Question: namaz ki niyat kaisa ki jati h?
Answer: 1)Zarori hay k insan namaz qurbat ki niyat sai yani Allah ki bargah main pasti or khuzu k izhar k lie perhay or ye zaroori nahi k niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah. 2)Zaroori hai k insan namaz k start sai end tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar raha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai.(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 930,932) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: QAZA NANMAZ ki nuiyat kia hogi ? yani main qaza namaz parhti hoon wajib qurbnatan ilalah ,kia ya neyat ka tareeqa sahi hai?
Answer: ager ap jaanti hon ke ap Allah Taala ki itaat ke khatir masalan fajar ki qaza namaaz phar rahi hain to niyat sahi hai is ka zabaan per jari karna zarori nahi hai s irada kaafi hota.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 930). Note ye sirf Ayat u Allah sistani ka fatwa hai.(ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam plz tell me ,qaza namaz ki niyat kia hogi? main qaza namaz parti hoon wajib qurbatan illalah ? kia ya sahi tareeqa hai niyyat ka?
Answer: Je han sahi hai albetta zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 1. Wajib namzon ki theek theek niyat kesay honi chaiye.? 2. Nafli namzon ki niyat kese honi chaiye.? Niyat k alfaz kya honay chaiye??
Answer: Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi k niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: what will be the niyat of Namaz-a-Zohrain?
Answer: A person should offer prayers with the intention of Qurbat that is complying with the orders of the Almighty Allah. It is not however necessary that he should make the niyyat pass through his mind, or should, for example, utter: "I am offering four Rakats of Zuhr prayers Qurbatan ila-llah.". Translation in urdu : Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi k niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 4 rakat namaz, Zohar ki wajib perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ek imaam ki farz namaz ki niyat kya hai ,plz give me answer in hindi or urdu
Answer: Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki wajib perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia koi amal karnay say pahaly e.g roza,gusal, wazu,sadqa karnay say pahalay pori neyat parna zaroori hai e.g gusal karta hon qurbat an ilallah. ya dil main irada kar laina kafi hai
Answer: zarori hai k namaz, roza, wazu, ghusal qurbat ki niyat se perhe aur niyat ko dil se ghuzaarna ya zabaan se khena zarori nahe. balke namaz aur roza k irada karna kafi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930,1531,319,357 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: dear mufti sb main ye pounchana chatha hn ky jumma ky din jummy ki tamam namaz ki neyat jumy ki namaz kahe gy takbeer main yaha zohar ki
Answer: Niyat main itna kafi hai ke ap jaante hon ke Allah Taala ke liye phari jaane wali namaaz kon si hai or niyat sahi hone main jumme ke din ka koi dakhal nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 930 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam, har kaam say pehlay neeyat ka hona zaroori ha, kaya neeyat ka ada hona insan ki zaban sa zaroori ha, or dill main b ki ja sakti ha?
Answer: Niyat zabaan sai nahi ki jaati nah hi niyaat ka dil sai guzaarna zaroori hai bus faqat kaaam ka iraada kaafi hai isi ka naaam niyyat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah #930) [Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya namaz ki niyat bol kar karny ki koi hadees hay
Answer: Niyat ko zaban sai adaa karna zaroori nahi hai balkeh irada kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 930). [Updated on 21-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]