Question: Ager maa bemar phopho se milne per khush na ho or bety se naraz ho aher wo milta hai to kya bety per jaiz hai phopo se milna?
Answer: musalman per sele rehmi (yani apne khoni rishtedaaro se talluqaat ko jure rakhna ) wajib hai or qte rehmi karna (yani apne khoni rishtedaaro se talluqaat kokhatam karna ) kunahaane kabera me se hay.(ref:jadeed fighe masail ,aqa sistani ,urdu, pg no:171,masla:295) ,sele rehmi me itna kafi inhe ( yani jin ke sath sele rehmi karna wajib hai salaam pouchaya jaae ,in ki ahwaal purse ki jaae or ise tarah ke kaam kie jaae or in louqo se sele rehmi karna wajib hai jinhe urf (louqo ) me rishtedaar samja jata hai or ye baat jaan lena zarori hai ke sele rehmi srif ye nahe hai ke kise ke paas jakar is se mila jaae balke telephone kar ke bhi khabar ghere karlena or waqt perhne per madad karna bhi sele remi ke lie kafi hai .(deen ke ahkaam,aqa sistani ke fatwe ke mutabiq,pg no: 324,325, masla no:991,995) aulaad ki zaat ki had tak muaamlaat ya tarze amar ka taaluq hay jis ki waja se waaledain ko aziyat ho us ki do kisme hain : (1) aulad ke kise kaam ki waja se waaldain ko is lie aziyat hote hai ke wo bacche se shafqat or dilsuzi rakhte hain .aise surat me bacche ka har wo kaam haram hoga jis se waaldain ko aziyat hote ho chaae waaldain ise mana kare ya na kare .(2) waaldain me se kise aik ko is lie aziyat hote hai ke khud is walid ya waleda me aik bure khaslat or eadat paae jaate hay. misaal ke tour per mah ya baap baite ki dunyawi ya ukhrawi bhalaaie nahe chaathy ( jis ki waja se baita jab bhi koi naike kaam kare mah ya baap ko aziyat hote hai) agar waaldain ko aziyat is nouiyat ki ho tu is ka koi asar nahe parega or waaldain ki khuwaish pure karna wajib nahe hai albatta baite ke lie zarore hai ke wo apne quol or fail ke zarie mah se beadabe se ijtenaab kare.(ref:jadeed fighe masail ,aqa sistani ,urdu, pg no:212,213,masla:345,348) [Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar maa ka kisi gair mard ke saath najayaz rishta hai too beta kya kare
Answer: Kisi bhi Aurat ka apne shohar k alawa kisi se jismani talluq rakhna haram or gunah e kabira hay. (Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1439, maslah #30) (Note: Shohar ke alawa Kisi se bhi is tarh ka kam karna chahe wo koi bhi ho haram aur gunah e kabira hai. aur bete ke liye amar bil maroof aur nahi anil mukar( yani ghuna se rokhna ) ke tahat ye kam bhi wajib hai ke apni walida ko is gunah se roke ). [Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr bv mobile pr kisi aur se bat kree to shohr ko kia krna chahie
Answer: Aap biwi ko amar bil maroof kar sakte hain or unhe samjha sakte hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, pg #302). [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum. Kia biwi k parda na krny ka gunah shohar ko mily ga? Or kia shohar zabardasti parda krwa skta hai?
Answer: Nahin, aur woh hijaab ke liye biwi par zabardasti nahin kar sakta, haan ghar se bahir nikalne par pabandi laga sakta hai aur hijaab ke sath bahir jane ki shart kar sakta hai.agar Amar bil maroof or nahe anilmunkar ki tamam sharaait moujood ho Jin me se aik ye hay ke gunagaar per Amar bil maroof or nahe anilmunkar ka asar ho tu shohar per amar bilmaroof nahe anil munkar wajib hay or zoja ko bepardaghe se zaban se mana kare balke agar jaan ho ke gunagaar per koi asar nahe Hoga tu eyteyat wajib ki Bina per gunaghaar ke us fail se naraazghe ka izhaar zaroor kare . (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/17171/, tuiziual masail,Urdu,topic Amar bil maroof ). [Updated on 29-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya walidein ki islah karna jayez hai ya nhi?
