Question: غیر مسلم کو چھونے کے ہوالے سے آغا صاصب کا کیا فتوہ ہے ۔بالخصوص مسیحی برادری کو چھونے کے بارے میں کیا احکام ہے
Answer: Ghair kitabi Kafir ehtiyaat e lazim ki bina per najis hay or kitabi kaafi(yani essae, yahodi or majosi ) paak hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#1, 1439hijri, maslah #408). Update on dated 23-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Update on dated 23-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Hindi ka pasina paak hai yaa naapka
Answer: Hindu kaafir hain lehaaza us ka paseena ehtiyaat e lazim ki bina najis hay.(Ref: Minhajus saliheen, part#1, ayatullah seestani, maslah#408) [Updated on 25-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kafir dost mobile use karta hai mera toh uska pasina mere mobile pai aajata hai toh kya woh napaak hai aur uska solution kya hai
Answer: Ghair kitabi Kafir ehtiyaat e lazim ki bina per najis hay or kitabi kaafir (yani essae, yahodi or majoosi) paak hain. Agar aap k mobile ko Ghair kitabi kafir ne use kiya hai aur uske hath me pasina tha to mobile najis ho gaya hai. aur uska solution yeh hai keh ek dafa uske zahir ko dho lain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#1, 1439hijri, maslah #408). [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Muslim ladki jiske walidain 5 wakt namaaz padhte hai or woh ladki ko hindu ladke se pyaar hua hai or us ladke se shadi karna chati hai or uske mazhab mai dakhil ho na chahti hai Islam or hadees isper kya honga
Answer: woh musalman bacha , jo san e tameez me zahiran musalman ho uske liay islami aaein par amal karne ke siwa koi chara nai, uske liay islam ka inkar karna gumrahi ka sabab hai, aur us par murtad ka hukum lagaya jayega (Saza e maut). (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Web address : https://www.sistani.org/urdu/qa/01763/page/2/ ) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamunalykum.. Kya Majburey me Hindhu Ke Hatha se Bhaesh ke anchal se nikala hua dodha pak hai? please jald se ia masle se agah farmae...
Answer: Ghair kitabi Kafir ehtiyaat e lazim ki bina per najis hay or kitabi kaafir (yani essae, yahodi or majoosi) paak hain. agar doodh me kisi tarah se us kafir ka haath lag jaye ya touch ho jaye to jis bartan me doodh hoga woh pura najis ho jayega. (Mafhoom) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#1, 1439hijri, maslah #408, Tauzeeh Ul Masail, Maslah # 119 ). [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai ek hindu ladki hu or maine apna religion chordh diyaa kyaa mujhe allah qubool karenge jo kiyaa ek ldke ke liye kiyaa ab allah ko.salam krti hu ........kyaa allah mujhe qubool.karenge
Answer: agar koi kafir shahadatin (اشÛد ان لا Ø§Ù„Û Ø§Ù„Ø§ Ø§Ù„Ù„Û Ùˆ اشھد ان Ù…Øمدا رسول Ø§Ù„Ù„Û ) parh le yani kisi bhi zaban men Allah ki wahdaniyat aur khatam un nabiyyin hazrat Muhammad ibn Abdullah S.A.W.W ki nabuwwat ki gawahi dede to musalman ho jata hai aur agar cheh, woh musalman hone se pehle najis kay hukum men tha lekin musalman ho jane ke baad us ka badan , thook , naak ka pani aur pasina paak ho jata hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 205). Note: Allah ke liay khuloos se islam qabool karna chaye. [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi hindu ka paseena lag jae hath ya kahi pr bi tw ghusal krna wajib hain ya nhi?
Answer: 1: Hindu najis hai or uske baal, nakhun or rutubatain(paseena e.t.c) bhi ehtiiyaat e wajib ki bina per najis hain. aur uska gheela hath ya jism ka koe bhi gheela hissa kisi cheez ko lag jaye to ehtiyaat e wajib ki bina per najis ho jaey gi. lekin is se gusl wajib nahin hoga balke sirf us jaga pe pani baha diya jaye to wo pak ho jaye gi. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41, Mafhoom e Maslah # 104). 2: Agar koi cheez peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur usse juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai albattah libas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslaa no # 156). [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bara imam ko na manany wala kafir ha ya nhe
Answer: Jee nahin, wo kafir nahin hai. Kafir wo shaks hota hay jo Allah k wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho. isi terah wo shaks jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, rasool saw ki takzeeb ka sabab banay to wo kafir hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail 39th edition, maslah #103) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Plz moje answer kr den , agr weham ho k kufiriya alfaz bolen hain to kia banda kafir ho jata hai ????? Liken pata ho k ni boly ... Liken ase lagy jese mu say nikal gy hain shaid etc
Answer: Jee nahin, i tarh kafir nahin hai. Kafir wo shaks hota hay jo Allah k wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho. isi terah wo shaks jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, rasool saw ki takzeeb ka sabab banay to wo kafir hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail 41st edition, maslah #103) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia ahltashe larki ka nikah cristine larky say hoskta ha kia?
Answer: Musalmaan aurat, ka kaafir mard sai nikah karna jaiz nahe hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2362 ) [Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]