye dhoka hay.(Ref: minhajus saliheen, jild#1, maslah#30) [Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13420
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia esa jhoot jis sy ksi ka nuqsan na ho jaizz he? Jesy choty jhut ke yh kam usne kia ho Par me boldu ke nahi kra is trha ke? Pls mje clear krden

Answer: Jhoot bolna gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30) [Updated on 12-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13652
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia apny izat bchany k lye jhoot bola jaa sakta hay?

Answer: Jhoot haram hai jhoot yani wo khabr dena jo haqeeqat mai na ho. Aur is mai koi faraq nhi k jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. Laikin agar tauriyah kia jae to koi haraj nahi hai. tauriyah yani alfaaz k zaheri mafhoom ko chor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay k mein ne use nahi dekha aur qasad (irada) ye karay k us waqt sai 5 minute pehlay mai nai use nahi dekha. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Minhaj us salaheen part #2, masla #38) & (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzeeh e ul masail masla #2638). [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14828
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nadani mai hui galti lekin mere shohar wohi galti ke liye quran ki kasam khane bole aur maine jhuti kasam khali quran ki toh iska kaffara kya hoga

Answer: Is tarah ki qasam durust nahin hai lehaza kaffara nahin hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai (yani jhote qasam khaie hai )ye gunah e kabeera hai or is ki tauba aap par laazim hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15000
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Paisy day k sirf Vaccination card banwa sakty hain ????

Answer: Nahi banwa sakty q kay yah jhoot or dokha dahi hay, or jhoot or dhoka dahi haram hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #29 & 38) [Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15853
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: EMAN BACHANE K LIYE KYA JHOOTA EHAD KR SKTE HAI

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!