Question: mere walid 66 yrs, namaz parhte kabhi nai dekha, except Jumatul wida, Eid & Janaza. Ghar me sare log Alhamdo Lillah deeni faraiz ada karte hn. Aulad ki is silsile me kia zimmedari banti hai. Jazak Allah
Answer: Chahiye ke Walid ko – in ke martabe o ehtraam ka khiyaal rakhte howe – namaaz ki nasihat (Amar bi Al-Maroof) karain, or sakt gutagoo main nasihat karna jaiz nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 1274 , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Agar shohar kisi gunah main mubtila ho ho aur biwi usay roknay ki taqat na rakhti ho to usay Kia karma chahiye??? Aur Kia khuda k Han us se is baray main sawal kia jaye ga k shohar Ko kion us gunah se na roka??
Answer: Agar kisi insaan k naik baat qabool karne ka ehtemal (chance) ho to amar bil maroof or nahi anil munkir wajib hai aur ghunah se rookna wajib hai aur agar baat qabool karne ka ehtemal nah ho to ehteyaat e wajib ye hai k karahat aur naraazgi ka izhaar ghunaghaar k is kaam nashaista per kare, chahay jaanta ho k wo is ka asar nahi le ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2009). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar rozay daar bhoolay sy kuch kha ya pi raha ho to kya usko rokna chahye ya nahi?
Answer: Os ko khane peenay se rookna wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Mafhoom e pg#304). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ager sure nahi hay k taqreeb may raqs hoga to phir ja saktay..q k ye b sure hay k gunah may shamil ni hogay
Answer: Wahan jaa tu saktay hain lekin wahan jaa kar agar raqs wagera ho raha ho tu phir aap par zimedaari aajaye gi yani aap ka wahan bethna raqs wagera ki taeed ka sabab nah ban raha ho or sharaet mukammal honay ki soorat mai aap ko amar bil maaroof wa nahi anil munkar karna bhi wahib hoga. (Ref:Email rcvd from aqai seestani). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kise hindu ko zabarsastti ismlam qabool karwana jaiz hai
Answer: Amar bil maroof or nahi anil munkar ki kuch sharaet hain un ko madde nazar rakh kar islam ki taraf raghib kia jaa sakta hai lekin kisi ko maarna, zabardasti karna, ye jaiz nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2009). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar koyi namaz na parta hu tu us k hath ka khana kha saktay hain ya nahi
Answer: 1)Namaz ka jaan bhojh kar tark karna haram o gunah e kabeera hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30) 2)Us ke tha khana khana to jaiz hai lekin mustahab hai ke jo shakhs masjid na aata ho us ke sath mil kar khana na khaye, apnay kamon us se mashwarah na kare, us ke parhos me na rahe aur na us se aurat ka rishta lay aur na use rishta day. Note: agar amarbilmaroof( naiki ka hukum dena ) ke sharaait moujood hay tu aise shaks ko naiki ka humkum dena maslan namaz perhne ka lhena zarori hay . (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 884) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum wa Rahmatullah WA barkatahu mera apse se ye sawal hai ki agar maa ke kisi ghair mard se talukat hai tho bete kya kya farz banta hai
Answer: Ehtiyaat e wajib hay k maah or baap ko amar bil maaroof or nahi anil munkir k hisab say narmi say kaam lia jaey kisi waqt un k samnay sakhti say pesh na aaia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2011). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: S/w mai phr se y sawal puchna chahta hu ki main jis ladki s nikah karna chahta hu wo kisi ldke k thigs p baithi hai kya ye zina h or is se tauba kaise kre wo ladki or y jante hue kya mai usse nikah kar skta hu use maaf kr sakta sakta ho
Answer: salam. Aap os larki se nikah kar sakte hain, larki ka ye amal zina shumaar nahi hoga, aap os ko taubah ki janib mutawajjah kar sakte hain o os ko maaaf bhi kar sakte hain.(Ref: tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2007, 2363) [Updated on 28-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr maa baap mai larai ho aur unme se aik ghalti p nazar rha ho to kia olad ko smjhana chahye usy jo ghlti pr h?
Answer: Ehtiyaat e wajib hay k maan or baap ko amar bil maaroof or nahi anil munkir k hisab say narmi say kaam lia jaey kisi waqt un k samnay sakhti say pesh na aaia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2011). [Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walaikum.......mere sohar khud namaz nahi padte pr har namaz ke waqt mujhe namaz padne ka bolte he aur me padti bhi hu namaz ......toh me unse kehti hu ke pehle khud Amal kare fir dusro ko boley.....kya mera aisa bolna ghnaah e Kareem he
Answer: Maula ali a.s ka qaul hay keh ye daikho kia kaha ja raha hay, ye nah daikho keh koon keh raha hay.(Ref: http://tahafuzaqaidshia.blogspot.com/2015/02/blog-post.html). Aap ka ye ayteraaz dusrust nahi hay keh pehle khud karo phir doosro ko bolo, agar wo naik kaam ka keh rahe hain tu os ko qobool karna chahiay or ayteraaz nahi karna chahiay. aap bhi amar bil maroof ki sharaet k sath on ko amar kar sakti hain.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2008-2011). [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]