Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10641
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Niyat sy kia murad h iski ahmiyat biyan Karen??

Answer: Niyat say murad aap ka irada hay or dil say niyat ko gozaarna zarori nahi hay. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 2019,Mafhoom e Maslah #1531). [Updated on 01-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10759
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ehtilam gusul ki niyat

Answer: Niyat zabaan sai ada karni zaroori nahi hoti faqat iraada hona chaye keh janabat ka ghusl kar raha hoon yehi kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aayatullah seestani edition 41 maslah no 1531) [Updated on 09-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10807
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam . Kia hr namaz maslan fajar ki namaz parhney k liye namaz k shuru me hi poori namaz ki niyat krna theek hai ya Sunat r farz rakato ki niyat alag alag krna theek h.

Answer: har namaz se pehle os ki niyat ki jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 930) [Updated on 21-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11777
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Majboori mai niyat ka tootna kaisa hai

Answer: Niyat zabaan sai nahi ki jaati nah hi niyaat ka dil sai guzaarna zaroori hai bus faqat kaaam ka iraada kaafi hai isi ka naaam niyyat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah #930) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12124
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusal e janabat ki niyat karna bhool gaya OR ghusal krlia kia yeh ghusal sahi hei

Answer: Niyat zabaan sai nahi ki jaati nah hi niyaat ka dil sai guzaarna zaroori hai bus faqat kaam ka iraada kaafi hai isi ka naaam niyyat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah #930 (Note: Agar aap ka irada tha ke dusl karne ja raha hon to kafi ha, aur aap ka gusl saheeh hai.) [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16635
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Sari qaza namazein ik hi niyat k sath parhi jaa skti hn. Jesy k fajar k 2 frz Hoty Kya ik bar niyat kr k hum 2 st zyda frz parh skty hn

Answer: Jee nahin, bakle har namaz se pehle alag se niyat karna zaroori hai. Albatta niyat ke alfaaz dil se guzrna ya maslan zaban se ye kehna ke "me fajar ki do rakat parhti hon" ye zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #930). [Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 20490
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: waldain shadi ke liye razi nahi hain ? larka is qabil hai ke main usse shadi karu . lekin walid kehtey hain main qatal kardunga . main 21 saal ki hoon . kia yeh jaiz hai ke main apni pasand se waldain ki ijazat ke baghair us larkey se nikkah karlu ? aur koi hal batadiye pls

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!