Question: kya 7.50 tole se oper sone pe zakat he ya 7.50tole b shamil ho ga
Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. sona aur chandi par zakat us waqt wajab hoti hay jab sona aur chandi dhalay hoay sikkay ki soorat may ho aur in ka zariay lain dain ka rewaaj ho laikin agar lain dain ka rewaaj khatam ho gaya hay tu zakat wajib nahi hai. (ref. tuziul masail aga sistani masala # 1864)
Question: Aa salam u alakum mufti shahib mera swal ap se ye ha k kya main apny gher kam kerny wali aurt ko zakat k paso se eid k lye kapry ly ker dy skti hu.aur kya kisi ko zakat ki raqm daty waqt use ye btana zaruri hai k ye zakat hai ya nhi please jawab zarur dy
Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raa’Ie’jul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2)Jis sherhe faqeeer ko zakat de jaay is ko ya batana zarori nahi hai k ye zakat k maal hai. Balkeh agar faqeer zakat lene me khifat( sharam) mehsoos karta ho to mustahab hai k ise maal zakat ki niyat se diya jaay laikin is ka zakat hona is per zahir na kiya jaay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1899)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASSALAMUALAIKUM, meri shadi nahi huwi hai, 3 sal se gold banaye rakein hai, mere parents is duniya nahi rahe, tho kya muje apne zewarath bech kar k zakat nikalna chahiye..........., JAZAKALLAH.
Answer: Gold ya silver k zewaraat per zakaat wajib nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1865). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSALAMUALAIKUM, kya hum zakat k paise apne sister k bachon ko padhayi karne k liye desakte hai ?
Answer: Wssalam o alykum, ager un main zakaat lene wale ki tamaam sharaait mojood hai to de sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1889 to 1919 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: asslaamu alaikum sahab kia agar me kisi k ghar me mayyat ho jae to zaqaat dena chahie ya nahi
Answer: wssalam o alykum,ager ap ka zaqaat se muraad sadqa hai to nikaalna chahiye lekin wajib nahi hai. (Ref ; mafati ul jinaan , pg 203 to 204)
Question: gold kitna ho zakat wajib hoti ha
Answer: Ajj ke dor main raij gold – zakaat ki sharait na hone ki waja se – per zakaat wajib nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1864 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Quran-pak mein zakat ka zikar kitni baar aya hai??
Answer: Quraan me 82 martaba zakaat ka ziker aaya hai . (ref qurano sunnat .com) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam mera question ya hai k meray pass 3 krnal plot hai or 6 lack cash but wo bhi qaraz diya hoa hai or mein khud qaraz liya hai tu kya mujhy zakat daini chi or kitni banti hai?
Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay 1-Gandum(wheat) 2-Jau(barley) 3-Khajoor(date) 4-Kishmish 5-Sonay k raaijul waqt sikkay current currency coins 6-Chandi kay sikkay 7-Oont camel 8-Gaey(cow) 9-Bhairh, bakri 10-Maal e tijarat par ehteyaat e lazim ki bina par in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaey tu in per zakat daina wajib hoti hay wo sikke daar sona aur chaandi jinhe aurat e batur e zewar pehenti ho jab tak wo raaij hoon yani sone aur chandi k sikko k tour per in k zariey lain dain hota ho ehteyaat e lazim ki bina per in per zakaat wajib hai laikin agar in k zariey lain dain ka rewaaj baaqi nah ho to in per zakat wajib nahi hai (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41st edition, maslah#1820,1865,1865). [Updated on 01-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri bewaa ami han or ham un ki 2 betian han .. un ka operation hona ha to kya un pa zakat ka paisa jaiz han .. hmari zakat kyun ka ham susral ma han .. or kisi dosra ki zakat ka paisa .. jaiz han ?
Answer: Aulad ki zakaat maan or baap ko nahi di jaa sakti.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1145,eidition 1439 ). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zakat agher har any Waly paiso sy sath sath ada kar day to sal k akher main dobar zakat ada karna hogi us nehi
Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq: 1)Paisy pe zakat wajib nahin hoti khums wajib hota hai. Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaIejul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1820.) 2)Tajir dukaan daar kareegar mulaazmat (job) karnay walay aur isi tarah dusray kamanay walay hazraat k liay zaruri hay k jab say unho nay kaam ya job shoru ki ho, aik saal guzar jaye to jo kuch in kay saal bhar kay akhrajaat say ziyada ho iska khums (5th hissa/20%)persent day.(Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1735). [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]