Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya rozay main miya biwi aik dosaray ko kiss wagara kar sakthay hai

Answer: Agar koi shakhs rozay ki haalat main ,MANI nikalnay k iraday k baghair apni bewi ko kiss karay to MAKROOH hay aur agar MANI nikalnay ka irada ho to roza Batil ho jaey ga.

Id: 150
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam-o-alikum, kia halat-e-roze mein daad(dental) nekalwa sakte hai. khuda hafiz

Answer: Daant(Teeth) nikalwana aur har wo kaam karna jiski wajah say Moun(mouth) say Khoon niklay wo Makrooh hay.Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.1629

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 366
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Kia Roze mey khizab(Hair dye) karna sahi hey

Answer: bismehi taala Autullah Sistan (d.b.w.)ne roze ke jo mubtelat or makruhat bayan kiye hain khizab un me shamil nahi hain. (ref: tawzuhul masail masala # 1553 & 1629)

Id: 1268
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A sir i would like to ask that kiya hum halatey roza main kissi bemar ko blood de saktey hain(1 patient jo hepatitis c ki hai usey blood dena hai usey daily blood lagta hai)

Answer: Har aisa kam karna jo kamzoori ka ba’is bane makrooh he maslan khoon dena . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1275
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kajal lagane se kia roza makrooh ya baatil hujata hai?

Answer: Aankh me surma lagana makrooh he jabke is ka maza ya boo halaq me pounche. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1329
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ankh mein drops se daalnay se roza toot jata hai?

Answer: Aankh me dawa daalna makrooh hay agar is ka maza(taste) ya boo(smell) halaq me pounchey. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1629).

Id: 2480
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy main bivi ko kiss ker sakty hayen ke nahi ?

Answer: 1)rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2507
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia kajal kaganay se roza toot jata hai k nai?>

Answer: Aankh me surma lagana rozay dar k lie makrooh he jabke is ka zaiqa ya boo halaq me pounchay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3767
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya rozy ki halat main nakhun(nail) katna jaiz hay na nahe iss say roza mukrooh to nahe hota hay

Answer: Jee nahi rozay ki halat mai nail katnay sai na hi roza batil hota hai aur na hi roza makrooh hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553,1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3778
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam my question is that kai mai apni bevi kai satt kiss ya touch kar saktha ho

Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!