Question: سلام علیکم قبلہ سوال ہی ہے کہ قادیایوں کے ساتھ معملات کافر ہندوں والے ہونگے یا مشرکوں والے یعنی اہل کتاب والے پاک و ناپاک، متعہ و شادی مقلد آغا سیستانی
Answer: 1: Wo shakhs jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, Rasool(s.a.w.w) ki takzeeb ka sabab banay kafir hai or Ehtiyat e wajib ki bina par najis hai. Choonke Qadiyani nabi(s.a.w.w) ki nabowat ka inkar karte hain is liye yeh kafir hain or Ehtiyat e wajib ki bina par najis bhi hain). 2: Muslaman aurat kafir mard se nikah nahin kar sakti chahe nikah e daimi ho ghair daimi (muta) ho, kafir ehl e kitab ho ya na ho. Muslaman mard bhi ehl e kitab ke alawa kafir aurton sai nikah e daimi ya nikah e ghair daimi (muta) nahin kar sakta. lekin yahoodi aur esaei aurton se muta karne men koi haraj nahin hai aur ehtiyaat e lazim ki bina par un se daaimi nikah nah kia jaey or majoosi aurat se ehtiyaat e wajib ki bina par nikah hattah keh muta bhi nahin karna chahiay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #44, Maslah #103,2361). [Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam.mujhay malom karna hay k hindu aurat gaher main kam kaj kar sakti hay (saf safai)? Bachon ki take care kar sakti hay.oskay saat khaya piya ja sakta hay.lean den kiya ja sakta hay? Jazakallha
Answer: 1: Ahle kitab (yahoodi, christens, majoosi) ke alawa kafir (maslan hindu) ehtiyat e wajib ki bina par najis hain, aur kafir (hindu) ka tamaam badan yahan tak ke us ke baal, nakhun or rutubatain (wetness) bhi ehtiyat e lazim ki bina par najis hain. is liye is se parhaiz karain. aur ye bhi yaad rahay ke paak cheez agar najis cheez se mile (touch) jab ke dono ya dono me se koi bhi aik cheez is qadar geeli(wet) ho ke aik ki gilahat (wetness) dusri tak puhunch jaaye to paak cheez bhi najis ho jati hai. 2: Har wo kaam ke jis me aik paak cheez gilahat (wetness) ke sath kafir (hindu) ke badan ke kisi bhi hisse se mass (touch) ho rahi ho, chahe gilahat (wetness) paak cheez par maujood ho ya kafir ke badan par ya dono par maujood ho, aisa kaam nahin karwana chahiye Q ke is surat me wo pak cheez bhi najis ho jaye gi. aur ye baar baar maslah paish aaye ga is liye hindu se aisa koi kaam nahin karwana chahiye ke jis aik paak cheez najis hoti rahe aur phir baar baar us ko paak karna parhe. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44 maslah #103,104,119). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatu, mera yeh sawal tha ke jahilya ke time ki bhi namaz padni hogi ya fir sirf imaan lane ke baad wali
Answer: Kaafir asli yani jo shuru se hi kaafir raha ho aur baad me musalman ho gaya ho to jo namazen us ne haalat e kufr me nahin parhi theen, un ki qaza nahin hai. lekin jo namazen musalman hone ke baad kisi wajah se choot gayi hon un ki qaza karni hogi. aur agar musalman hone ke baad koi namaz nahin chooti to phir koi qaza nahin. Khatoon ke liye khas taur par ye maslah hai ke musalman hone ke baad bhi jo namazen Haiz aur nifas ki halat me nahin parhi un ki bhi qaza nahin hai. (Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #1829). [Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Konsay kufar Kay Sath dosti mamnu hai
Answer: Kisi bhi qisam ka kafir ho agar woh apne qaul ya fail (amal) ke zariye islam ya muslimeen se dushmani ka izhaar nah karta ho to us se dosti o mohabbat ke taqazay mein ahsaan aur neki ke taamul rakhnay mein koi haraj nahin. Farmaan e Subhanaho w taala hai:لا یَنھاکم اللہ عن الذین لم یقاتلوکم فی الدین ولم یخرجوکم مِن دیارکم اَن تَبرّوھم و تقسِطوا الیھم اِنّ اللہ یحّب المقسِطین َ. (Allah tumhe is baat se rokta nahin hai ke tum un logon se jinhon ne tum se deen ke liye laraei nahin ki aur nah hi tumhe tumahray watan se nikaal bahar kya, ke tum un se neki aur aitdaal se paish aao ke be shak Allah aitdaal rakhnay walon ko pasand karta hai). (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02885/ ). [Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: marai ofc mai aik hindu laraka hai us nai subha kitchen ma pani ki bottle bhari ur table pa rakh di ur woh bottle gili thi us ka bad table sa muslim larkai nai bottle uthai jis sa us ka hath gila hogaya tha ur us nai woh gila hath marai shirt pa lagay to mara shirt pak hai ya najis .namaz ho sakti hai ya nhai
Answer:
Question: MAEN NY AIK LARKI SAY SHADI KY HY,,OS NY KALMA BHI YAAD KIA,QURAN BHI KUCH PARHA,LAKIN LARKI MUKAMAL TOOR PER MUSALMAN NHN HOI..MERY NIKAH KY WAQT OS NY KAHA THA KEH WO MUSALMAN HO GAI HY,MAGAR USA JA KER WO BADAL GAI,MAGAR MJY UMEED HY MAEN USY SHIA MUSLIM KER LOON GA MUKAMAL.KIA OS LARKI SY MERI NIKAH AB BAQI HY??
Answer:
Question: salam janab e aali mera sawal ye hai k..agar baraf ki silli yani chote ye bade tukde jo k mahe ramazan me masjid me pani ko thanda karne k lye laya jata hai agar koi kafir usko choole aor usko pak kar lya jaye to kya wo paak ho jayega?zahir hai k baraf jama hua hota hai ab hame nehi maloom k najasat uske andar sarayat karti hai nehi,lehaza baraye mehrbani jald se jald masle se aagah farmayen..take logon ko najasat se roka ja sake. wassalam
Answer:
Question: Asslam.o.Alaikum... Mera sawal ye hai k kia Indian vegetarian restaurant main Ja kar un k bartan use karna jais hai ya na jaiz....aur agar aisa ho gaya ho k hm indian restaurant k bartan use kar lain to phir kia kiya jay... Note : Mera question "Indian vegetarian resturant" k bare main hai wahan sb vegetarian tha... Please reply... Allah hafiz
Answer:
Question: Kya hindu bhi aik khuda ko manty hyn? Aor agr koi muslman hinduo ki mehfil me kahy k jis khuda ki tm ibadat krty ho me b usi ki ibadat krta hn to kya vo muslman islam k daira se bhhr hojy ga?? Aor kya me bahsiayat e muslam usko kafir keh skta hn ya mera usko kafir kehna jaiz nahi???
Answer:
Question: A-o-A !! mera sawal ye hai k ek qadyani larki ki shadi qadyani larkay sy hui haaii lkn ab wo larki islam qabool kr k musalman larky sy shadi krna chahti haii .. ab is mn kyaa larki ho phle talaq leni paray giii phr wo musalman larky sy shadi kre gi yaa koi kafara wgra ada krna hogaa .. larki kis trha sy musalman larky sy shadi kr skti haaii .. plz renumai farmaen
Answer: