Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 20751
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam Walidain ki marzi se mera mere 1st cousin se 3 saal pehlay rishta tay kar dia gaya tha. Guzishta saal hamara nikkah Pakistan mein hona tha magar kareebi rishtedar ki mautt ki waja say nahi ho saka to mein family k sath wapis agai. Abb shadi 2012 k akhir mein tay pai hai. To kia aik doosray ko samajhnay ki liay sirf baat cheet ki hadd tak hum muttah kar saktay hein? Hamara permanent nikkah Pakistan mein ho hoga jo k aik saal baad tay hai. Kia is soorat mein jub k sub kuch walidain ki apni marzi se tay hua hai aur shadi ki tareekh bhi tay hai mein baghair apnay walid se poochay mutah kar sakti hoon? Yaad rahay k kisi bhi physical relation k baghair sirf baat cheet ki had tak hi karna chahtay hein hum aur is ki hadd permanent nikkah tak rakhna chahtay hein hum. Mein 24 saal ki bashaoor larki hoon aur mere fiance 28 saal k basahoor insan. Hum dono ko islami values ka bohat khayal hai isi liay apni baat cheet ko bhi halal karna chahtay hein. Society ki waja say mein apnay father ya mother say shadi ki baat nahi kar sakti. Kindly batayye k is silsilay mein kia hukum hai. Walaikum Salam

Answer:

Id: 20759
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: 1..doosri shadi k liye pehli beevi ki ijazat zaroori hy ya nahi.. 2..waledain ka kharch zaroori hy ya beevi ka jabkeh mere pas kharch dena sirf ek komomkin hy or beevi nafarmaan bhi hy.. 3..faalnama nikala hy k talaaq doon ya na doon quraan k zreye wahan par yes aya hy to kia fareeza hy..

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 20767
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: asak maulana main ek ladki se nikah karliya..hum dono apne ghr walo ko nahi bataya nikeh ke bare me..kya main kuch din baad fir se apne validen ke samne usi ladki se nikah karsakta hu??kya ye jaaez hai nikah par nikah karna???jaldi se responce dijiye ap plz

Answer:

Id: 20775
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: may aik bayva aurat thi... aur mayray mian ki pheli biwi bhi hai abhi.. par wo hum dono say he buhat piyar bhi karta hai aur respect bhi..mayra sawal hai k may aur mayra mian phelay miltay rahay hain aik dosaray say .. nikah k baghair... magar ab hum dono nay Allah k dar say toba ki hai aur khufia nikah kar liya hai .. baghair ghavahun k .. tu kia Allah Talah hamara nikah qabool kar layen gay k nhi??

Answer:

Id: 20780
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assalam alaikum,sir mujhe janna hai ki main jis ladki se pyar karta hun uske saath main bauhat baar sex kiya aur main uske baad usse shaadi karli,main jaanta hun shaadi se pehle zina haraam hai,per maine usse shaadi karli hai,to kya tarika hai ki maine jo shaadi se pehle sex kiya uski maafi maangne ka,plz mujhe jaldi reply karen ? allah hafiz

Answer:

Id: 20781
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assalam alaikum,jee main janna chahta hun ki maine apne ghar mein bina bataye apni girlfriend se shaadi karli hai aur woh muslim hai aur main bhi,us waqt mere ghar waale rishte se inkaar kar rahe the to hum dono ne nikah kar liya,per ab mere ghar waale hum dono ki shaadi ke liye maan gaye hain,to meri usi ladki se 6 month baad shaadi hai,to kya main usse dobara nikah kar sakta hun ? plz mujhe jaldi reply karen.....allah hafiz.

Answer:

Id: 20813
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam o alaikum, mufti sahib ek na mahram larki mujh se bahut love krti hy, mgr islam es ki ijazat nai deta, btaen main kia krun? Os ka dil toor dun? Aur wo larki mujh se shadi b krna chahti hy, mgr wo rich family se aur main ghareeb family se, sb se bari bat main married hun, mre 3 bache b hain, larki ki family nai mane gi shadi k leye, btaen main kia krun?

Answer:

Id: 20824
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Aga sahab, Mairi wife say mairay taaluqat kuch achay nahi hai or woh apnay ghar ja baithi hai or na to mai us say contact karna chahta ho, in halaat mai mujhay dar hai k mai kisi gunah mai mubtila na ho jao, keya mai Mutah kar sakta ho? agar kar sakta ho to mujhay koi aisa idar bata dejiye jo muta k leye aurat or mard k seghay parhtay hain Shukriya

Answer:

Id: 20833
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salamu ali kum, Syed Zadi Ka Nikah Ghair Syed Zad Sy haram hai kafi mufti hazarat kahty hain aur fathwa dia hai.jasy k sadqa haram hai sadaat per wase he haram hai syed zadi ummati per.ku k niqah kerny say syed ki yani sadaat ki izzat nahe rahti. aur in ki azzat nabi s.w.w.s ki hai.phir perda nahe rahta syed aur ghair syed mai. i am cunfus hon.mara bhe yahe aqida hai k syed zadi haram hain ummati per. batain kia karon.ager jaiz hai tu kasy hai ager nahe tu kase. plz reply me must must must.

Answer:

Id: 20836
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: ASSALAM O ALAIKUM quran paak may irshaad hay k aik muslim mard aik ehl_e_kitaab pakbaaz larki se shadi kar sakta hay lakin aik muslim aurat kisi muslim se hi shadi kar sakti hay lakin wo kisi ehl_e_kitaab se shadi nhi kar sakti iski kia waja hay plz tafseelan bayan kar dain. JJAZAKALLAH

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!