Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9300
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia umrah group mai jaiz ha jis mai ap ka apna mehram na ho??

Answer: Jee, aisa kerna jaiz hay, mehram ki koe shart nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 11-01-2020. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: My husband is going for Umhra on 24th of this month . He suffer from gastric problem and is not able to control his ria. How will he be able to perform all his required ahkams when he is not in the state of waju .

Answer: Agar kisi bhi waqt itna mauqa nah milay k mukammal tawaf kia jaa sake tu phir aik hi wuzu se tawaaf kia ja sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e haj jadeed ,Mafhoom e Maslah #296). Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9484
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya na mehram aur zinda shaks ka Umraah kiya ja sakta hai?

Answer: Jee kia ja sakta hy. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #526). Update on dated 29-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9925
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam alaikum, Main Umrah k ja rha hu Allah k fazal se aur mjhy ye janna he k mjhy chalty phirty masana se drops atey hain aisi halat main kia krna chaeay?

Answer: Agar ap ko itna wqt milta hy k namaz parh saky to phir aap ko namazen usi waqt men perhni hongi or isi tarh tawaaf bhi paki ki halat men karna hoga or har wo amal jis k liay taharat shart hay usay paki ki halat men anjam dena hoga or jahan tak mumkin ho apnay badan ko pak rakhen. (Ref: ayatollah sistani d.b, Minhajus Saliheen, jild#1, pg#56). Update on dated 26-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9937
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can I do Tawaf for my dead mother

Answer: It is lawful .(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/7704/ ). Update on dated 08-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10006
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alailum.. Jo shohar apni biwi par kisi tarah ki tawajjo ni deta aur biwi 7saal se apne ghar pe rah rahi ..aisi haalat me biwi umrah karne apne waalid se sath ja rahi.. kya biwi ka shohar se ijaazat lena zaroori hai

Answer: jee haan shohar ki ijazat lena zarori hy. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2367 ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10024
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya umrah k bad sex ho sakta hai

Answer: Tawafun nisaa say pehly biwi k sath hambistri karna jaiz nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b),Manasik e Hajj ,Mafhoom e Maslah # 139/420). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10149
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ek shohar apni bv k kharchy py umrah kr skta hai?? agr koi bv apny shohar ko umrah krwana cahy to kya koi harj hai??

Answer: Ji han shohar apni biwi kay kharchay say umrah kar sakta hai koi harj nahi hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#02,Mafhoom e Maslah # 1310/11). [Updated on 06-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera bhai 16 saal ka hai aur baligh hai. Agar mai meri bhen aur meri ammi uskay sath umrah ka safar kren tou kia wo jaiz hoga?

Answer: Fiqh e jafferia mai umrah mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10334
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q1-kia qarz ly kar umrah krna Jaiz hy? Q2- kia apny parents ko qarz ly kar umrah krwana jaiz hy? --parents (Dada-Dadi-Walda)

Answer: 1- jaiz hay. 2- jaiz hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2949/)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!