Question: Kia umra kay bad bal khud Kat sakta hain
Answer: jee haan, jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2976/).Update on dated 27-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslamo alaikum.. Kya kisi or ke istemal kiye hue Ahram se umrah kia jaa sakta hai...?
Answer: Ehram k kaprhe main wohi sharaet mutabar hain jo namazi k liabas main mutabar hain, is laiy agar malik ki ijazat ho phir wo ehram pehena jaiz hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e haj, maslah #192). Update on dated 18-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya aurat apne husband ke hote hue bete ke saath umrah kar sakti hai
Answer: Jee, aisa kerna jaiz hay, mehram ki koe shart nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr umrah ki niyat k bf ghalti s handwash use kr liya jaye to umrah pr is ka asr kia ho ga?
Answer: Muhrim k liay kushbo ka istemaal haram hay chahay soongne, khane, malne rang karne ya bukharaat lene k liay k zarye se ho. Is par koe kaffara wajib nahi hay.(Ref: Manasik e hajj, pg#140). [Updated on 01-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya umrah sy pehly gher zarori bal saf krna zarori hai
Answer: 1) Riwayat k mutabiq puray badan k baal saf karna hatta k sharamgah k bhi mustahabb hai. 2) Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya na mehram k begahir umrah kiya ja sakta ha ? meri talaq ko 4 sal hugaye hain aur meri 8 sal ki beti b ha jo meray sath jayegi ?
Answer: Fiqh e jafferia mai umrah mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shohar biwi k paise se umrah kar skta hai?
Answer: (agar biwi apne khushi se shohar ko paise de tu) shohar apni biwi kay kharchay say umrah kar sakta hai is me koi harj nahi hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#02,Mafhoom e Maslah # 1310/11). [Updated on 22-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, mere husban umrah karna chahte hain par corona ki waja se umrah ke permit mae srf ek tawaf aur sayi kar sakte tawaf un nisa karne ki ijazat nahi hai... kia unko umrah karna chahye ya tawaf un nisa chor sakte aesi halat main?
Answer: Umra karna wajib nahi hay. Agar umra kia or tawaafun nisa nahi kia tu bivi se hambistari karna haram rahe gi. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2949/+https://www.sistani.org/urdu/book/62/2978/) [Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar umrah karny kay baal katna bhool jaye or ehram khol day to phir jab achanka yaad aye tab baal kaat sakty hain
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). agar koi umrah mufradah me taqseer ( yani khuch baal kaatna ) bhool jaay tu is per wajib hay ke taqseer kare (yani khuch ) baal kate take halat ahraam se nikal sake .(ref: manasikehajj,aqa sistani,arabi,masla no : 140 ke hashia no 71 ke baad sawaal no :4 (Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), edition #4, maslah #355,manasike hajj ,urdu,masla no:350). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I work online and I want to go for Umrah but my team and job is very dependent on me. Is it allowed to work online for a small part of a day during Umrah or even Hajj?
Answer: Yes, it is lawful to do work when you free from tawaf of umra and hajj. (Ref: manasik e hajj, maslah#199-280). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]