Question: Salamun aleikum ! kya kisi hindu ke hath ka khaya ya piya ja sakta hai. Jabki mana karne par uski dil shikani ho?Hamare atraf main muslims bahot kam hain.
Answer: Kafir(maslan hindu) najis hain, or kafir ka tamaam jism yahaan tak k os k baal,nakhun or rutubatain(wetness)bhi najis hain.is liay is say perhaiz karain.or ye bhi yaad rahay k paak cheez agar najis cheez say milay(touch) jab k dono main say koe bhi cheez is qadar geeli(wet) ho k aik ki rutubat dosri ko pochan jaay tu paak cheez bhi najis hojati hay Aap dil shikni nah karain balkeh tauriyah (aisi baat k jo jhoot bhi nah ho or is baat say aap ka iradah khuch or ho or sunnay wala khuch or samjhay) say kaam lain.maslan ye keh dain k bhook nahi hay ya dil nahi chahraha or os ko ehsaas bhi na honay dain k aap kun mana ker rahay han.laikin agar baat taqayha kernay tak pohanch jaay tu or baat hay. (ref: Ayat ullah Khoie(d.b).Tauzee hul masail,maslah#107,108,126,2684, & Pg #304).
Question: salamunaliakunna,my question is can we employ chritian maid at home.as was told it is not allowed if they wash our clothes we have re wash by muslim maid.pls reply me soon.
Answer: Yes, you can give job to Christian maid at your home.it is lawful. As well as Christians are pure(paak).so there is no problem in to wash clothes by Christians.but be careful that she must wash your clothes by Islamic laws of purity. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 103). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir, i want to know that we can eat food (khana) with Cristen and Jesus.
Answer: Ahl e kitaab(yahodi, esa’e or majosi) paak hein aur un k sath khana kha sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 103)
Question: Salam un Alaikum molana sahib main ap se pochna chahta ho k jo cake hamein christian chrismis (25 decemeber) pe apni khushi se daitey hai kya wo hamarey liye khana jaiz hai ya nahi? please Sistani sb k fatwa k mutabiq jawab de kr mashkoor farmaen.
Answer: Yahodi, Esae or majosi paak shumaar kiay gay hain is liay musalman onka khana kha sakta hay , chahay onho ne khane ko gila haath lagaya ho, is shart k saath k hamain is baat ka yaqeen or itmenaan ho k is khane main sharab or is jaisi deegar cheezain shamil nahi jin ka khana haram hay. albatta ghost or cherbi(oil, ghee) or in se bani hoe chezo k makhsoos ehkaam hain. (Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah #152). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya muslim aur hindu eik glass mein pani p skte hain???
Answer: Kafir(maslan hindu) najis hain, or kafir ka tamaam jism yahaan tak k os k baal,nakhun or rutubatain(wetness)bhi najis hain.is liay is say perhaiz karain.or ye bhi yaad rahay k paak cheez agar najis cheez say milay(touch) jab k dono main say koe bhi cheez is qadar geeli(wet) ho k aik ki rutubat dosri ko pochan jaay tu paak cheez bhi najis hojati hay. (ref: Ayat ullah Khoie(d.b).Tauzee hul masail,maslah#107,108,126,2684, & Pg #304). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kafar hona ki kya nashanian hain
Answer: Her wo shaks jo Allah k wujood ya os ki wahdaniyat ka iqraar na karta hut u wo kafir or najis hay.,aur isi terah ghaali (jo imamo me say kisi ko Khuda kahain ya ye kahain k khuda, imam me holool kar gaya hay) aur kharji or naasbi ( jo imamo sae doshmani ka izhaar karain) bhi najis hain.Jo shaks 12 imamo main se kisi aik ko bhi dushmani ki bina per gali day, wo najis hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 103,107)
Question: hm shio ko log kaafir q kehty hen?
Answer: Kafir wo shaks hota hay jo Allah k wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho.Isi terah Ghali(yani wo loog jo aimma main se kisi ko khuda kahain ya kahain k khuda, imam main holool ker gaya hay) or khaarji o naasbi(wo loog jo aimma a.s se bair o bughz k aazhaar karain) bhi kafir or najis hain.isi terah wo shaks jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, rasool saw ki takzeeb ka sabab banay kafir or najis hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #103 ) Note: Hum ne oper kafir ki mukammal wazahat ker di hay or Al-humdulillah shia hazraat kisi qism k kufr or shirk ka irtekaab nahi kertay.balkeh sab se behtareen muslim or momin hain.or balkeh tamaam muslim firqo k muqaablay sab se behtareen aqeeda rakhtay hain Or is k baad bhi agar shai ko koe shaks kafir kahay tu hum yehi kahain gay k kisi k faqat kehnay se koe kafir nahi ho jata, agar sachay ho tu sabot paish karo. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agr ek musalman islam chor kr koi r mazhab apna lay to kya islam main us ki saza mout hai ya usy kch nai kaha jay....
Answer: Saza ka taayun karna Islami Hokomat main Mujtahid ka kaam hai (ayse insane ko murtad e fitri kehte hen or agr islami hukoomat qaaim hoto to ayse shakhs ki saza qatal hai hatta k uski toba bhi qabool nahi ki jaye gi).(Ref ; Sistani.org , topic # qisaas , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agr kici non Muslim country me musalman foat ho jay (female or male)to kasy pata chaly ga ky ya Muslim tha.(admi ki laash pehchan ky qabil na ho)
Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jate hain. Agar kafir mulk mai mayyat milay aur ehtemaal bhi ho k marnay wala musalmaan hai tu ehtiyaat e lazim ki bina par zaroi hai k usay muslmaan smjha jaey.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1, masla#302). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia hum christen k hath ka paka hua khana kha skty hain?
Answer: Aqa sistani k nazeed yahoodi, christen, majosi, pak . in k haath ki ghosh or cherbi se bani hue cheezo k ilawa dosere halal cheezen khana jaiz.(Ref : Jadeed faqhi masail , masla # 152, pg # 119, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).