Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 23247
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: meray walid ko lawata ki gandi aadat hay. wo ham jins parast han. saray sheher ko pata hay. mjay b wazeh tor par pata hay. man un ka bara beta hon. meri umar 27 saal hay. mjay meray walid k is kam se nafrat hay, ab to mjay un se be nafrat hoti ja rai hay. man is muamlay men bot pareshan hon. muaashray men mera koi muqam nai hay, mera sawal ye hay k kia man apne walid ko roknay k liay koi tadbeer kar sakta hon, kia un ko is buri aadat se roknay ki mjay islam men ijazat hay? kia man is bat se tang a kar apna ghar hamesha k liay chor kar kisi aur jaga abad ho sakta hon. meri is mumla men madad karen aur mjay koi hall btaen.

Answer:

Id: 23432
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Meray Maa baap me bohot jhagda hota hai WO dono namaz bhe partay hain Quran bhe magar koi unme se zaban pe qaabu nai rakhta me unki akloti aulad hu aur gusse me aakay unhe chup karanay k liye meri awaz bhe unchi ho jati hai aap ye btayen k Islam is baaray me kia kehta hai mujhe kia karna chahye? Aur meri awaz agar unchi hoti hai to sirf apni Ami ki bhalai k liye k baat na bar hay.kia me gunahgar hon ge?

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 25072
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: ager ham kisi ko kisi kabira gunah k ghalat honay ka bolain k yeh ghalat hai....or wo agay say jawab day k tum to jaisay boht parsa ho na jo bol rahi yeh ghalat hai.... to is per kia jawab den...ham beh insan hain perfect to nae ho saktay but gunah kabira or sagheera ka farq to hota hai.....kabira nae kernay chahyen na

Answer:

Id: 25526
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam mera shohar nemehram or mere susraal walo k saath meri gheebat kerty hain or logo se meri buriyan kerty hain un ki iss aadat ki waja se mujhe un se nqfrat ho gae hai jabb se un k asliat saamne i hai wo mere saamne theek or logo k saath meri buraiyan kerty hain iss baare mein islam kya kehta hai shohar ko?

Answer:

Id: 25823
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalamualaikum, Mera sawal ye hai k, ye European countries, middle East (dubai) or US etc jahan pa be-parda auratain hote hain, jin pa na chahty hwy b nazar pr jate hai, tang kapry pehny hoty hain, being a Muslim kia hmari nazar prrna halal hai ya haram ? rehnhmae farmay

Answer:

Id: 25839
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Helooo agar ap kisi ko geebat karte sunee or kuch keh bhi nhi sakeee lekin apko gussaaa bhot ayee matlab jaise apki maaa apke baap ke baree me kuch kaheee or ap kuch kar bhi nhi saktai rone ke ilawa please mujhe batai me kia karoo mujhse ye sab bardasht nhi hota ?

Answer:

Id: 25863
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Agar shoher namaz na perhta ho lakin saas sirf apny grandson ko he namaz ka boly jab k mai apny bety ko lazmi namaz ka kehti hon jab k meri saas apny bety ko na kahy to kya kerna chhayw ? Ye kis ka farz hai shoher ko namaz ka kehna biwi ka ya maan baap ka?

Answer:

Id: 25994
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalamualaikum! Sir mein pochna chahti hun k mein or mery husband joined family mein rehty hain or meri nanand or meri saas mjy bht taunt marty hain or bht tookty hain or bura bhala kehty hain or mein khamosh rehti hun kia mein unki ye batein apny husband ko bta skti hun bager us mein jhoot shamil kiye... Please guide krein... Jazakallah

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!