Answer: Agar walidein haram ko anjaam day rahe hon ya wajib ko tark kar rahe hon to aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walidein ke samne sakhti se paish na aaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #388. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2011). [Updated on 17-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam o walikum m sunni firqe se hn mere walid sahab sb nek kam krte hn bs ek namaz ni parte Allah jane q ab yahan sawall krne m ajib lgra h k walid k khilaaf gustakhi na ho ase m kia kia jaye k wo namaz parhne lge
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar walidein, ghunahon ko anjaam day rahe hon ya wajib ko tark kar rahe hon to aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat dete waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walidein ke samne sakhti se paish na aaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #388. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2011). [Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Molana sahab Meri ma ka chakar gair mard k sath h or mujhy jab ye pta chala two ab mujhy apni maa sy nafrat ho Rahi h ab ap batao m kya karon mujhy Kuch samajh nhi AA rha
Answer: 1: Agar walida ghunah ko anjaam day rahi ho ya wajib ko tark kar rahi ho to aulad ke liye apni walida ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walida ko achaei ki taraf dawat dete waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walida ke samne sakhti se paish na aaye. 2: Kisi bhi Aurat ka apne shohar ke alawa kisi aur se jismani talluq rakhna haram or gunah e kabira hay. aap ko chahiye ke ya to khud amar bil maroof aur nahin anil munkar (yani ghuna se rokhne) ke tahat apni walida ko is kam ke anjam dene se mana karen ya apne walid ya kisi aur rishtedar ko batayen, taake wo amar bil maroof aur nahin anil munkar ke tahat aap ki walida ko mana kare Q ke amar bil maroof aur nahi anil munkar karna bhi wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2011. + Minhajus Saliheen, part #1, edition #1443, maslah #30). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Haram talk ko khtm krny k lye Dil Tor dain to kya gonna hota h ya mukafat Amal hota h ??
Answer: Wajibaat or muharramaat k liay Amar bil maroof or nahi anil munkar karna shareit k sath wajib hay. or amar bil maroof or nahi anil munkar main kam aziyat or ziyada asar wale marhale se agaaz kia jaey.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2009) [Updated on 28-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum sir ek Jawan beti jis k bigarhny k khadshat zaahir hain us beti py Nazar rakhny waala Allah k Baad uska baap hai Kiya is surat me baap Kahi door ja k aitkaaf me beth Sakta hai
Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq Har mukallaf (jis per sharhe zimmedari wajib ho)ke liye amar bil-marof aur nahi anil-munkar ka wajib hona apne ehl-o-ayal aur rishta daaron ki banisbat ziyada ahmiyat rakhta hai, is bana par insaan ke ghar walon aur rishta daaron mein agar koi shakhs (mard ya aurat) deeni wajibat jaisay namaz, roza, khums, hijaab ya is ke alawa dosre waajibaat par ko anjaam na dete ho aur unhen subk (halka) shumaar karta ho aur ya Haram kaam jaisay sood, gheebat, jhoot, ghina aur shehwat amez music sunna ya is ke alawa dosre Haram kaamon ko anjaam dainay mein be baak ho aur laa parwahi karta ho to laazim hai ke mazeed ahmiyat dete hue amar amar bil-marof aur nahi anil-munkar ke teenon maraatib ki riyaat karte hue usay Haraam kaam se rokay aur usay wajib ko anjaam dainay aur Haram ko tark karne ki taraf dawat day. Note: Aitkaaf karna aik mustahab amal hai jise agar insaan anjaam na day to ghunahgar nahin hoga jabke amar bil-marof aur nahi anil-munkar karna wajib hai ke jise agar insaan anjaam na day to ghunahgar shumaar hoga. lehaza aap ke liye zaroori hai ke aap Aitkaaf me na baithen balke apni beti ko bigarne (buray kaamon) se roken. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #387). [Updated on 11-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Apni walida ko zina krta dakha kya beta hona ka natah muj pe kya wajib ? Walid sahab rizq ka silsala main 7 saal se bahir aur walida se zina ho gya quran o sunnat main kya hukum ak beta ka lia ?
Answer: 1: Agar walida ghunah ko anjaam day rahi ho ya wajib ko tark kar rahi ho to aulad ke liye apni walida ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walida ko achaei ki taraf dawat dete waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walida ke samne sakhti se paish na aaye. 2: Kisi bhi Aurat ka apne shohar ke alawa kisi aur se jismani talluq rakhna Haram Aur Ghunah e kabira hai. Aur aap ko chahiye ke ya to khud amar bil maroof aur nahin anil munkar (yani ghuna se rokhne) ke tahat apni walida ko is kam ke anjam dene se mana karen ya apne walid ya kisi aur rishtedar ko batayen, taake wo amar bil maroof aur nahin anil munkar ke tahat aap ki walida ko mana kare Q ke amar bil maroof aur nahi anil munkar karna bhi wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2011. + Minhajus Saliheen, part #1, edition #1443, maslah #30). [Updated on 25-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]