Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15530
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haji agar Mecca se Jeddah ghumne gaya h phir wapas Mecca ana h use to Umrah zaruri h ya ni

Answer: Makkah main balkeh haram main baghair ehram k dakhil hona jaiz nahi hay. or jo shaks hajj k mahino k alawah makkah ya haram main dakhil ho os per umra e mufradah karna wajib hay. [Updated on 23-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15624
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hajj ka bad Agar tawaf e weda sa pehla umra ker loo to iski kia saza ha

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq Tawaf e wida aik mustahab amal hai, agar Hajj ke baad tawaf e wida na kiya jaye or is se pehle umra kiya jaye to koi haraj nahin hai or koi saza ya kaffara nahin hoga. (Ref: Manasik-e-Hajj {urdu}, Ayatullah-Sistani(d.b), Edition #4th, pg #338). [Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15911
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bivi shor sath Umrah krem to bhi tuwafunisa lazmi ha?

Answer: Umray ki do aqsaam hain: 1. Umra mufrada(عمرہ مفردہ). 2. Umra tamattu(عمرہ تمتع). Umra mufrada mein dono par tawafunisaa wajib hai jab ke umra tamatu mein dono par wajib nahin hai. (Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), pg #254,205, maslah #135,139). [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15912
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bivi shor sath Umrah krem to bhi tuwafunisa lazmi ha?

Answer: Umray ki do qisme hain: 1. Umra mufrada(عمرہ مفردہ). 2. Umra tamattu(عمرہ تمتع). Umra mufrada mein dono (mard or Aurat )par tawaafunisaa wajib hai jab ke umra tamattu mein dono par tawaafunisaa wajib nahin hai. (Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #135,139). [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15913
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bivi shor sath Umrah krem to bhi tuwafunisa lazmi ha?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15914
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bivi shor sath Umrah krem to bhi tuwafunisa lazmi ha?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15919
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamoalikum mai umrah krne makkah i hon mere walid ne ek din pehly umrah kia he kia woh aj pir humai Masjid Ayesh ly ja kr umrah dubara krwa skhty hain .

Answer: 1: Umrah, hajj ki tarah kabhi wajib hota hai aur kabhi mustahib aur umrah ya mufrda hota hai ya tamattu. 2: Saal ke har islami mahinay mein umrah mufrda karna mustahib hai aur do umron ke darmiyan tees din ka waqfa zaroori nahin hai. lehaza aik maah ke aakhir aur dosray maah ke awwal mein umra karna jaaiz hai. aik mahinay mein do umre karna chahe apni taraf se ya kisi aur ki taraf se jaaiz nahin hai. taa hum dosra umra Rija ki niyat anjaam dainay mein koi harj nahin hai. (Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #135,137). [Updated on 05-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15960
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum kya Umrah krny k lye kisi or ka Istimal shuda Ahram band kr umrah kr sakty han.

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15975
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr kise pa FIR ho likn zamnitan ho gayen ho to kia wo out country umrah ka lye ja sakta ha

Answer: Agar hukumati koi rukawat nah ho( ya ni hukumat or qanoon ki taraf se ijazat ho) to jaa sakta hai. (Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #3 to 72, & pg #10,15). [Updated on 11-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16055
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ek umrah krky us umry ko do logon k nam kia jaskta hai?...

Answer: Mustahbaat aur wajibaat mein khud apne amal ko marhomeen ya zindah afraad ke liye Hadiya karna jaiz nahin, lekin amal ke sawab ko Hadia karna jaaiz hai, balke Mustahab hai. neez insaan ke liye jaaiz hai ke mustahib ya wajib kaam apne liye khud anjaam day aur phir is ka sawab marhomeen ya zindah afraad ke liye Hadia kare. Is baat ka zikr karna munasib hai ke sawab ka Hadia karna un wajibaat ke saqit hone ka sabab nahin bane ga jo marhomeen ya zindah afraad ke zimmay hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #2141). [Updated on 08-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!